Gintī 12

mariyam aur hārūn kī muḵẖālafat

1ek din mariyam aur hārūn mūsā ke ḵẖilāf bāteṅ karne lage. vajah yah thī ki us ne kūsh kī ek aurat se shādī kī thī. 2unhoṅ ne pūchhā, “kyā rabb sirf mūsā kī mārifat bāt kartā hai? kyā us ne ham se bhī bāt nahīṅ kī?” rabb ne un kī yah bāteṅ sunīṅ.

3lekin mūsā nihāyat halīm thā. duniyā meṅ us jaisā halīm koī nahīṅ thā. 4achānak rabb mūsā, hārūn aur mariyam se muḵẖātib huā, “tum tīnoṅ bāhar nikal kar mulāqāt ke ḵẖaime ke pās āo.”

tīnoṅ vahāṅ pahuṅche. 5tab rabb bādal ke satūn meṅ utar kar mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par khaṛā huā. us ne hārūn aur mariyam ko bulāyā to donoṅ āe. 6us ne kahā, “merī bāt suno. jab tumhāre darmiyān nabī hotā hai to maiṅ apne āp ko royā meṅ us par zāhir kartā hūṅ yā ḵẖwāb meṅ us se muḵẖātib hotā hūṅ. 7lekin mere ḵẖādim mūsā kī aur bāt hai. use maiṅ ne apne pūre gharāne par muqarrar kiyā hai. 8us se maiṅ rū-ba-rū hamkalām hotā hūṅ. us se maiṅ muammoṅ ke zarīe nahīṅ balki sāf sāf bāt kartā hūṅ. vah rabb kī sūrat dekhtā hai. to phir tum mere ḵẖādim ke ḵẖilāf bāteṅ karne se kyūṅ na ḍare?”

9rabb kā ġazab un par ān paṛā, aur vah chalā gayā. 10jab bādal kā satūn ḵẖaime se dūr huā to mariyam kī jild barf kī mānind safed thī. vah koṛh kā shikār ho gaī thī. hārūn us kī taraf muṛā to us kī hālat dekhī 11aur mūsā se kahā, “mere āqā, meharbānī karke hameṅ is gunāh kī sazā na deṅ jo hamārī hamāqat ke bāis sarzad huā hai. 12mariyam ko is hālat meṅ na chhoṛeṅ. vah to aise bacche kī mānind hai jo murdā paidā huā ho, jis ke jism kā ādhā hissā gal chukā ho.”

13tab mūsā ne pukār kar rabb se kahā, “ai allāh, meharbānī karke use shifā de.” 14rabb ne javāb meṅ mūsā se kahā, “agar mariyam kā bāp us ke muṅh par thūktā to kyā vah pūre hafte tak sharm mahsūs na kartī? use ek hafte ke liye ḵẖaimāgāh ke bāhar band rakh. is ke bād use vāpas lāyā jā saktā hai.”

15chunāṅche mariyam ko ek hafte ke liye ḵẖaimāgāh ke bāhar band rakhā gayā. log us vaqt tak safar ke liye ravānā na hue jab tak use vāpas na lāyā gayā. 16jab vah vāpas āī to isrāīlī hasīrāt se ravānā ho kar fārān ke registān meṅ ḵẖaimāzan hue.