Lūqā 15

khoī huī bheṛ

1ab aisā thā ki tamām ṭaiks lene vāle aur gunāhgār īsā kī bāteṅ sunne ke liye us ke pās āte the. 2yah dekh kar farīsī aur sharīat ke ālim buṛbuṛāne lage, “yah ādmī gunāhgāroṅ ko ḵẖush’āmadīd kah kar un ke sāth khānā khātā hai.” 3is par īsā ne unheṅ yah tamsīl sunāī,

4“farz karo ki tum meṅ se kisī kī sau bheṛeṅ haiṅ. lekin ek gum ho jātī hai. ab mālik kyā karegā? kyā vah bāqī 99 bheṛeṅ khule maidān meṅ chhoṛ kar gumshudā bheṛ ko ḍhūṅḍne nahīṅ jāegā? zarūr jāegā, balki jab tak use vah bheṛ mil na jāe vah us kī talāsh meṅ rahegā. 5phir vah ḵẖush ho kar use apne kaṅdhoṅ par uṭhā legā. 6yūṅ chalte chalte vah apne ghar pahuṅch jāegā aur vahāṅ apne dostoṅ aur hamsāiyoṅ ko bulā kar un se kahegā, ‘mere sāth ḵẖushī manāo! kyūṅki mujhe apnī khoī huī bheṛ mil gaī hai.’ 7maiṅ tum ko batātā hūṅ ki āsmān par bilkul isī tarah ḵẖushī manāī jāegī jab ek hī gunāhgār taubā karegā. aur yah ḵẖushī us ḵẖushī kī nisbat ziyādā hogī jo un 99 afrād ke bāis manāī jāegī jinheṅ taubā karne kī zarūrat hī nahīṅ thī.

gumshudā sikkā

8yā farz karo ki kisī aurat ke pās das sikke hoṅ lekin ek sikkā gum ho jāe. ab aurat kyā karegī? kyā vah charāġ jalā kar aur ghar meṅ jhāṛū de de kar baṛī ehatiyāt se sikke ko talāsh nahīṅ karegī? zarūr karegī, balki vah us vaqt tak ḍhūṅḍtī rahegī jab tak use sikkā mil na jāe. 9jab use sikkā mil jāegā to vah apnī saheliyoṅ aur hamsāiyoṅ ko bulā kar un se kahegī, ‘mere sāth ḵẖushī manāo! kyūṅki mujhe apnā gumshudā sikkā mil gayā hai.’ 10maiṅ tum ko batātā hūṅ ki bilkul isī tarah allāh ke farishtoṅ ke sāmne ḵẖushī manāī jātī hai jab ek bhī gunāhgār taubā kartā hai.”

gumshudā beṭā

11īsā ne apnī bāt jārī rakhī. “kisī ādmī ke do beṭe the. 12in meṅ se chhoṭe ne bāp se kahā, ‘ai bāp, mīrās kā merā hissā de deṅ.’ is par bāp ne donoṅ meṅ apnī milkiyat taqsīm kar dī. 13thoṛe dinoṅ ke bād chhoṭā beṭā apnā sārā sāmān sameṭ kar apne sāth kisī dūrdarāz mulk meṅ le gayā. vahāṅ us ne ayyāshī meṅ apnā pūrā māl-o-matā uṛā diyā. 14sab kuchh zāe ho gayā to us mulk meṅ saḵẖt kāl paṛā. ab vah zarūratmand hone lagā. 15natīje meṅ vah us mulk ke kisī bāshinde ke hāṅ jā paṛā jis ne use sūaroṅ ko charāne ke liye apne khetoṅ meṅ bhej diyā. 16vahāṅ vah apnā peṭ un phaliyoṅ se bharne kī shadīd ḵẖwāhish rakhtā thā jo sūar khāte the, lekin use is kī bhī ijāzat na milī. 17phir vah hosh meṅ āyā. vah kahane lagā, mere bāp ke kitne mazdūroṅ ko kasrat se khānā miltā hai jabki maiṅ yahāṅ bhūkā mar rahā hūṅ. 18maiṅ uṭh kar apne bāp ke pās vāpas chalā jāūṅgā aur us se kahūṅgā, ‘ai bāp, maiṅ ne āsmān kā aur āp kā gunāh kiyā hai. 19ab maiṅ is lāiq nahīṅ rahā ki āp kā beṭā kahalāūṅ. meharbānī karke mujhe apne mazdūroṅ meṅ rakh leṅ.’ 20phir vah uṭh kar apne bāp ke pās vāpas chalā gayā.

lekin vah ghar se abhī dūr hī thā ki us ke bāp ne use dekh liyā. use taras āyā aur vah bhāg kar beṭe ke pās āyā aur gale lagā kar use bosā diyā. 21beṭe ne kahā, ‘ai bāp, maiṅ ne āsmān kā aur āp kā gunāh kiyā hai. ab maiṅ is lāiq nahīṅ rahā ki āp kā beṭā kahalāūṅ.’ 22lekin bāp ne apne naukroṅ ko bulāyā aur kahā, ‘jaldī karo, behtarīn sūṭ lā kar ise pahanāo. is ke hāth meṅ aṅgūṭhī aur pāoṅ meṅ jūte pahanā do. 23phir moṭā-tāzā bachhṛā lā kar use zabah karo tāki ham khāeṅ aur ḵẖushī manāeṅ, 24kyūṅki yah merā beṭā murdā thā ab zindā ho gayā hai, gum ho gayā thā ab mil gayā hai.’ is par vah ḵẖushī manāne lage.

25is daurān bāp kā baṛā beṭā khet meṅ thā. ab vah ghar lauṭā. jab vah ghar ke qarīb pahuṅchā to andar se mūsīqī aur nāchne kī āvāzeṅ sunāī dīṅ. 26us ne kisī naukar ko bulā kar pūchhā, ‘yah kyā ho rahā hai?’ 27naukar ne javāb diyā, ‘āp kā bhāī ā gayā hai aur āp ke bāp ne moṭā-tāzā bachhṛā zabah karvāyā hai, kyūṅki use apnā beṭā sahīh-salāmat vāpas mil gayā hai.’

28yah sun kar baṛā beṭā ġusse huā aur andar jāne se inkār kar diyā. phir bāp ghar se nikal kar use samjhāne lagā. 29lekin us ne javāb meṅ apne bāp se kahā, ‘dekheṅ, maiṅ ne itne sāl āp kī ḵẖidmat meṅ saḵẖt mehanat-mashaqqat kī hai aur ek dafā bhī āp kī marzī kī ḵẖilāfvarzī nahīṅ kī. to bhī āp ne mujhe is pūre arse meṅ ek chhoṭā bakrā bhī nahīṅ diyā ki use zabah karke apne dostoṅ ke sāth ziyāfat kartā. 30lekin jūṅ hī āp kā yah beṭā āyā jis ne āp kī daulat kasbiyoṅ meṅ uṛā dī, āp ne us ke liye moṭā-tāzā bachhṛā zabah karvāyā.’ 31bāp ne javāb diyā, ‘beṭā, āp to har vaqt mere pās rahe haiṅ, aur jo kuchh merā hai vah āp hī kā hai. 32lekin ab zarūrī thā ki ham jashn manāeṅ aur ḵẖush hoṅ. kyūṅki āp kā yah bhāī jo murdā thā ab zindā ho gayā hai, jo gum ho gayā thā ab mil gayā hai’.”