Marqus 9

1īsā ne unheṅ yah bhī batāyā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, yahāṅ kuchh aise log khaṛe haiṅ jo marne se pahale hī allāh kī bādshāhī ko qudrat ke sāth āte hue dekheṅge.”

pahāṛ par īsā kī sūrat badal jātī hai

2chhah din ke bād īsā sirf patras, yāqūb aur yūhannā ko apne sāth le kar ūṅche pahāṛ par chaṛh gayā. vahāṅ us kī shakl-o-sūrat un ke sāmne badal gaī. 3us ke kapṛe chamakne lage aur nihāyat safed ho gae. duniyā meṅ koī bhī dhobī kapṛe itne safed nahīṅ kar saktā. 4phir ilyās aur mūsā zāhir hue aur īsā se bāt karne lage. 5patras bol uṭhā, “ustād, kitnī acchhī bāt hai ki ham yahāṅ haiṅ. āeṅ, ham tīn jhoṁpaṛiyāṅ banāeṅ, ek āp ke liye, ek mūsā ke liye aur ek ilyās ke liye.” 6us ne yah is liye kahā ki tīnoṅ shāgird sahame hue the aur vah nahīṅ jāntā thā ki kyā kahe.

7is par ek bādal ā kar un par chhā gayā aur bādal meṅ se ek āvāz sunāī dī, “yah merā piyārā farzand hai. is kī suno.” 8achānak mūsā aur ilyās ġāib ho gae. shāgirdoṅ ne chāroṅ taraf dekhā, lekin sirf īsā nazar āyā.

9vah pahāṛ se utarne lage to īsā ne unheṅ hukm diyā, “jo kuchh tum ne dekhā hai use us vaqt tak kisī ko na batānā jab tak ki ibn-e-ādam murdoṅ meṅ se jī na uṭhe.”

10chunāṅche unhoṅ ne yah bāt apne tak mahdūd rakhī. lekin vah kaī bār āpas meṅ bahs karne lage ki murdoṅ meṅ se jī uṭhne se kyā murād ho saktī hai. 11phir unhoṅ ne us se pūchhā, “sharīat ke ulmā kyūṅ kahate haiṅ ki masīh kī āmad se pahale ilyās kā ānā zarūrī hai?”

12īsā ne javāb diyā, “ilyās to zarūr pahale sab kuchh bahāl karne ke liye āegā. lekin kalām-e-muqaddas meṅ ibn-e-ādam ke bāre meṅ yah kyūṅ likhā hai ki use bahut dukh uṭhānā aur haqīr samjhā jānā hai? 13lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ, ilyās to ā chukā hai aur unhoṅ ne us ke sāth jo chāhā kiyā. yah bhī kalām-e-muqaddas ke mutābiq hī huā hai.”

īsā laṛke meṅ se badruh nikāltā hai

14jab vah bāqī shāgirdoṅ ke pās vāpas pahuṅche to unhoṅ ne dekhā ki un ke gird ek baṛā hujūm jamā hai aur sharīat ke kuchh ulmā un ke sāth bahs kar rahe haiṅ. 15īsā ko dekhte hī logoṅ ne baṛī bechainī se us kī taraf dauṛ kar use salām kiyā. 16us ne shāgirdoṅ se savāl kiyā, “tum un ke sāth kis ke bāre meṅ bahs kar rahe ho?”

17hujūm meṅ se ek ādmī ne javāb diyā, “ustād, maiṅ apne beṭe ko āp ke pās lāyā thā. vah aisī badruh ke qabze meṅ hai jo use bolne nahīṅ detī. 18aur jab bhī vah us par ġālib ātī hai vah use zamīn par paṭak detī hai. beṭe ke muṅh se jhāg nikalne lagtā aur vah dāṅt pīsne lagtā hai. phir us kā jism akaṛ jātā hai. maiṅ ne āp ke shāgirdoṅ se kahā to thā ki vah badruh ko nikāl deṅ, lekin vah na nikāl sake.”

19īsā ne un se kahā, “īmān se ḵẖālī nasal! maiṅ kab tak tumhāre sāth rahūṅ, kab tak tumheṅ bardāsht karūṅ? laṛke ko mere pās le āo.” 20vah use īsā ke pās le āe.

īsā ko dekhte hī badruh laṛke ko jhaṅjhoṛne lagī. vah zamīn par gir gayā aur idhar udhar luṛhakte hue muṅh se jhāg nikālne lagā. 21īsā ne bāp se pūchhā, “is ke sāth kab se aisā ho rahā hai?”

us ne javāb diyā, “bachpan se. 22bahut dafā us ne ise halāk karne kī ḵẖātir āg yā pānī meṅ girāyā hai. agar āp kuchh kar sakte haiṅ to taras khā kar hamārī madad kareṅ.”

23īsā ne pūchhā, “kyā matlab, ‘agar āp kuchh kar sakte haiṅ’? jo īmān rakhtā hai us ke liye sab kuchh mumkin hai.”

24laṛke kā bāp fauran chillā uṭhā, “maiṅ īmān rakhtā hūṅ. merī be-etiqādī kā ilāj kareṅ.”

25īsā ne dekhā ki bahut se log dauṛ dauṛ kar dekhne ā rahe haiṅ, is liye us ne nāpāk rūh ko ḍāṅṭā, “ai gūṅgī aur baharī badruh, maiṅ tujhe hukm detā hūṅ ki is meṅ se nikal jā. kabhī bhī is meṅ dubārā dāḵẖil na honā!”

