Marqus 15

pīlātus ke sāmne

1subah-savere hī rāhanumā imām buzurgoṅ, sharīat ke ulmā aur pūrī yahūdī adālat-e-āliyā ke sāth mil kar faisle tak pahuṅch gae. vah īsā ko bāṅdh kar vahāṅ se le gae aur romī gavarnar pīlātus ke havāle kar diyā. 2pīlātus ne us se pūchhā, “kyā tum yahūdiyoṅ ke bādshāh ho?”

īsā ne javāb diyā, “jī, āp ḵẖud kahate haiṅ.”

3rāhanumā imāmoṅ ne us par bahut ilzām lagāe. 4chunāṅche pīlātus ne dubārā us se savāl kiyā, “kyā tum koī javāb nahīṅ doge? yah to tum par bahut se ilzāmāt lagā rahe haiṅ.”

5lekin īsā ne is par bhī koī javāb na diyā, aur pīlātus baṛā hairān huā.

sazā-e-maut kā faislā

6un dinoṅ yah rivāj thā ki har sāl fasah kī īd par ek qaidī ko rihā kar diyā jātā thā. yah qaidī avām se muntaḵẖab kiyā jātā thā. 7us vaqt kuchh ādmī jel meṅ the jo hukūmat ke ḵẖilāf kisī inqilābī taharīk meṅ sharīk hue the aur jinhoṅ ne baġāvat ke mauqe par qatl-o-ġārat kī thī. un meṅ se ek kā nām bar-abbā thā. 8ab hujūm ne pīlātus ke pās ā kar us se guzārish kī ki vah māmūl ke mutābiq ek qaidī ko āzād kar de. 9pīlātus ne pūchhā, “kyā tum chāhate ho ki maiṅ yahūdiyoṅ ke bādshāh ko āzād kar dūṅ?” 10vah jāntā thā ki rāhanumā imāmoṅ ne īsā ko sirf hasad kī binā par us ke havāle kiyā hai.

11lekin rāhanumā imāmoṅ ne hujūm ko uksāyā ki vah īsā ke bajāy bar-abbā ko māṅgeṅ. 12pīlātus ne savāl kiyā, “phir maiṅ is ke sāth kyā karūṅ jis kā nām tum ne yahūdiyoṅ kā bādshāh rakhā hai?”

13vah chīḵẖe, “use maslūb kareṅ.”

14pīlātus ne pūchhā, “kyūṅ? us ne kyā jurm kiyā hai?”

lekin log mazīd shor machā kar chīḵẖte rahe, “use maslūb kareṅ!”

15chunāṅche pīlātus ne hujūm ko mutmain karne kī ḵẖātir bar-abbā ko āzād kar diyā. us ne īsā ko koṛe lagāne ko kahā, phir use maslūb karne ke liye faujiyoṅ ke havāle kar diyā.

faujī īsā kā mazāq uṛāte haiṅ

16faujī īsā ko gavarnar ke mahal banām praiṭoriyum ke sahan meṅ le gae aur pūrī palṭan ko ikaṭṭhā kiyā. 17unhoṅ ne use arġvānī raṅg kā libās pahanāyā aur kāṅṭedār ṭahaniyoṅ kā ek tāj banā kar us ke sar par rakh diyā. 18phir vah use salām karne lage, “ai yahūdiyoṅ ke bādshāh, ādāb!” 19lāṭhī se us ke sar par mār mār kar vah us par thūkte rahe. ghuṭne ṭek kar unhoṅ ne use sijdā kiyā. 20phir us kā mazāq uṛāne se thak kar unhoṅ ne arġvānī libās utār kar use dubārā us ke apne kapṛe pahanāe. phir vah use maslūb karne ke liye bāhar le gae.

īsā ko maslūb kiyā jātā hai

21us vaqt libiyā ke shahar kuren kā rahane vālā ek ādmī banām shamāūn dīhāt se shahar ko ā rahā thā. vah sikandar aur rūfus kā bāp thā. jab vah īsā aur faujiyoṅ ke pās se guzarne lagā to faujiyoṅ ne use salīb uṭhāne par majbūr kiyā. 22yūṅ chalte chalte vah īsā ko ek maqām par le gae jis kā nām gulgutā (yānī khopṛī kā maqām) thā. 23vahāṅ unhoṅ ne use mai pesh kī jis meṅ mur milāyā gayā thā, lekin us ne pīne se inkār kiyā. 24phir faujiyoṅ ne use maslūb kiyā aur us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ liye. yah faislā karne ke liye ki kis ko kyā kyā milegā unhoṅ ne qur’ā ḍālā. 25nau baje subah kā vaqt thā jab unhoṅ ne use maslūb kiyā. 26ek taḵẖtī salīb par lagā dī gaī jis par yah ilzām likhā thā, “yahūdiyoṅ kā bādshāh.” 27do ḍākuoṅ ko bhī īsā ke sāth maslūb kiyā gayā, ek ko us ke dahane hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth. 28[yūṅ muqaddas kalām kā vah havālā pūrā huā jis meṅ likhā hai, ‘use mujrimoṅ meṅ shumār kiyā gayā.’]

