Mattī 10

bārah rasūloṅ ko iḵẖtiyār diyā jātā hai

1phir īsā ne apne bārah rasūloṅ ko bulā kar unheṅ nāpāk rūheṅ nikālne aur har qism ke marz aur alālat se shifā dene kā iḵẖtiyār diyā. 2bārah rasūloṅ ke nām yah haiṅ : pahalā shamāūn jo patras bhī kahalātā hai, phir us kā bhāī andriyās, yāqūb bin zabdī aur us kā bhāī yūhannā, 3filippus, baratulmāī, tomā, mattī (jo ṭaiks lene vālā thā), yāqūb bin halfaī, taddī, 4shamāūn mujāhid aur yahūdā iskariyotī jis ne bād meṅ use dushmanoṅ ke havāle kar diyā.

rasūloṅ ko tablīġ ke liye bhejā jātā hai

5in bārah mardoṅ ko īsā ne bhej diyā. sāth sāth us ne unheṅ hidāyat dī, “ġairyahūdī ābādiyoṅ meṅ na jānā, na kisī sāmrī shahar meṅ, 6balki sirf isrāīl kī khoī huī bheṛoṅ ke pās. 7aur chalte chalte munādī karte jāo ki ‘āsmān kī bādshāhī qarīb ā chukī hai.’ 8bīmāroṅ ko shifā do, murdoṅ ko zindā karo, koṛhiyoṅ ko pāk-sāf karo, badrūhoṅ ko nikālo. tum ko muft meṅ milā hai, muft meṅ hī bāṅṭnā. 9apne kamarband meṅ paise na rakhnā - na sone, na chāṅdī aur na tāṁbe ke sikke. 10na safar ke liye baig ho, na ek se ziyādā sūṭ, na jūte, na lāṭhī. kyūṅki mazdūr apnī rozī kā haqdār hai.

11jis shahar yā gāoṅ meṅ dāḵẖil hote ho us meṅ kisī lāiq shaḵẖs kā patā karo aur ravānā hote vaqt tak usī ke ghar meṅ ṭhaharo. 12ghar meṅ dāḵẖil hote vaqt use duā-e-ḵẖair do. 13agar vah ghar is lāiq hogā to jo salāmatī tum ne us ke liye māṅgī hai vah us par ā kar ṭhaharī rahegī. agar nahīṅ to yah salāmatī tumhāre pās lauṭ āegī. 14agar koī gharānā yā shahar tum ko qabūl na kare, na tumhārī sune to ravānā hote vaqt us jagah kī gard apne pāoṅ se jhāṛ denā. 15maiṅ tumheṅ sacch batātā hūṅ, adālat ke din us shahar kī nisbat sadūm aur amūrā ke ilāqe kā hāl ziyādā qābil-e-bardāsht hogā.

āne vālī īzārasāniyāṅ

16dekho, maiṅ tum bheṛoṅ ko bheṛiyoṅ meṅ bhej rahā hūṅ. is liye sāṁpoṅ kī tarah hoshyār aur kabūtaroṅ kī tarah māsūm bano. 17logoṅ se ḵẖabardār raho, kyūṅki vah tum ko maqāmī adālatoṅ ke havāle karke apne ibādatḵẖānoṅ meṅ koṛe lagavāeṅge. 18merī ḵẖātir tumheṅ hukmarānoṅ aur bādshāhoṅ ke sāmne pesh kiyā jāegā aur yūṅ tum ko unheṅ aur ġairyahūdiyoṅ ko gavāhī dene kā mauqā milegā. 19jab vah tumheṅ giriftār kareṅge to yah sochte sochte pareshān na ho jānā ki maiṅ kyā kahūṅ yā kis tarah bāt karūṅ. us vaqt tum ko batāyā jāegā ki kyā kahanā hai, 20kyūṅki tum ḵẖud bāt nahīṅ karoge balki tumhāre bāp kā rūh tumhārī mārifat bolegā.

21bhāī apne bhāī ko aur bāp apne bacche ko maut ke havāle karegā. bacche apne vālidain ke ḵẖilāf khaṛe ho kar unheṅ qatl karavāeṅge. 22sab tum se nafrat kareṅge, is liye ki tum mere pairokār ho. lekin jo āḵẖir tak qāim rahegā use najāt milegī. 23jab vah ek shahar meṅ tumheṅ satāeṅge to kisī dūsre shahar ko hijrat kar jānā. maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki ibn-e-ādam kī āmad tak tum isrāīl ke tamām shaharoṅ tak nahīṅ pahuṅch pāoge.

