Mattī 17

pahāṛ par īsā kī sūrat badal jātī hai

1chhah din ke bād īsā sirf patras, yāqūb aur yūhannā ko apne sāth le kar ūṅche pahāṛ par chaṛh gayā. 2vahāṅ us kī shakl-o-sūrat un ke sāmne badal gaī. us kā chiharā sūraj kī tarah chamakne lagā, aur us ke kapṛe nūr kī mānind safed ho gae. 3achānak ilyās aur mūsā zāhir hue aur īsā se bāteṅ karne lage. 4patras bol uṭhā, “ḵẖudāvand, kitnī acchhī bāt hai ki ham yahāṅ haiṅ. agar āp chāheṅ to maiṅ tīn jhoṁpaṛiyāṅ banāūṅgā, ek āp ke liye, ek mūsā ke liye aur ek ilyās ke liye.”

5vah abhī bāt kar hī rahā thā ki ek chamakdār bādal ā kar un par chhā gayā aur bādal meṅ se ek āvāz sunāī dī, “yah merā piyārā farzand hai, jis se maiṅ ḵẖush hūṅ. is kī suno.”

6yah sun kar shāgird dahshat khā kar auṅdhe muṅh gir gae. 7lekin īsā ne ā kar unheṅ chhuā. us ne kahā, “uṭho, mat ḍaro.” 8jab unhoṅ ne nazar uṭhāī to īsā ke sivā kisī ko na dekhā.

9vah pahāṛ se utarne lage to īsā ne unheṅ hukm diyā, “jo kuchh tum ne dekhā hai use us vaqt tak kisī ko na batānā jab tak ki ibn-e-ādam murdoṅ meṅ se jī na uṭhe.”

10shāgirdoṅ ne us se pūchhā, “sharīat ke ulmā kyūṅ kahate haiṅ ki masīh kī āmad se pahale ilyās kā ānā zarūrī hai?”

11īsā ne javāb diyā, “ilyās to zarūr sab kuchh bahāl karne ke liye āegā. 12lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki ilyās to ā chukā hai aur unhoṅ ne use nahīṅ pahachānā balki us ke sāth jo chāhā kiyā. isī tarah ibn-e-ādam bhī un ke hāthoṅ dukh uṭhāegā.”

13phir shāgirdoṅ ko samajh āī ki vah un ke sāth yahayā baptismā dene vāle kī bāt kar rahā thā.

īsā laṛke meṅ se badruh nikāltā hai

14jab vah nīche hujūm ke pās pahuṅche to ek ādmī ne īsā ke sāmne ā kar ghuṭne ṭeke 15aur kahā, “ḵẖudāvand, mere beṭe par raham kareṅ, use mirgī ke daure paṛte haiṅ aur use shadīd taklīf uṭhānī paṛtī hai. kaī bār vah āg yā pānī meṅ gir jātā hai. 16maiṅ use āp ke shāgirdoṅ ke pās lāyā thā, lekin vah use shifā na de sake.”

17īsā ne javāb diyā, “īmān se ḵẖālī aur ṭeṛhī nasal! maiṅ kab tak tumhāre sāth rahūṅ, kab tak tumheṅ bardāsht karūṅ? laṛke ko mere pās le āo.” 18īsā ne badruh ko ḍāṅṭā, to vah laṛke meṅ se nikal gaī. usī lamhe use shifā mil gaī.

19bād meṅ shāgirdoṅ ne alāhidagī meṅ īsā ke pās ā kar pūchhā, “ham badruh ko kyūṅ na nikāl sake?”

20us ne javāb diyā, “apne īmān kī kamī ke sabab se. maiṅ tumheṅ sacch batātā hūṅ, agar tumhārā īmān rāī ke dāne ke barābar bhī ho to phir tum is pahāṛ ko kah sakoge, ‘idhar se udhar khisak jā,’ to vah khisak jāegā. aur tumhāre liye kuchh bhī nāmumkin nahīṅ hogā. 21[lekin is qism kī badruh duā aur roze ke baġair nahīṅ nikaltī.]”

īsā dūsrī bār apnī maut kā zikr kartā hai

22jab vah galīl meṅ jamā hue to īsā ne unheṅ batāyā, “ibn-e-ādam ko ādmiyoṅ ke havāle kar diyā jāegā. 23vah use qatl kareṅge, lekin tīn din ke bād vah jī uṭhegā.” yah sun kar shāgird nihāyat ġamgīn hue.

bait-ul-muqaddas kā ṭaiks

24vah kafarnahūm pahuṅche to bait-ul-muqaddas kā ṭaiks jamā karne vāle patras ke pās ā kar pūchhne lage, “kyā āp kā ustād bait-ul-muqaddas kā ṭaiks adā nahīṅ kartā?”

25“jī, vah kartā hai,” patras ne javāb diyā. vah ghar meṅ āyā to īsā pahale hī bolne lagā, “kyā ḵẖayāl hai shamāūn, duniyā ke bādshāh kin se ḍyūṭī aur ṭaiks lete haiṅ, apne farzandoṅ se yā ajnabiyoṅ se?”

26patras ne javāb diyā, “ajnabiyoṅ se.” īsā bolā “to phir un ke farzand ṭaiks dene se barī hue. 27lekin ham unheṅ nārāz nahīṅ karnā chāhate. is liye jhīl par jā kar us meṅ ḍorī ḍāl denā. jo machhlī tū pahale pakṛegā us kā muṅh kholnā to us meṅ se chāṅdī kā sikkā niklegā. use le kar unheṅ mere aur apne liye adā kar de.”