Lūqā 19

īsā aur zakkāī

1phir īsā yarīhū meṅ dāḵẖil huā aur us meṅ se guzarne lagā. 2us shahar meṅ ek amīr ādmī banām zakkāī rahatā thā jo ṭaiks lene vāloṅ kā afsar thā. 3vah jānnā chāhatā thā ki yah īsā kaun hai, lekin pūrī koshish karne ke bāvujūd use dekh na sakā, kyūṅki īsā ke ird-gird baṛā hujūm thā aur zakkāī kā qad chhoṭā thā. 4is liye vah dauṛ kar āge niklā aur use dekhne ke liye anjīr-tūt [a] ek sāyādār daraḵẖt jis meṅ anjīr kī tarah kā ḵẖurdanī phal lagtā hai. is ke phūl zard aur ārāishī hote haiṅ. misrī tūt. jamīz. fichus sayachomorus. ke daraḵẖt par chaṛh gayā jo rāste meṅ thā. 5jab īsā vahāṅ pahuṅchā to us ne nazar uṭhā kar kahā, “zakkāī, jaldī se utar ā, kyūṅki āj mujhe tere ghar meṅ ṭhaharnā hai.”

6zakkāī fauran utar āyā aur ḵẖushī se us kī mehamān-navāzī kī. 7yah dekh kar bāqī tamām log buṛbuṛāne lage, “is ke ghar meṅ jā kar vah ek gunāhgār ke mehamān ban gae haiṅ.”

8lekin zakkāī ne ḵẖudāvand ke sāmne khaṛe ho kar kahā, “ḵẖudāvand, maiṅ apne māl kā ādhā hissā ġarīboṅ ko de detā hūṅ. aur jis se maiṅ ne nājāiz taur se kuchh liyā hai use chār gunā vāpas kartā hūṅ.”

9īsā ne us se kahā, “āj is gharāne ko najāt mil gaī hai, is liye ki yah bhī ibrāhīm kā beṭā hai. 10kyūṅki ibn-e-ādam gumshudā ko ḍhūṅḍne aur najāt dene ke liye āyā hai.”

paisoṅ meṅ izāfā

11ab īsā yarūshalam ke qarīb ā chukā thā, is liye log andāzā lagāne lage ki allāh kī bādshāhī zāhir hone vālī hai. is ke pesh-e-nazar īsā ne apnī yah bāteṅ sunne vāloṅ ko ek tamsīl sunāī. 12us ne kahā, “ek navāb kisī dūrdarāz mulk ko chalā gayā tāki use bādshāh muqarrar kiyā jāe. phir use vāpas ānā thā. 13ravānā hone se pahale us ne apne naukroṅ meṅ se das ko bulā kar unheṅ sone kā ek ek sikkā diyā. sāth sāth us ne kahā, ‘yah paise le kar us vaqt tak kārobār meṅ lagāo jab tak maiṅ vāpas na āūṅ.’ 14lekin us kī r’āyā us se nafrat rakhtī thī, is liye us ne us ke pīchhe vafad bhej kar ittilā dī, ‘ham nahīṅ chāhate ki yah ādmī hamārā bādshāh bane.’

15to bhī use bādshāh muqarrar kiyā gayā. is ke bād jab vāpas āyā to us ne un naukroṅ ko bulāyā jinheṅ us ne paise die the tāki mālūm kare ki unhoṅ ne yah paise kārobār meṅ lagā kar kitnā izāfā kiyā hai. 16pahalā naukar āyā. us ne kahā, ‘janāb, āp ke ek sikke se das ho gae haiṅ.’ 17mālik ne kahā, ‘shābāsh, acchhe naukar. tū thoṛe meṅ vafādār rahā, is liye ab tujhe das shaharoṅ par iḵẖtiyār milegā.’ 18phir dūsrā naukar āyā. us ne kahā, ‘janāb, āp ke ek sikke se pāṅch ho gae haiṅ.’ 19mālik ne us se kahā, ‘tujhe pāṅch shaharoṅ par iḵẖtiyār milegā.’

20phir ek aur naukar ā kar kahane lagā, ‘janāb, yah āp kā sikkā hai. maiṅ ne ise kapṛe meṅ lapeṭ kar mahfūz rakhā, 21kyūṅki maiṅ āp se ḍartā thā, is liye ki āp saḵẖt ādmī haiṅ. jo paise āp ne nahīṅ lagāe unheṅ le lete haiṅ aur jo bīj āp ne nahīṅ boyā us kī fasal kāṭte haiṅ.’ 22mālik ne kahā, ‘sharīr naukar! maiṅ tere apne alfāz ke mutābiq terī adālat karūṅgā. jab tū jāntā thā ki maiṅ saḵẖt ādmī hūṅ, ki vah paise le letā hūṅ jo ḵẖud nahīṅ lagāe aur vah fasal kāṭtā hūṅ jis kā bīj nahīṅ boyā, 23to phir tū ne mere paise baiṅk meṅ kyūṅ na jamā karāe? agar tū aisā kartā to vāpsī par mujhe kam az kam vah paise sūd samet mil jāte.’

24yah kah kar vah hāzirīn se muḵẖātib huā, ‘yah sikkā is se le kar us naukar ko de do jis ke pās das sikke haiṅ.’ 25unhoṅ ne etirāz kiyā, ‘janāb, us ke pās to pahale hī das sikke haiṅ.’ 26us ne javāb diyā, ‘maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki har shaḵẖs jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā, lekin jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se vah bhī chhīn liyā jāegā jo us ke pās hai. 27ab un dushmanoṅ ko le āo jo nahīṅ chāhate the ki maiṅ un kā bādshāh banūṅ. unheṅ mere sāmne phāṅsī de do’.”

yarūshalam meṅ īsā kā purjosh istiqbāl

28in bātoṅ ke bād īsā dūsroṅ ke āge āge yarūshalam kī taraf baṛhne lagā. 29jab vah bait-fage aur bait-aniyāh ke qarīb pahuṅchā jo zaitūn ke pahāṛ par the to us ne do shāgirdoṅ ko apne āge bhej kar 30kahā, “sāmne vāle gāoṅ meṅ jāo. vahāṅ tum ek javān gadhā dekhoge. vah baṅdhā huā hogā aur ab tak koī bhī us par savār nahīṅ huā hai. use khol kar le āo. 31agar koī pūchhe ki gadhe ko kyūṅ khol rahe ho to use batā denā ki ḵẖudāvand ko is kī zarūrat hai.”

32donoṅ shāgird gae to dekhā ki sab kuchh vaisā hī hai jaisā īsā ne unheṅ batāyā thā. 33jab vah javān gadhe ko kholne lage to us ke mālikoṅ ne pūchhā, “tum gadhe ko kyūṅ khol rahe ho?”

34unhoṅ ne javāb diyā, “ḵẖudāvand ko is kī zarūrat hai.” 35vah use īsā ke pās le āe, aur apne kapṛe gadhe par rakh kar us ko us par savār kiyā. 36jab vah chal paṛā to logoṅ ne us ke āge āge rāste meṅ apne kapṛe bichhā die.

37chalte chalte vah us jagah ke qarīb pahuṅchā jahāṅ rāstā zaitūn ke pahāṛ par se utarne lagtā hai. is par shāgirdoṅ kā pūrā hujūm ḵẖushī ke māre ūṅchī āvāz se un mojizoṅ ke liye allāh kī tamjīd karne lagā jo unhoṅ ne dekhe the,

38“mubārak hai vah bādshāh

jo rabb ke nām se ātā hai.

āsmān par salāmatī ho aur bulandiyoṅ par izzat-o-jalāl.”

39kuchh farīsī bhīṛ meṅ the. unhoṅ ne īsā se kahā, “ustād, apne shāgirdoṅ ko samjhāeṅ.”

40us ne javāb diyā, “maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, agar yah chup ho jāeṅ to patthar pukār uṭheṅge.”

īsā shahar ko dekh kar ro paṛtā hai

41jab vah yarūshalam ke qarīb pahuṅchā to shahar ko dekh kar ro paṛā 42aur kahā, “kāsh tū bhī is din pahachān letī ki terī salāmatī kis meṅ hai. lekin ab yah bāt terī āṅkhoṅ se chhupī huī hai. 43kyūṅki tujh par aisā vaqt āegā ki tere dushman tere ird-gird band bāṅdh kar terā muhāsarā kareṅge aur yūṅ tujhe chāroṅ taraf se gher kar taṅg kareṅge. 44vah tujhe tere bacchoṅ samet zamīn par paṭkeṅge aur tere andar ek bhī patthar dūsre par nahīṅ chhoṛeṅge. aur vajah yahī hogī ki tū ne vah vaqt nahīṅ pahachānā jab allāh ne terī najāt ke liye tujh par nazar kī.”

īsā bait-ul-muqaddas meṅ jātā hai

45phir īsā bait-ul-muqaddas meṅ jā kar unheṅ nikālne lagā jo vahāṅ qurbāniyoṅ ke liye darkār chīzeṅ bech rahe the. us ne kahā, 46“kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘merā ghar duā kā ghar hogā’ jabki tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.”

47aur vah rozānā bait-ul-muqaddas meṅ tālīm detā rahā. lekin bait-ul-muqaddas ke rāhanumā imām, sharīat ke ālim aur avāmī rāhanumā use qatl karne ke liye koshāṅ rahe, 48alabattā unheṅ koī mauqā na milā, kyūṅki tamām log īsā kī har bāt sun sun kar us se lipṭe rahate the.

[a] ek sāyādār daraḵẖt jis meṅ anjīr kī tarah kā ḵẖurdanī phal lagtā hai. is ke phūl zard aur ārāishī hote haiṅ. misrī tūt. jamīz. fichus sayachomorus.