Mīkāh 7

apnī qaum par afsos

1hāy, mujh par afsos! maiṅ us shaḵẖs kī mānind hūṅ jo fasal ke jamā hone par aṅgūr ke bāġ meṅ se guzar jātā hai tāki bachā huā thoṛā bahut phal mil jāe, lekin ek gucchhā tak bāqī nahīṅ. maiṅ us ādmī kī mānind hūṅ jo anjīr kā pahalā phal milne kī ummīd rakhtā hai lekin ek bhī nahīṅ miltā. 2mulk meṅ se diyānatdār miṭ gae haiṅ, ek bhī īmāndār nahīṅ rahā. sab tāk meṅ baiṭhe haiṅ tāki ek dūsre ko qatl kareṅ, har ek apnā jāl bichhā kar apne bhāī ko pakaṛne kī koshish kartā hai. 3donoṅ hāth ġalat kām karne meṅ ek jaise māhir haiṅ. hukmarān aur qāzī rishvat khāte, baṛe log mutalavvinamizājī se kabhī yah, kabhī vah talab karte haiṅ. sab mil kar sāzisheṅ karne meṅ masrūf rahate haiṅ. 4un meṅ se sab se sharīf shaḵẖs ḵẖārdār jhāṛī kī mānind hai, sab se īmāndār ādmī kāṅṭedār bāṛ se acchhā nahīṅ.

lekin vah din āne vālā hai jis kā elān tumhāre paharedāroṅ ne kiyā hai. tab allāh tujh se nipaṭ legā, sab kuchh ulaṭ-palaṭ ho jāegā.

5kisī par bhī bharosā mat rakhnā, na apne paṛosī par, na apne dost par. apnī bīvī se bhī bāt karne se muhtāt raho. 6kyūṅki beṭā apne bāp kī haisiyat nahīṅ māntā, beṭī apnī māṅ ke ḵẖilāf khaṛī ho jātī aur bahū apnī sās kī muḵẖālafat kartī hai. tumhāre apne hī ghar vāle tumhāre dushman haiṅ.

7lekin maiṅ ḵẖud rabb kī rāh dekhūṅgā, apnī najāt ke ḵẖudā ke intizār meṅ rahūṅgā. kyūṅki merā ḵẖudā merī sunegā.

rabb hameṅ rihā karegā

8ai mere dushman, mujhe dekh kar shādiyānā mat bajā! go maiṅ gir gayā hūṅ tāham dubārā khaṛā ho jāūṅgā, go aṅdhere meṅ baiṭhā hūṅ tāham rabb merī raushnī hai. 9maiṅ ne rabb kā hī gunāh kiyā hai, is liye mujhe us kā ġazab bhugatnā paṛegā. kyūṅki jab tak vah mere haq meṅ muqaddmā laṛ kar merā insāf na kare us vaqt tak maiṅ us kā qahar bardāsht karūṅgā. tab vah mujhe tārīkī se nikāl kar raushnī meṅ lāegā, aur maiṅ apnī āṅkhoṅ se us ke insāf aur vafādārī kā mushāhadā karūṅgā.

10merā dushman yah dekh kar sarāsar sharmindā ho jāegā, hālāṅki is vaqt vah kah rahā hai, “rabb terā ḵẖudā kahāṅ hai?” merī apnī āṅkheṅ us kī sharmindagī dekheṅgī, kyūṅki us vaqt use galī meṅ kachre kī tarah pāoṅ tale rauṅdā jāegā.

11ai isrāīl, vah din āne vālā hai jab terī dīvāreṅ nae sire se tāmīr ho jāeṅgī. us din terī sarhaddeṅ vasī ho jāeṅgī. 12log chāroṅ taraf se tere pās āeṅge. vah asūr se, misr ke shaharoṅ se, daryā-e-furāt ke ilāqe se balki dūrdarāz sāhilī aur pahāṛī ilāqoṅ se bhī āeṅge. 13zamīn apne bāshindoṅ ke bāis vīrān-o-sunsān ho jāegī, āḵẖirkār un kī harkatoṅ kā kaṛvā phal nikal āegā.

14ai rabb, apnī lāṭhī se apnī qaum kī gallābānī kar! kyūṅki terī mīrās kā yah revaṛ is vaqt jaṅgal meṅ tanhā rahatā hai, hālāṅki gird-o-navāh kī zamīn zarḵẖez hai. qadīm zamāne kī tarah unheṅ basan aur jiliād kī shādāb charāgāhoṅ meṅ charne de! 15rabb farmātā hai, “misr se nikalte vaqt kī tarah maiṅ tujhe mojizāt dikhā dūṅgā.” 16yah dekh kar aqvām sharmindā ho jāeṅgī aur apnī tamām tāqat ke bāvujūd kuchh nahīṅ kar pāeṅgī. vah ghabrā kar muṅh par hāth rakheṅgī, un ke kān bahare ho jāeṅge. 17sāṁp aur reṅgne vāle jānvaroṅ kī tarah vah ḵẖāk chāṭeṅgī aur thartharāte hue apne qilaoṅ se nikal āeṅgī . vah ḍar ke māre rabb hamāre ḵẖudā kī taraf rujū kareṅgī, hāṅ tujh se dahshat khāeṅgī.

18ai rabb, tujh jaisā ḵẖudā kahāṅ hai? tū hī gunāhoṅ ko muāf kar detā, tū hī apnī mīrās ke bache huoṅ ke jarāim se darguzar kartā hai. tū hameshā tak ġusse nahīṅ rahatā balki shafqat pasand kartā hai. 19tū dubārā ham par raham karegā, dubārā hamāre gunāhoṅ ko pāoṅ tale kuchal kar samundar kī gaharāiyoṅ meṅ phaiṅk degā. 20tū yāqūb aur ibrāhīm kī aulād par apnī vafā aur shafqat dikhā kar vah vādā pūrā karegā jo tū ne qasam khā kar qadīm zamāne meṅ hamāre bāpdādā se kiyā thā.