Gintī 28

rozmarrā kī qurbāniyāṅ

1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko batānā, ḵẖayāl rakho ki tum muqarrarā auqāt par mujhe jalne vālī qurbāniyāṅ pesh karo. yah merī roṭī haiṅ aur in kī ḵẖushbū mujhe pasand hai. 3rabb ko jalne vālī yah qurbānī pesh karnā :

rozānā bheṛ ke do yaksālā bacche jo beaib hoṅ pūre taur par jalā denā. 4ek ko subah ke vaqt pesh karnā aur dūsre ko sūraj ke ḍūbne ke ain bād. 5bheṛ ke bacche ke sāth ġallā kī nazar bhī pesh kī jāe yānī ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā jo ek liṭar zaitūn ke kūṭ kar nikāle hue tel ke sāth milāyā gayā ho. 6yah rozmarrā kī qurbānī hai jo pūre taur par jalāī jātī hai aur pahalī dafā sīnā pahāṛ par chaṛhāī gaī. is jalne vālī qurbānī kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. 7-8 sāth hī ek liṭar sharāb bhī nazar ke taur par qurbāngāh par ḍālī jāe. subah aur shām kī yah qurbāniyāṅ donoṅ hī is tarīqe se pesh kī jāeṅ.

sabat yānī hafte kī qurbānī

9sabat ke din bheṛ ke do aur bacche chaṛhānā. vah bhī beaib aur ek sāl ke hoṅ. sāth hī mai aur ġallā kī nazreṅ bhī pesh kī jāeṅ. ġallā kī nazar ke liye 3 kilogrām behtarīn maidā tel ke sāth milāyā jāe. 10bhasm hone vālī yah qurbānī har hafte ke din pesh karnī hai. yah rozmarrā kī qurbāniyoṅ ke ilāvā hai.

har māh ke pahale din kī qurbānī

11har māh ke shurū meṅ rabb ko bhasm hone vālī qurbānī ke taur par do javān bail, ek meṅḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bacche pesh karnā. sab baġair nuqs ke hoṅ. 12har jānvar ke sāth ġallā kī nazar pesh karnā jis ke liye tel meṅ milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. har bail ke sāth sāḍhe 4 kilogrām, har meṅḍhe ke sāth 3 kilogrām 13aur bheṛ ke har bacche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā. bhasm hone vālī yah qurbāniyāṅ rabb ko pasand haiṅ. 14in qurbāniyoṅ ke sāth mai kī nazar bhī qurbāngāh par ḍālnā yānī har bail ke sāth do liṭar, har meṅḍhe ke sāth savā liṭar aur bheṛ ke har bacche ke sāth ek liṭar mai pesh karnā. yah qurbānī sāl meṅ har mahīne ke pahale din ke mauqe par pesh karnī hai. 15is qurbānī aur rozmarrā kī qurbāniyoṅ ke ilāvā rabb ko ek bakrā gunāh kī qurbānī ke taur par pesh karnā.

fasah kī qurbāniyāṅ

16pahale mahīne ke chaudhveṅ din fasah kī īd manāī jāe. 17agle din pūre hafte kī vah īd shurū hotī hai jis ke daurān tumheṅ sirf beḵẖamīrī roṭī khānī hai. 18pahale din kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke liye ikaṭṭhe honā. 19rabb ke huzūr bhasm hone vālī qurbānī ke taur par do javān bail, ek meṅḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bacche pesh karnā. sab baġair nuqs ke hoṅ. 20har jānvar ke sāth ġallā kī nazar bhī pesh karnā jis ke liye tel ke sāth milāyā gayā behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. har bail ke sāth sāḍhe 4 kilogrām, har meṅḍhe ke sāth 3 kilogrām 21aur bheṛ ke har bacche ke sāth ḍeṛh kilogrām maidā pesh karnā. 22gunāh kī qurbānī ke taur par ek bakrā bhī pesh karnā tāki tumhārā kaffārā diyā jāe. 23-24 in tamām qurbāniyoṅ ko īd ke daurān har roz pesh karnā. yah rozmarrā kī bhasm hone vālī qurbāniyoṅ ke ilāvā haiṅ. is ḵẖurāk kī ḵẖushbū rabb ko pasand hai. 25sātveṅ din kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke liye ikaṭṭhe honā.

fasal kī kaṭāī kī īd kī qurbāniyāṅ

26fasal kī kaṭāī ke pahale din kī īd par jab tum rabb ko apnī fasal kī pahalī paidāvār pesh karte ho to kām na karnā balki muqaddas ijtimā ke liye ikaṭṭhe honā. 27-29 us din do javān bail, ek meṅḍhā aur bheṛ ke sāt yaksālā bacche qurbāngāh par pūre taur par jalā denā. is ke sāth ġallā aur mai kī vahī nazreṅ pesh karnā jo fasah kī īd par bhī pesh kī jātī haiṅ. 30is ke ilāvā rabb ko ek bakrā gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhānā.

31yah tamām qurbāniyāṅ rozmarrā kī bhasm hone vālī qurbāniyoṅ aur un ke sāth vālī ġallā aur mai kī nazroṅ ke ilāvā haiṅ. vah beaib hoṅ.