Marqus 10

talāq ke bāre meṅ tālīm

1phir īsā us jagah ko chhoṛ kar yahūdiyā ke ilāqe meṅ aur daryā-e-yardan ke pār chalā gayā. vahāṅ bhī hujūm jamā ho gayā. us ne unheṅ māmūl ke mutābiq tālīm dī.

2kuchh farīsī āe aur use phaṅsāne kī ġaraz se savāl kiyā, “kyā jāiz hai ki mard apnī bīvī ko talāq de?”

3īsā ne un se pūchhā, “mūsā ne sharīat meṅ tum ko kyā hidāyat kī hai?”

4unhoṅ ne kahā, “us ne ijāzat dī hai ki ādmī talāqnāmā likh kar bīvī ko ruḵẖsat kar de.”

5īsā ne javāb diyā, “mūsā ne tumhārī saḵẖtdilī kī vajah se tumhāre liye yah hukm likhā thā. 6lekin ibtidā meṅ aisā nahīṅ thā. duniyā kī taḵẖlīq ke vaqt allāh ne unheṅ mard aur aurat banāyā. 7‘is liye mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīvī ke sāth paivast ho jātā hai. 8vah donoṅ ek ho jāte haiṅ.’ yūṅ vah kalām-e-muqaddas ke mutābiq do nahīṅ rahate balki ek ho jāte haiṅ. 9to jise allāh ne ḵẖud joṛā hai use insān judā na kare.”

10kisī ghar meṅ ā kar shāgirdoṅ ne yah bāt dubārā chheṛ kar īsā se mazīd darayāft kiyā. 11us ne unheṅ batāyā, “jo apnī bīvī ko talāq de kar kisī aur se shādī kare vah us ke sāth zinā kartā hai. 12aur jo aurat apne ḵẖāvand ko talāq de kar kisī aur se shādī kare vah bhī zinā kartī hai.”

īsā chhoṭe bacchoṅ ko barkat detā hai

13ek din log apne chhoṭe bacchoṅ ko īsā ke pās lāe tāki vah unheṅ chhue. lekin shāgirdoṅ ne un ko malāmat kī. 14yah dekh kar īsā nārāz huā. us ne un se kahā, “bacchoṅ ko mere pās āne do aur unheṅ na roko, kyūṅki allāh kī bādshāhī in jaise logoṅ ko hāsil hai. 15maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, jo allāh kī bādshāhī ko bacche kī tarah qabūl na kare vah us meṅ dāḵẖil nahīṅ hogā.” 16yah kah kar us ne unheṅ gale lagāyā aur apne hāth un par rakh kar unheṅ barkat dī.

amīr mushkil se bādshāhī meṅ dāḵẖil ho sakte haiṅ

17jab īsā ravānā hone lagā to ek ādmī dauṛ kar us ke pās āyā aur us ke sāmne ghuṭne ṭek kar pūchhā, “nek ustād, maiṅ kyā karūṅ tāki abdī zindagī mīrās meṅ pāūṅ?”

18īsā ne pūchhā, “tū mujhe nek kyūṅ kahatā hai? koī nek nahīṅ sivā-e-ek ke aur vah hai allāh. 19tū sharīat ke ahkām se to vāqif hai. qatl na karnā, zinā na karnā, chorī na karnā, jhūṭī gavāhī na denā, dhokā na denā, apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā.”

20ādmī ne javāb diyā, “ustād, maiṅ ne javānī se āj tak in tamām ahkām kī pairvī kī hai.”

21īsā ne ġaur se us kī taraf dekhā. us ke dil meṅ us ke liye piyār ubhar āyā. vah bolā, “ek kām rah gayā hai. jā, apnī pūrī jāydād faroḵẖt karke paise ġarīboṅ meṅ taqsīm kar de. phir tere liye āsmān par ḵẖazānā jamā ho jāegā. is ke bād ā kar mere pīchhe ho le.” 22yah sun kar ādmī kā muṅh laṭak gayā aur vah māyūs ho kar chalā gayā, kyūṅki vah nihāyat daulatmand thā.

23īsā ne apne ird-gird dekh kar shāgirdoṅ se kahā, “daulatmandoṅ ke liye allāh kī bādshāhī meṅ dāḵẖil honā kitnā mushkil hai!”

24shāgird us ke yah alfāz sun kar hairān hue. lekin īsā ne dubārā kahā, “baccho! allāh kī bādshāhī meṅ dāḵẖil honā kitnā mushkil hai. 25amīr ke allāh kī bādshāhī meṅ dāḵẖil hone kī nisbat ziyādā āsān yah hai ki ūṅṭ sūī ke nāke meṅ se guzar jāe.”

26is par shāgird mazīd hairatzadā hue aur ek dūsre se kahane lage, “phir kis ko najāt mil saktī hai?”

27īsā ne ġaur se un kī taraf dekh kar javāb diyā, “yah insān ke liye to nāmumkin hai, lekin allāh ke liye nahīṅ. us ke liye sab kuchh mumkin hai.”

28phir patras bol uṭhā, “ham to apnā sab kuchh chhoṛ kar āp ke pīchhe ho liye haiṅ.”

29īsā ne javāb diyā, “maiṅ tum ko sacch batātā hūṅ, jis ne bhī merī aur allāh kī ḵẖushḵẖabarī kī ḵẖātir apne ghar, bhāiyoṅ, bahanoṅ, māṅ, bāp, bacchoṅ yā khetoṅ ko chhoṛ diyā hai 30use is zamāne meṅ īzārasānī ke sāth sāth sau gunā ziyādā ghar, bhāī, bahaneṅ, māeṅ, bacche aur khet mil jāeṅge. aur āne vāle zamāne meṅ use abdī zindagī milegī. 31lekin bahut se log jo ab avval haiṅ us vaqt āḵẖir hoṅge aur jo ab āḵẖir haiṅ vah avval hoṅge.”

īsā tīsrī dafā apnī maut kā zikr kartā hai

32ab vah yarūshalam kī taraf baṛh rahe the aur īsā un ke āge āge chal rahā thā. shāgird hairatzadā the jabki un ke pīchhe chalne vāle log sahame hue the. ek aur dafā bārah shāgirdoṅ ko ek taraf le jā kar īsā unheṅ vah kuchh batāne lagā jo us ke sāth hone ko thā. 33us ne kahā, “ham yarūshalam kī taraf baṛh rahe haiṅ. vahāṅ ibn-e-ādam ko rāhanumā imāmoṅ aur sharīat ke ulmā ke havāle kar diyā jāegā. vah us par sazā-e-maut kā fatwā de kar use ġairyahūdiyoṅ ke havāle kar deṅge, 34jo us kā mazāq uṛāeṅge, us par thūkeṅge, us ko koṛe māreṅge aur use qatl kareṅge. lekin tīn din ke bād vah jī uṭhegā.”

yāqūb aur yūhannā kī guzārish

35phir zabdī ke beṭe yāqūb aur yūhannā us ke pās āe. vah kahane lage, “ustād, āp se ek guzārish hai.”

36us ne pūchhā, “tum kyā chāhate ho ki maiṅ tumhāre liye karūṅ?”

37unhoṅ ne javāb diyā, “jab āp apne jalālī taḵẖt par baiṭheṅge to ham meṅ se ek ko apne dāeṅ hāth baiṭhne deṅ aur dūsre ko bāeṅ hāth.”

38īsā ne kahā, “tum ko nahīṅ mālūm ki kyā māṅg rahe ho. kyā tum vah piyālā pī sakte ho jo maiṅ pīne ko hūṅ yā vah baptismā le sakte ho jo maiṅ lene ko hūṅ?”

39unhoṅ ne javāb diyā, “jī, ham kar sakte haiṅ.” phir īsā ne un se kahā, “tum zarūr vah piyālā piyoge jo maiṅ pīne ko hūṅ aur vah baptismā loge jo maiṅ lene ko hūṅ. 40lekin yah faislā karnā merā kām nahīṅ ki kaun mere dāeṅ hāth baiṭhegā aur kaun bāeṅ hāth. allāh ne yah maqām sirf un hī ke liye tayyār kiyā hai jin ko us ne ḵẖud muqarrar kiyā hai.”

41jab bāqī das shāgirdoṅ ne yah sunā to unheṅ yāqūb aur yūhannā par ġussā āyā. 42is par īsā ne un sab ko bulā kar kahā, “tum jānte ho ki qaumoṅ ke hukmarān apnī r’āyā par rob ḍālte haiṅ, aur un ke baṛe afsar un par apne iḵẖtiyār kā ġalat istemāl karte haiṅ. 43lekin tumhāre darmiyān aisā nahīṅ hai. jo tum meṅ baṛā honā chāhe vah tumhārā ḵẖādim bane 44aur jo tum meṅ avval honā chāhe vah sab kā ġulām bane. 45kyūṅki ibn-e-ādam bhī is liye nahīṅ āyā ki ḵẖidmat le balki is liye ki ḵẖidmat kare aur apnī jān fidyā ke taur par de kar bahutoṅ ko chhuṛāe.”

aṅdhe baratimāī kī shifā

46vah yarīhū pahuṅch gae. us meṅ se guzar kar īsā shāgirdoṅ aur ek baṛe hujūm ke sāth bāhar nikalne lagā. vahāṅ ek aṅdhā bhīk māṅgne vālā rāste ke kināre baiṭhā thā. us kā nām baratimāī (timāī kā beṭā) thā. 47jab us ne sunā ki īsā nāsrī qarīb hī hai to vah chillāne lagā, “īsā ibn-e-dāūd, mujh par raham kareṅ!”

48bahut se logoṅ ne use ḍāṅṭ kar kahā, “ḵẖāmosh!” lekin vah mazīd ūṅchī āvāz se pukārtā rahā, “ibn-e-dāūd, mujh par raham kareṅ!”

49īsā ruk kar bolā, “use bulāo.”

chunāṅche unhoṅ ne use bulā kar kahā, “hauslā rakh. uṭh, vah tujhe bulā rahā hai.”

50baratimāī ne apnī chādar zamīn par phaiṅk dī aur uchhal kar īsā ke pās āyā.

51īsā ne pūchhā, “tū kyā chāhatā hai ki maiṅ tere liye karūṅ?”

us ne javāb diyā, “ustād, yah ki maiṅ dekh sakūṅ.”

52īsā ne kahā, “jā, tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.”

jūṅ hī īsā ne yah kahā aṅdhe kī āṅkheṅ bahāl ho gaīṅ aur vah īsā ke pīchhe chalne lagā.