Malāqī 4

1rabb-ul-afwāj farmātā hai, “yaqīnan vah din āne vālā hai jab merā ġazab bhaṛaktī bhaṭṭī kī tarah nāzil ho kar har gustāḵẖ aur bedīn shaḵẖs ko bhūse kī tarah bhasm kar degā. vah jaṛ se le kar shāḵẖ tak miṭ jāeṅge.

2lekin tum par jo mere nām kā ḵẖauf mānte ho rāstī kā sūraj tulū hogā, aur us ke paroṅ tale shifā hogī. tab tum bāhar nikal kar khule chhoṛe hue bachhṛoṅ kī tarah ḵẖushī se kūdte phāṅdte phiroge. 3jis din maiṅ yah kuchh karūṅgā us din tum bedīnoṅ ko yūṅ kuchal ḍāloge ki vah pāoṅ tale kī ḵẖāk ban jāeṅge.” yah rabb-ul-afwāj kā farmān hai.

4“mere ḵẖādim mūsā kī sharīat ko yād rakho yānī vah tamām ahkām aur hidāyāt jo maiṅ ne use horib yānī sīnā pahāṛ par isrāīlī qaum ke liye dī thīṅ. 5rabb ke us azīm aur haulnāk din se pahale maiṅ tumhāre pās ilyās nabī ko bhejūṅgā. 6jab vah āegā to bāp kā dil beṭe aur beṭe kā dil bāp kī taraf māil karegā tāki maiṅ ā kar mulk ko apne liye maḵẖsūs karke nest-o-nābūd na karūṅ.”