Gintī 2

ḵẖaimāgāh meṅ qabīloṅ kī tartīb

1rabb ne mūsā aur hārūn se kahā 2ki isrāīlī apne ḵẖaime kuchh fāsile par mulāqāt ke ḵẖaime ke ird-gird lagāeṅ. har ek apne apne alam aur apne apne ābāī gharāne ke nishān ke sāth ḵẖaimāzan ho.

3in hidāyāt ke mutābiq maqdis ke mashriq meṅ yahūdāh kā alam thā jis ke ird-gird tīn daste ḵẖaimāzan the. pahale, yahūdāh kā qabīlā jis kā kamāṅḍar nahson bin ammīnadāb thā, 4aur jis ke lashkar ke 74,600 faujī the. 5dūsre, ishkār kā qabīlā jis kā kamāṅḍar natanīel bin zuġar thā, 6aur jis ke lashkar ke 54,400 faujī the. 7tīsre, zabūlūn kā qabīlā jis kā kamāṅḍar iliyāb bin helon thā 8aur jis ke lashkar ke 57,400 faujī the. 9tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,86,400 thī. ravānā hote vaqt yah āge chalte the.

10maqdis ke junūb meṅ rūbin kā alam thā jis ke ird-gird tīn daste ḵẖaimāzan the. pahale, rūbin kā qabīlā jis kā kamāṅḍar ilīsūr bin shadiyūr thā, 11aur jis ke 46,500 faujī the. 12dūsre, shamāūn kā qabīlā jis kā kamāṅḍar salūmīel bin sūrīshaddī thā, 13aur jis ke 59,300 faujī the. 14tīsre, jad kā qabīlā jis kā kamāṅḍar iliyāsaf bin daūel thā, 15aur jis ke 45,650 faujī the. 16tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,51,450 thī. ravānā hote vaqt yah mashriqī qabīloṅ ke pīchhe chalte the.

17in junūbī qabīloṅ ke bād lāvī mulāqāt kā ḵẖaimā uṭhā kar qabīloṅ ke ain bīch meṅ chalte the. qabīle us tartīb se ravānā hote the jis tartīb se vah apne ḵẖaime lagāte the. har qabīlā apne alam ke pīchhe chaltā thā.

18maqdis ke maġrib meṅ ifrāīm kā alam thā jis ke ird-gird tīn daste ḵẖaimāzan the. pahale, ifrāīm kā qabīlā jis kā kamāṅḍar ilīsmā bin ammīhūd thā, 19aur jis ke 40,500 faujī the. 20dūsre, manassī kā qabīlā jis kā kamāṅḍar jamalīel bin fadāhsūr thā, 21aur jis ke 32,200 faujī the. 22tīsre, binyamīn kā qabīlā jis kā kamāṅḍar abidān bin jidāūnī thā, 23aur jis ke 35,400 faujī the. 24tīnoṅ qabīloṅ ke faujiyoṅ kī kul tādād 1,08,100 thī. ravānā hote vaqt yah junūbī qabīloṅ ke pīchhe chalte the.

25maqdis ke shimāl meṅ dān kā alam thā jis ke ird-gird tīn daste ḵẖaimāzan the. pahale, dān kā qabīlā jis kā kamāṅḍar aḵẖīazar bin ammīshaddī thā, 26aur jis ke 62,700 faujī the. 27dūsre, āshar kā qabīlā jis kā kamāṅḍar fajaīel bin akrān thā, 28aur jis ke 41,500 faujī the. 29tīsre, naftālī kā qabīlā jis kā kamāṅḍar aḵẖīrā bin enān thā, 30aur jis ke 53,400 faujī the. 31tīnoṅ qabīloṅ kī kul tādād 1,57,600 thī. vah āḵẖir meṅ apnā alam uṭhā kar ravānā hote the.

32pūrī ḵẖaimāgāh ke faujiyoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī. 33sirf lāvī is tādād meṅ shāmil nahīṅ the, kyūṅki rabb ne mūsā ko hukm diyā thā ki un kī bhartī na kī jāe.

34yūṅ isrāīliyoṅ ne sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq kiyā jo rabb ne mūsā ko dī thīṅ. un ke mutābiq hī vah apne jhaṅḍoṅ ke ird-gird apne ḵẖaime lagāte the aur un ke mutābiq hī apne kuṁboṅ aur ābāī gharānoṅ ke sāth ravānā hote the.