26is par badruh chīḵẖ uṭhī aur laṛke ko shiddat se jhaṅjhoṛ kar nikal gaī. laṛkā lāsh kī tarah zamīn par paṛā rahā, is liye sab ne kahā, “vah mar gayā hai.” 27lekin īsā ne us kā hāth pakaṛ kar uṭhne meṅ us kī madad kī aur vah khaṛā ho gayā.

28bād meṅ jab īsā kisī ghar meṅ jā kar apne shāgirdoṅ ke sāth akelā thā to unhoṅ ne us se pūchhā, “ham badruh ko kyūṅ na nikāl sake?”

29us ne javāb diyā, “is qism kī badruh sirf duā se nikālī jā saktī hai.”

īsā dūsrī dafā apnī maut kā zikr kartā hai

30vahāṅ se nikal kar vah galīl meṅ se guzre. īsā nahīṅ chāhatā thā ki kisī ko patā chale ki vah kahāṅ hai, 31kyūṅki vah apne shāgirdoṅ ko tālīm de rahā thā. us ne un se kahā, “ibn-e-ādam ko ādmiyoṅ ke havāle kar diyā jāegā. vah use qatl kareṅge, lekin tīn din ke bād vah jī uṭhegā.”

32lekin shāgird is kā matlab na samjhe aur vah īsā se is ke bāre meṅ pūchhne se ḍarte bhī the.

kaun sab se baṛā hai?

33chalte chalte vah kafarnahūm pahuṅche. jab vah kisī ghar meṅ the to īsā ne shāgirdoṅ se savāl kiyā, “rāste meṅ tum kis bāt par bahs kar rahe the?”

34lekin vah ḵẖāmosh rahe, kyūṅki vah rāste meṅ is par bahs kar rahe the ki ham meṅ se baṛā kaun hai? 35īsā baiṭh gayā aur bārah shāgirdoṅ ko bulā kar kahā, “jo avval honā chāhatā hai vah sab se āḵẖir meṅ āe aur sab kā ḵẖādim ho.” 36phir us ne ek chhoṭe bacche ko le kar un ke darmiyān khaṛā kiyā. use gale lagā kar us ne un se kahā, 37“jo mere nām meṅ in bacchoṅ meṅ se kisī ko qabūl kartā hai vah mujhe hī qabūl kartā hai. aur jo mujhe qabūl kartā hai vah mujhe nahīṅ balki use qabūl kartā hai jis ne mujhe bhejā hai.”

jo hamāre ḵẖilāf nahīṅ vah hamāre haq meṅ hai

38yūhannā bol uṭhā, “ustād, ham ne ek shaḵẖs ko dekhā jo āp kā nām le kar badruheṅ nikāl rahā thā. ham ne use manā kiyā, kyūṅki vah hamārī pairvī nahīṅ kartā.”

39lekin īsā ne kahā, “use manā na karnā. jo bhī mere nām meṅ mojizā kare vah agle lamhe mere bāre meṅ burī bāteṅ nahīṅ kah sakegā. 40kyūṅki jo hamāre ḵẖilāf nahīṅ vah hamāre haq meṅ hai. 41maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, jo bhī tumheṅ is vajah se pānī kā galās pilāe ki tum masīh ke pairokār ho use zarūr ajr milegā.

āzmāisheṅ

42aur jo koī mujh par īmān rakhne vāle in chhoṭoṅ meṅ se kisī ko gunāh karne par uksāe us ke liye behatar hai ki us ke gale meṅ baṛī chakkī kā pāṭ bāṅdh kar use samundar meṅ phaiṅk diyā jāe. 43-44 agar terā hāth tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ ḍālnā. is se pahale ki tū do hāthoṅ samet jahannum kī kabhī na bujhne vālī āg meṅ chalā jāe [yānī vahāṅ jahāṅ logoṅ ko khāne vāle kīṛe kabhī nahīṅ marte aur āg kabhī nahīṅ bujhtī] behatar yah hai ki tū ek hāth se maharūm ho kar abdī zindagī meṅ dāḵẖil ho. 45-46 agar terā pāoṅ tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ ḍālnā. is se pahale ki tujhe do pāoṅ samet jahannum meṅ phaiṅkā jāe [jahāṅ logoṅ ko khāne vāle kīṛe kabhī nahīṅ marte aur āg kabhī nahīṅ bujhtī] behatar yah hai ki tū ek pāoṅ se maharūm ho kar abdī zindagī meṅ dāḵẖil ho. 47-48 aur agar terī āṅkh tujhe gunāh karne par uksāe to use nikāl denā. is se pahale ki tujhe do āṅkhoṅ samet jahannum meṅ phaiṅkā jāe [jahāṅ logoṅ ko khāne vāle kīṛe kabhī nahīṅ marte aur āg kabhī nahīṅ bujhtī] behatar yah hai ki tū ek āṅkh se maharūm ho kar allāh kī bādshāhī meṅ dāḵẖil ho.

49kyūṅki har ek ko āg se namkīn kiyā jāegā [aur har ek qurbānī namak se namkīn kī jāegī].

50namak acchhī chīz hai. lekin agar us kā zāiqā jātā rahe to use kyūṅkar dubārā namkīn kiyā jā saktā hai? apne darmiyān namak kī khūbiyāṅ barqarār rakho aur sulah-salāmatī se ek dūsre ke sāth zindagī guzāro.”