24shāgird apne ustād se baṛā nahīṅ hotā, na ġulām apne mālik se. 25shāgird ko is par iktifā karnā hai ki vah apne ustād kī mānind ho, aur isī tarah ġulām ko ki vah apne mālik kī mānind ho. gharāne ke sarparast ko agar badrūhoṅ kā sardār bāl-zabūl qarār diyā gayā hai to us ke ghar vāloṅ ko kyā kuchh na kahā jāegā.

kis se ḍarnā hai?

26un se mat ḍarnā, kyūṅki jo kuchh abhī chhupā huā hai use āḵẖir meṅ zāhir kiyā jāegā, aur jo kuchh bhī is vaqt poshīdā hai us kā rāz āḵẖir meṅ khul jāegā. 27jo kuchh maiṅ tumheṅ aṅdhere meṅ sunā rahā hūṅ use roz-e-raushan meṅ sunā denā. aur jo kuchh āhistā āhistā tumhāre kān meṅ batāyā gayā hai us kā chhatoṅ se elān karo. 28un se ḵẖauf mat khānā jo tumhārī rūh ko nahīṅ balki sirf tumhāre jism ko qatl kar sakte haiṅ. allāh se ḍaro jo rūh aur jism donoṅ ko jahannum meṅ ḍāl kar halāk kar saktā hai. 29kyā chiṛiyoṅ kā joṛā kam paisoṅ meṅ nahīṅ biktā? tāham un meṅ se ek bhī tumhāre bāp kī ijāzat ke baġair zamīn par nahīṅ gir saktī. 30na sirf yah balki tumhāre sar ke sab bāl bhī gine hue haiṅ. 31lihāzā mat ḍaro. tumhārī qadar-o-qīmat bahut sī chiṛiyoṅ se kahīṅ ziyādā hai.

masīh kā iqrār yā inkār karne kā natījā

32jo bhī logoṅ ke sāmne merā iqrār kare us kā iqrār maiṅ ḵẖud bhī apne āsmānī bāp ke sāmne karūṅgā. 33lekin jo bhī logoṅ ke sāmne merā inkār kare us kā maiṅ bhī apne āsmānī bāp ke sāmne inkār karūṅgā.

īsā sulah-salāmatī kā bāis nahīṅ

34yah mat samjho ki maiṅ duniyā meṅ sulah-salāmatī qāim karne āyā hūṅ. maiṅ sulah-salāmatī nahīṅ balki talvār chalvāne āyā hūṅ. 35maiṅ beṭe ko us ke bāp ke ḵẖilāf khaṛā karne āyā hūṅ, beṭī ko us kī māṅ ke ḵẖilāf aur bahū ko us kī sās ke ḵẖilāf. 36insān ke dushman us ke apne ghar vāle hoṅge.

īsā aur us ke pairokāroṅ ko qabūl karne kā ajr

37jo apne bāp yā māṅ ko mujh se ziyādā piyār kare vah mere lāiq nahīṅ. jo apne beṭe yā beṭī ko mujh se ziyādā piyār kare vah mere lāiq nahīṅ. 38jo apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe na ho le vah mere lāiq nahīṅ. 39jo bhī apnī jān ko bachāe vah use kho degā, lekin jo apnī jān ko merī ḵẖātir kho de vah use pāegā.

īsā aur us ke pairokāroṅ ko qabūl karne kā ajr

40jo tumheṅ qabūl kare vah mujhe qabūl kartā hai, aur jo mujhe qabūl kartā hai vah us ko qabūl kartā hai jis ne mujhe bhejā hai. 41jo kisī nabī ko qabūl kare use nabī kā sā ajr milegā. aur jo kisī rāstbāz shaḵẖs ko us kī rāstbāzī ke sabab se qabūl kare use rāstbāz shaḵẖs kā sā ajr milegā. 42maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ ki jo in chhoṭoṅ meṅ se kisī ek ko merā shāgird hone ke bāis ṭhaṅḍe pānī kā galās bhī pilāe us kā ajr qāim rahegā.”