Gintī 26

dūsrī mardumashumārī

1vabā ke bād rabb ne mūsā aur hārūn ke beṭe ilīazar se kahā,

2“pūrī isrāīlī jamāat kī mardumashumārī un ke ābāī gharānoṅ ke mutābiq karnā. un tamām mardoṅ ko ginnā jo 20 sāl yā is se zāid ke haiṅ aur jo jaṅg laṛne ke qābil haiṅ.”

3-4 mūsā aur ilīazar ne isrāīliyoṅ ko batāyā ki rabb ne unheṅ kyā hukm diyā hai. chunāṅche unhoṅ ne moāb ke maidānī ilāqe meṅ yarīhū ke sāmne, lekin daryā-e-yardan ke mashriqī kināre par mardumashumārī kī. yah vah isrāīlī ādmī the jo misr se nikle the.

5-7 isrāīl ke pahalauṭhe rūbin ke qabīle ke 43,730 mard the. qabīle ke chār kuṁbe hanūkī, falluvī, hasronī aur karmī rūbin ke beṭoṅ hanūk, fallū, hasron aur karmī se nikle hue the. 8rūbin kā beṭā fallū iliyāb kā bāp thā 9jis ke beṭe namūel, dātan aur abīrām the.

dātan aur abīrām vahī log the jinheṅ jamāat ne chunā thā aur jinhoṅ ne qorah ke guroh samet mūsā aur hārūn se jhagaṛte hue ḵẖud rabb se jhagṛā kiyā. 10us vaqt zamīn ne apnā muṅh khol kar unheṅ qorah samet haṛap kar liyā thā. us ke 250 sāthī bhī mar gae the jab āg ne unheṅ bhasm kar diyā. yūṅ vah sab isrāīl ke liye ibrat’aṅgez misāl ban gae the. 11lekin qorah kī pūrī nasal miṭāī nahīṅ gaī thī.

12-14 shamāūn ke qabīle ke 22,200 mard the. qabīle ke pāṅch kuṁbe namūelī, yamīnī, yaqīnī, zārahī aur sāūlī shamāūn ke beṭoṅ namūel, yamīn, yakīn, zārah aur sāūl se nikle hue the.

15-18 jad ke qabīle ke 40,500 mard the. qabīle ke sāt kuṁbe safonī, hajjī, sūnī, uznī, erī, arūdī aur arelī jad ke beṭoṅ safon, hajjī, sūnī, uznī, erī, arūd aur arelī se nikle hue the.

19-22 yahūdāh ke qabīle ke 76,500 mard the. yahūdāh ke do beṭe er aur onān misr āne se pahale kan’ān meṅ mar gae the. qabīle ke tīn kuṁbe selānī, fārsī aur zārahī yahūdāh ke beṭoṅ selā, fāras aur zārah se nikle hue the.

fāras ke do beṭoṅ hasron aur hamūl se do kuṁbe hasronī aur hamūlī nikle hue the. 23-25 ishkār ke qabīle ke 64,300 mard the. qabīle ke chār kuṁbe tolaī, fuvvī, yasūbī aur simronī ishkār ke beṭoṅ tolā, fuvvā, yasūb aur simron se nikle hue the.

26-27 zabūlūn ke qabīle ke 60,500 mard the. qabīle ke tīn kuṁbe sardī, ailonī aur yahalīelī zabūlūn ke beṭoṅ sarad, ailon aur yahalīel se nikle hue the.

28yūsuf ke do beṭoṅ manassī aur ifrāīm ke alag alag qabīle bane.

29-34 manassī ke qabīle ke 52,700 mard the. qabīle ke āṭh kuṁbe makīrī, jiliādī, īazarī, ḵẖalqī, asrīelī, sikmī, samīdāī aur hifrī the. makīrī manassī ke beṭe makīr se jabki jiliādī makīr ke beṭe jiliād se nikle hue the. bāqī kuṁbe jiliād ke chhah beṭoṅ īazar, ḵẖalaq, asrīel, sikam, samīdā aur hifar se nikle hue the.

hifar silāfihād kā bāp thā. silāfihād kā koī beṭā nahīṅ balki pāṅch beṭiyāṅ mahalāh, nūāh, hujlāh, milkāh aur tirzā thīṅ.

35-37 ifrāīm ke qabīle ke 32,500 mard the. qabīle ke chār kuṁbe sūtalahī, bakrī, tahanī aur īrānī the. pahale tīn kuṁbe ifrāīm ke beṭoṅ sūtalah, bakar aur tahan se jabki īrānī sūtalah ke beṭe īrān se nikle hue the.

38-41 binyamīn ke qabīle ke 45,600 mard the. qabīle ke sāt kuṁbe bālāī, ashbelī, aḵẖīrāmī, sūfāmī, hūfāmī, ardī aur nāmānī the. pahale pāṅch kuṁbe binyamīn ke beṭoṅ bālā, ashbel, aḵẖīrām, sūfām aur hūfām se jabki ardī aur nāmānī bālā ke beṭoṅ se nikle hue the.

42-43 dān ke qabīle ke 64,400 mard the. sab dān ke beṭe sūhām se nikle hue the, is liye sūhāmī kahalāte the.

44-47 āshar ke qabīle ke 53,400 mard the. qabīle ke bāṅch kuṁbe yimnī, isvī, barīī, hibrī aur malkīelī the. pahale tīn kuṁbe āshar ke beṭoṅ yimnā, isvī aur barīā se jabki bāqī barīā ke beṭoṅ hibar aur malkīel se nikle hue the. āshar kī ek beṭī banām sirah bhī thī.

48-50 naftālī ke qabīle ke 45,400 mard the. qabīle ke chār kuṁbe yahasīelī, jūnī, yisrī aur sillīmī naftālī ke beṭoṅ yahasīel, jūnī, yisar aur sillīm se nikle hue the.

51isrāīlī mardoṅ kī kul tādād 6,01,730 thī.

52rabb ne mūsā se kahā, 53“jab mulk-e-kan’ān ko taqsīm kiyā jāegā to zamīn in kī tādād ke mutābiq denā hai. 54baṛe qabīloṅ ko chhoṭe kī nisbat ziyādā zamīn dī jāe. har qabīle kā ilāqā us kī tādād se mutābiqat rakhe. 55-56 qur’ā ḍālne se faislā kiyā jāe ki har qabīle ko kahāṅ zamīn milegī. lekin har qabīle ke ilāqe kā raqbā is par mabnī ho ki qabīle ke kitne afrād haiṅ.”

57lāvī ke qabīle ke tīn kuṁbe jairsonī, qihātī aur mirārī lāvī ke beṭoṅ jairson, qihāt aur mirārī se nikle hue the. 58is ke ilāvā libnī, hibrūnī, mahalī, mūshī aur korahī bhī lāvī ke kuṁbe the. qihāt amrām kā bāp thā. 59amrām ne lāvī aurat yūkbid se shādī kī jo misr meṅ paidā huī thī. un ke do beṭe hārūn aur mūsā aur ek beṭī mariyam paidā hue. 60hārūn ke beṭe nadab, abīhū, ilīazar aur itmar the. 61lekin nadab aur abīhū rabb ko baḵẖūr kī nājāiz qurbānī pesh karne ke bāis mar gae. 62lāviyoṅ ke mardoṅ kī kul tādād 23,000 thī. in meṅ vah sab shāmil the jo ek māh yā is se zāid ke the. unheṅ dūsre isrāīliyoṅ se alag ginā gayā, kyūṅki unheṅ isrāīl meṅ mīrās meṅ zamīn nahīṅ milnī thī.

63yūṅ mūsā aur ilīazar ne moāb ke maidānī ilāqe meṅ yarīhū ke sāmne lekin daryā-e-yardan ke mashriqī kināre par isrāīliyoṅ kī mardumashumārī kī. 64logoṅ ko ginte ginte unheṅ mālūm huā ki jo log dasht-e-sīn meṅ mūsā aur hārūn kī pahalī mardumashumārī meṅ gine gae the vah sab mar chuke haiṅ. 65rabb ne kahā thā ki vah sab ke sab registān meṅ mar jāeṅge, aur aisā hī huā thā. sirf kālib bin yafunnā aur yashūa bin nūn zindā rahe.