29jo vahāṅ se guzre unhoṅ ne kufr bak kar us kī tazlīl kī aur sar hilā hilā kar apnī hiqārat kā izhār kiyā. unhoṅ ne kahā, “tū ne to kahā thā ki maiṅ bait-ul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar dūṅgā. 30ab salīb par se utar kar apne āp ko bachā!”

31rāhanumā imāmoṅ aur sharīat ke ulmā ne bhī īsā kā mazāq uṛā kar kahā, “is ne auroṅ ko bachāyā, lekin apne āp ko nahīṅ bachā saktā. 32usarāīl kā yah bādshāh masīh ab salīb par se utar āe tāki ham yah dekh kar īmān lāeṅ.” aur jin ādmiyoṅ ko us ke sāth maslūb kiyā gayā thā unhoṅ ne bhī use lān-tān kī.

īsā kī maut

33dopahar bārah baje pūrā mulk aṅdhere meṅ ḍūb gayā. yah tārīkī tīn ghaṅṭoṅ tak rahī. 34phir tīn baje īsā ūṅchī āvāz se pukār uṭhā, “elī, elī, lamā shabqatanī?” jis kā matlab hai, “ai mere ḵẖudā, ai mere ḵẖudā, tū ne mujhe kyūṅ tark kar diyā hai?”

35yah sun kar pās khaṛe kuchh log kahane lage, “vah ilyās nabī ko bulā rahā hai.” 36kisī ne dauṛ kar mai ke sirke meṅ ek isfaṅj ḍuboyā aur use ḍaṅḍe par lagā kar īsā ko chusāne kī koshish kī. vah bolā, “āo ham dekheṅ, shāyad ilyās ā kar use salīb par se utār le.”

37lekin īsā ne baṛe zor se chillā kar dam chhoṛ diyā.

38usī vaqt bait-ul-muqaddas ke muqaddastarīn kamre ke sāmne laṭkā huā pardā ūpar se le kar nīche tak do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. 39jab īsā ke muqābil khaṛe romī afsar [a] sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar. ne dekhā ki vah kis tarah marā to us ne kahā, “yah ādmī vāqaī allāh kā farzand thā!”

40kuchh ḵẖavātīn bhī vahāṅ thīṅ jo kuchh fāsile par us kā mushāhadā kar rahī thīṅ. un meṅ mariyam magdalīnī, chhoṭe yāqūb aur yoses kī māṅ mariyam aur salomī bhī thīṅ. 41galīl meṅ yah aurteṅ īsā ke pīchhe chal kar is kī ḵẖidmat kartī rahī thīṅ. kaī aur ḵẖavātīn bhī vahāṅ thīṅ jo us ke sāth yarūshalam ā gaī thīṅ.

īsā ko dafan kiyā jātā hai

42yah sab kuchh jumae ko huā jo agle din ke sabat ke liye tayyārī kā din thā. jab shām hone ko thī 43to arimatiyāh kā ek ādmī banām yūsuf himmat karke pīlātus ke pās gayā aur us se īsā kī lāsh māṅgī. (yūsuf yahūdī adālat-e-aliyā kā nāmvar maimbar thā aur allāh kī bādshāhī ke āne ke intizār meṅ thā.) 44pīlātus yah sun kar hairān huā ki īsā mar chukā hai. us ne romī afsar ko bulā kar us se pūchhā ki kyā īsā vāqaī mar chukā hai? 45jab afsar ne is kī tasdīq kī to pīlātus ne yūsuf ko lāsh de dī. 46yūsuf ne kafan ḵẖarīd liyā, phir īsā kī lāsh utār kar use katān ke kafan meṅ lapeṭā aur ek qabr meṅ rakh diyā jo chaṭān meṅ tarāshī gaī thī. āḵẖir meṅ us ne ek baṛā patthar luṛhkā kar qabr kā muṅh band kar diyā. 47mariyam magdalīnī aur yoses kī māṅ mariyam ne dekh liyā ki īsā kī lāsh kahāṅ rakhī gaī hai.

[a] sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar.