Lūqā 11

duā kis tarah karnī hai

1ek din īsā kahīṅ duā kar rahā thā. jab vah fāriġ huā to us ke kisī shāgird ne kahā, “ḵẖudāvand, hameṅ duā karnā sikhāeṅ, jis tarah yahayā ne bhī apne shāgirdoṅ ko duā karne kī tālīm dī.”

2īsā ne kahā, “duā karte vaqt yūṅ kahanā,

ai bāp,

terā nām muqaddas mānā jāe.

terī bādshāhī āe.

3har roz hameṅ hamārī roz kī roṭī de.

4hamāre gunāhoṅ ko muāf kar.

kyūṅki ham bhī har ek ko muāf karte haiṅ

jo hamārā gunāh kartā hai. [a] lafzī tarjumā : jo hamārā qarzdār hai.

aur hameṅ āzmāish meṅ na paṛne de.”

māṅgte raho

5phir us ne un se kahā, “agar tum meṅ se koī ādhī rāt ke vaqt apne dost ke ghar jā kar kahe, ‘bhāī, mujhe tīn roṭiyāṅ de, bād meṅ maiṅ yah vāpas kar dūṅgā. 6kyūṅki merā dost safar karke mere pās āyā hai aur maiṅ use khāne ke liye kuchh nahīṅ de saktā.’ 7ab farz karo ki yah dost andar se javāb de, ‘meharbānī karke mujhe taṅg na kar. darvāze par tālā lagā hai aur mere bacche mere sāth bistar par haiṅ, is liye maiṅ tujhe dene ke liye uṭh nahīṅ saktā.’ 8lekin maiṅ tum ko yah batātā hūṅ ki agar vah dostī kī ḵẖātir na bhī uṭhe, to bhī vah apne dost ke bejā isrār kī vajah se us kī tamām zarūrat pūrī karegā.

9chunāṅche māṅgte raho to tum ko diyā jāegā, ḍhūṅḍte raho to tum ko mil jāegā. khaṭkhaṭāte raho to tumhāre liye darvāzā khol diyā jāegā. 10kyūṅki jo bhī māṅgtā hai vah pātā hai, jo ḍhūṅḍtā hai use miltā hai aur jo khaṭkhaṭātā hai us ke liye darvāzā khol diyā jātā hai. 11tum bāpoṅ meṅ se kaun apne beṭe ko sāṁp degā agar vah machhlī māṅge? 12yā kaun use bicchhū degā agar vah aṅḍā māṅge? koī nahīṅ! 13jab tum bure hone ke bāvujūd itne samajhdār ho ki apne bacchoṅ ko acchhī chīzeṅ de sakte ho to phir kitnī ziyādā yaqīnī bāt hai ki āsmānī bāp apne māṅgne vāloṅ ko rūh-ul-quds degā.”

īsā aur badrūhoṅ kā sardār

14ek din īsā ne ek aisī badruh nikāl dī jo gūṅgī thī. jab vah gūṅge ādmī meṅ se niklī to vah bolne lagā. vahāṅ par jamā log hakkā-bakkā rah gae. 15lekin bāz ne kahā, “yah to badrūhoṅ ke sardār bāl-zabūl kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hai.”

16auroṅ ne use āzmāne ke liye kisī ilāhī nishān kā mutālbā kiyā. 17lekin īsā ne un ke ḵẖayālāt jān kar kahā, “jis bādshāhī meṅ bhī phūṭ paṛ jāe vah tabāh ho jāegī, aur jis gharāne kī aisī hālat ho vah bhī ḵẖāk meṅ mil jāegā. 18tum kahate ho ki maiṅ bāl-zabūl kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hūṅ. lekin agar iblīs meṅ phūṭ paṛ gaī hai to phir us kī bādshāhī kis tarah qāim rah saktī hai? 19dūsrā savāl yah hai, agar maiṅ bāl-zabūl kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hūṅ to tumhāre beṭe unheṅ kis ke zarīe nikālte haiṅ? chunāṅche vahī is bāt meṅ tumhāre munsif hoṅge. 20lekin agar maiṅ allāh kī qudrat se badrūhoṅ ko nikāltā hūṅ to phir allāh kī bādshāhī tumhāre pās pahuṅch chukī hai.

21jab tak koī zorāvar ādmī hathiyāroṅ se les apne ḍere kī paharādārī kare us vaqt tak us kī milkiyat mahfūz rahatī hai. 22lekin agar koī ziyādā tāqatvar shaḵẖs hamlā karke us par ġālib āe to vah us ke asalihā par qabzā karegā jis par us kā bharosā thā, aur lūṭā huā māl apne logoṅ meṅ taqsīm kar degā.

23jo mere sāth nahīṅ vah mere ḵẖilāf hai aur jo mere sāth jamā nahīṅ kartā vah bikhertā hai.

badruh kī vāpsī

24jab koī badruh kisī shaḵẖs meṅ se nikaltī hai to vah vīrān ilāqoṅ meṅ se guzartī huī ārām kī jagah talāsh kartī hai. lekin jab use koī aisā maqām nahīṅ miltā to vah kahatī hai, ‘maiṅ apne us ghar meṅ vāpas chalī jāūṅgī jis meṅ se niklī thī.’ 25vah vāpas ā kar dekhtī hai ki kisī ne jhāṛū de kar sab kuchh salīqe se rakh diyā hai. 26phir vah jā kar sāt aur badruheṅ ḍhūṅḍ lātī hai jo us se badtar hotī haiṅ, aur vah sab us shaḵẖs meṅ ghus kar rahane lagtī haiṅ. chunāṅche ab us ādmī kī hālat pahale kī nisbat ziyādā burī ho jātī hai.”

kaun mubārak hai?

27īsā abhī yah bāt kar hī rahā thā ki ek aurat ne ūṅchī āvāz se kahā, “āp kī māṅ mubārak hai jis ne āp ko janm diyā aur āp ko dūdh pilāyā.”

28lekin īsā ne javāb diyā, “bāt yah nahīṅ hai. haqīqat meṅ vah mubārak haiṅ jo allāh kā kalām sun kar us par amal karte haiṅ.”

ilāhī nishān kā taqāzā

29sunne vāloṅ kī tādād bahut baṛh gaī to vah kahane lagā, “yah nasal sharīr hai, kyūṅki yah mujh se ilāhī nishān kā taqāzā kartī hai. lekin ise koī bhī ilāhī nishān pesh nahīṅ kiyā jāegā sivā-e-yūnus ke nishān ke. 30kyūṅki jis tarah yūnus nīnvā shahar ke bāshindoṅ ke liye nishān thā bilkul usī tarah ibn-e-ādam is nasal ke liye nishān hogā. 31qiyāmat ke din junūbī mulk sabā kī malikā is nasal ke logoṅ ke sāth khaṛī ho kar unheṅ mujrim qarār degī. kyūṅki vah dūrdarāz mulk se sulemān kī hikmat sunne ke liye āī thī jabki yahāṅ vah hai jo sulemān se bhī baṛā hai. 32us din nīnvā ke bāshinde bhī is nasal ke logoṅ ke sāth khaṛe ho kar unheṅ mujrim ṭhaharāeṅge. kyūṅki yūnus ke elān par unhoṅ ne taubā kī thī jabki yahāṅ vah hai jo yūnus se bhī baṛā hai.

badan kī raushnī

33jab koī shaḵẖs charāġ jalātā hai to na vah use chhupātā, na bartan ke nīche rakhtā balki use shamādān par rakh detā hai tāki us kī raushnī andar āne vāloṅ ko nazar āe. 34terī āṅkh tere badan kā charāġ hai. agar terī āṅkh ṭhīk ho to terā pūrā jism raushan hogā. lekin agar āṅkh ḵẖarāb ho to pūrā jism aṅdherā hī aṅdherā hogā. 35ḵẖabardār! aisā na ho ki jo raushnī tere andar hai vah haqīqat meṅ tārīkī ho. 36chunāṅche agar terā pūrā jism raushan ho aur koī bhī hissā tārīk na ho to phir vah bilkul raushan hogā, aisā jaisā us vaqt hotā hai jab charāġ tujhe apne chamakne damakne se raushan kar detā hai.”

