Mattī 16

farīsī ilāhī nishān kā taqāzā karte haiṅ

1ek din farīsī aur sadūqī īsā ke pās āe. use parakhne ke liye unhoṅ ne mutālbā kiyā ki vah unheṅ āsmān kī taraf se koī ilāhī nishān dikhāe tāki us kā iḵẖtiyār sābit ho jāe. 2lekin us ne javāb diyā, “shām ko tum kahate ho, ‘kal mausam sāf hogā kyūṅki āsmān surḵẖ nazar ātā hai.’ 3aur subah ke vaqt kahate ho, ‘āj tūfān hogā kyūṅki āsmān surḵẖ hai aur bādal chhāe hue haiṅ.’ ġaraz tum āsmān kī hālat par ġaur karke sahīh natījā nikāl lete ho, lekin zamānoṅ kī alāmatoṅ par ġaur karke sahīh natīje tak pahuṅchnā tumhāre bas kī bāt nahīṅ hai. 4sirf sharīr aur zinākār nasal ilāhī nishān kā taqāzā kartī hai. lekin use koī bhī ilāhī nishān pesh nahīṅ kiyā jāegā sivā-e-yūnus nabī ke nishān ke.”

yah kah kar īsā unheṅ chhoṛ kar chalā gayā.

farīsiyoṅ aur sadūqiyoṅ kā ḵẖamīr

5jhīl ko pār karte vaqt shāgird apne sāth khānā lānā bhūl gae the. 6īsā ne un se kahā, “ḵẖabardār, farīsiyoṅ aur sadūqiyoṅ ke ḵẖamīr se hoshyār rahanā.”

7shāgird āpas meṅ bahs karne lage, “vah is liye kah rahe hoṅge ki ham khānā sāth nahīṅ lāe.”

8īsā ko mālūm huā ki vah kyā soch rahe haiṅ. us ne kahā, “tum āpas meṅ kyūṅ bahs kar rahe ho ki hamāre pās roṭī nahīṅ hai? 9kyā tum abhī tak nahīṅ samajhte? kyā tumheṅ yād nahīṅ ki maiṅ ne pāṅch roṭiyāṅ le kar 5,000 ādmiyoṅ ko khānā khilā diyā aur ki tum ne bache hue ṭukṛoṅ ke kitne ṭokre uṭhāe the? 10yā kyā tum bhūl gae ho ki maiṅ ne sāt roṭiyāṅ le kar 4,000 ādmiyoṅ ko khānā khilāyā aur ki tum ne bache hue ṭukṛoṅ ke kitne ṭokre uṭhāe the? 11tum kyūṅ nahīṅ samajhte ki maiṅ tum se khāne kī bāt nahīṅ kar rahā? suno merī bāt! farīsiyoṅ aur sadūqiyoṅ ke ḵẖamīr se hoshyār raho!”

12phir unheṅ samajh āī ki īsā unheṅ roṭī ke ḵẖamīr se āgāh nahīṅ kar rahā thā balki farīsiyoṅ aur sadūqiyoṅ kī tālīm se.

patras kā iqrār

13jab īsā qaisriyā-filippī ke ilāqe meṅ pahuṅchā to us ne shāgirdoṅ se pūchhā, “ibn-e-ādam logoṅ ke nazdīk kaun hai?”

14unhoṅ ne javāb diyā, “kuchh kahate haiṅ yahayā baptismā dene vālā, kuchh yah ki āp ilyās nabī haiṅ. kuchh yah bhī kahate haiṅ ki yaramiyāh yā nabiyoṅ meṅ se ek.”

15us ne pūchhā, “lekin tumhāre nazdīk maiṅ kaun hūṅ?”

16patras ne javāb diyā, “āp zindā ḵẖudā ke farzand masīh haiṅ.”

17īsā ne kahā, “shamāūn bin yūnus, tū mubārak hai, kyūṅki kisī insān ne tujh par yah zāhir nahīṅ kiyā balki mere āsmānī bāp ne. 18maiṅ tujhe yah bhī batātā hūṅ ki tū patras yānī patthar hai, aur isī patthar par maiṅ apnī jamāat ko tāmīr karūṅgā, aisī jamāat jis par pātāl ke darvāze bhī ġālib nahīṅ āeṅge. 19maiṅ tujhe āsmān kī bādshāhī kī kuṅjiyāṅ de dūṅgā. jo kuchh tū zamīn par bāṅdhegā vah āsmān par bhī baṅdhegā. aur jo kuchh tū zamīn par kholegā vah āsmān par bhī khulegā.”

20phir īsā ne apne shāgirdoṅ ko hukm diyā, “kisī ko bhī na batāo ki maiṅ masīh hūṅ.”

īsā apnī maut kā zikr kartā hai

21us vaqt se īsā apne shāgirdoṅ par vāzih karne lagā, “lāzim hai ki maiṅ yarūshalam jā kar qaum ke buzurgoṅ, rāhanumā imāmoṅ aur sharīat ke ulmā ke hāthoṅ bahut dukh uṭhāūṅ. mujhe qatl kiyā jāegā, lekin tīsre din maiṅ jī uṭhūṅgā.”

22is par patras use ek taraf le jā kar samjhāne lagā. “ai ḵẖudāvand, allāh na kare ki yah kabhī bhī āp ke sāth ho.”

23īsā ne muṛ kar patras se kahā, “shaitān, mere sāmne se haṭ jā! tū mere liye ṭhokar kā bāis hai, kyūṅki tū allāh kī soch nahīṅ rakhtā balki insān kī.”

24phir īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “jo mere pīchhe ānā chāhe vah apne āp kā inkār kare aur apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe ho le. 25kyūṅki jo apnī jān ko bachāe rakhnā chāhe vah use kho degā. lekin jo merī ḵẖātir apnī jān kho de vahī use pā legā. 26kyā fāidā hai agar kisī ko pūrī duniyā hāsil ho jāe, lekin vah apnī jān se maharūm ho jāe? insān apnī jān ke badle kyā de saktā hai? 27kyūṅki ibn-e-ādam apne bāp ke jalāl meṅ apne farishtoṅ ke sāth āegā, aur us vaqt vah har ek ko us ke kām kā badlā degā. 28maiṅ tumheṅ sacch batātā hūṅ, yahāṅ kuchh aise log khaṛe haiṅ jo marne se pahale hī ibn-e-ādam ko us kī bādshāhī meṅ āte hue dekheṅge.”