farīsiyoṅ par afsos

37īsā abhī bāt kar rahā thā ki kisī farīsī ne use khāne kī dāvat dī. chunāṅche vah us ke ghar meṅ jā kar khāne ke liye baiṭh gayā. 38mezbān baṛā hairān huā, kyūṅki us ne dekhā ki īsā hāth dhoe baġair khāne ke liye baiṭh gayā hai. 39lekin ḵẖudāvand ne us se kahā, “dekho, tum farīsī bāhar se har piyāle aur bartan kī safāī karte ho, lekin andar se tum lūṭ-mār aur sharārat se bhare hote ho. 40nādāno! allāh ne bāhar vāle hisse ko ḵẖalaq kiyā, to kyā us ne andar vāle hisse ko nahīṅ banāyā? 41chunāṅche jo kuchh bartan ke andar hai use ġarīboṅ ko de do. phir tumhāre liye sab kuchh pāk-sāf hogā.

42farīsiyo, tum par afsos! kyūṅki ek taraf tum paudīnā, sadāb aur bāġ kī har qism kī tarkārī kā dasvāṅ hissā allāh ke liye maḵẖsūs karte ho, lekin dūsrī taraf tum insāf aur allāh kī muhabbat ko nazar’andāz karte ho. lāzim hai ki tum yah kām bhī karo aur pahalā bhī na chhoṛo.

43farīsiyo, tum par afsos! kyūṅki tum ibādatḵẖānoṅ kī izzat kī kursiyoṅ par baiṭhne ke liye bechain rahate aur bāzār meṅ logoṅ kā salām sunne ke liye taṛapte ho. 44hāṅ, tum par afsos! kyūṅki tum poshīdā qabroṅ kī mānind ho jin par se log nādānistā taur par guzarte haiṅ.”

45sharīat ke ek ālim ne etirāz kiyā, “ustād, āp yah kah kar hamārī bhī beizzatī karte haiṅ.”

46īsā ne javāb diyā, “tum sharīat ke ālimoṅ par bhī afsos! kyūṅki tum logoṅ par bhārī bojh ḍāl dete ho jo mushkil se uṭhāyā jā saktā hai. na sirf yah balki tum ḵẖud is bojh ko apnī ek uṅglī bhī nahīṅ lagāte. 47tum par afsos! kyūṅki tum nabiyoṅ ke mazār banā dete ho, un ke jinheṅ tumhāre bāpdādā ne mār ḍālā. 48is se tum gavāhī dete ho ki tum vah kuchh pasand karte ho jo tumhāre bāpdādā ne kiyā. unhoṅ ne nabiyoṅ ko qatl kiyā jabki tum un ke mazār tāmīr karte ho. 49is liye allāh kī hikmat ne kahā, ‘maiṅ un meṅ nabī aur rasūl bhej dūṅgī. un meṅ se bāz ko vah qatl kareṅge aur bāz ko satāeṅge.’ 50natīje meṅ yah nasal tamām nabiyoṅ ke qatl kī zimmādār ṭhaharegī - duniyā kī taḵẖlīq se le kar āj tak, 51yānī hābīl ke qatl se le kar zakariyāh ke qatl tak, jise bait-ul-muqaddas ke sahan meṅ maujūd qurbāngāh aur bait-ul-muqaddas ke darvāze ke darmiyān qatl kiyā gayā. hāṅ, maiṅ tum ko batātā hūṅ ki yah nasal zarūr un kī zimmādār ṭhaharegī.

52sharīat ke ālimo, tum par afsos! kyūṅki tum ne ilm kī kuṅjī ko chhīn liyā hai. na sirf yah ki tum ḵẖud dāḵẖil nahīṅ hue, balki tum ne dāḵẖil hone vāloṅ ko bhī rok liyā.”

53jab īsā vahāṅ se niklā to ālim aur farīsī us ke saḵẖt muḵẖālif ho gae aur baṛe ġaur se us kī pūchhgichh karne lage. 54vah is tāk meṅ rahe ki use muṅh se niklī kisī bāt kī vajah se pakṛeṅ.

[a] lafzī tarjumā : jo hamārā qarzdār hai.