Ahabār 9

hārūn qurbāniyāṅ chaṛhātā hai

1maḵẖsūsiyat ke sāt din ke bād mūsā ne āṭhveṅ din hārūn, us ke beṭoṅ aur isrāīl ke buzurgoṅ ko bulāyā. 2us ne hārūn se kahā, “ek beaib bachhṛā aur ek beaib meṅḍhā chun kar rabb ko pesh kar. bachhṛā gunāh kī qurbānī ke liye aur meṅḍhā bhasm hone vālī qurbānī ke liye ho. 3phir isrāīliyoṅ ko kah denā ki gunāh kī qurbānī ke liye ek bakrā jabki bhasm hone vālī qurbānī ke liye ek beaib yaksālā bachhṛā aur ek beaib yaksālā bheṛ kā bacchā pesh karo. 4sāth hī salāmatī kī qurbānī ke liye ek bail aur ek meṅḍhā chuno. tel ke sāth milāī huī ġallā kī nazar bhī le kar sab kuchh rabb ko pesh karo. kyūṅki āj hī rabb tum par zāhir hogā.”

5isrāīlī mūsā kī matlūbā tamām chīzeṅ mulāqāt ke ḵẖaime ke sāmne le āe. pūrī jamāat qarīb ā kar rabb ke sāmne khaṛī ho gaī. 6mūsā ne un se kahā, “tumheṅ vahī karnā hai jis kā hukm rabb ne tumheṅ diyā hai. kyūṅki āj hī rabb kā jalāl tum par zāhir hogā.”

7phir us ne hārūn se kahā, “qurbāngāh ke pās jā kar gunāh kī qurbānī aur bhasm hone vālī qurbānī chaṛhā kar apnā aur apnī qaum kā kaffārā denā. rabb ke hukm ke mutābiq qaum ke liye bhī qurbānī pesh karnā tāki us kā kaffārā diyā jāe.”

8hārūn qurbāngāh ke pās āyā. us ne bachhṛe ko zabah kiyā. yah us ke liye gunāh kī qurbānī thā. 9us ke beṭe bachhṛe kā ḵẖūn us ke pās le āe. us ne apnī uṅglī ḵẖūn meṅ ḍubo kar use qurbāngāh ke sīṅgoṅ par lagāyā. bāqī ḵẖūn ko us ne qurbāngāh ke pāe par uṅḍel diyā. 10phir us ne us kī charbī, gurdoṅ aur joṛkalejī ko qurbāngāh par jalā diyā. jaise rabb ne mūsā ko hukm diyā thā vaise hī hārūn ne kiyā. 11bachhṛe kā gosht aur khāl us ne ḵẖaimāgāh ke bāhar le jā kar jalā dī.

12is ke bād hārūn ne bhasm hone vālī qurbānī ko zabah kiyā. us ke beṭoṅ ne use us kā ḵẖūn diyā, aur us ne use qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛak diyā. 13unhoṅ ne use qurbānī ke muḵẖtalif ṭukṛe sar samet die, aur us ne unheṅ qurbāngāh par jalā diyā. 14phir us ne us kī aṅtaṛiyāṅ aur piṅḍaliyāṅ dho kar bhasm hone vālī qurbānī kī bāqī chīzoṅ par rakh kar jalā dīṅ.

15ab hārūn ne qaum ke liye qurbānī chaṛhāī. us ne gunāh kī qurbānī ke liye bakrā zabah karke use pahalī qurbānī kī tarah chaṛhāyā. 16us ne bhasm hone vālī qurbānī bhī qavāid ke mutābiq chaṛhāī. 17us ne ġallā kī nazar pesh kī aur us meṅ se muṭṭhī bhar qurbāngāh par jalā diyā. yah ġallā kī us nazar ke ilāvā thī jo subah ko bhasm hone vālī qurbānī ke sāth chaṛhāī gaī thī. 18phir us ne salāmatī kī qurbānī ke liye bail aur meṅḍhe ko zabah kiyā. yah bhī qaum ke liye thī. us ke beṭoṅ ne use jānvaroṅ kā ḵẖūn diyā, aur us ne use qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛak diyā. 19lekin unhoṅ ne bail aur meṅḍhe ko charbī, dum, aṅtaṛiyoṅ par kī charbī aur joṛkalejī nikāl kar 20sīne ke ṭukṛoṅ par rakh diyā. hārūn ne charbī kā hissā qurbāngāh par jalā diyā. 21sīne ke ṭukṛe aur dahanī rāneṅ us ne hilāne vālī qurbānī ke taur par rabb ke sāmne hilāīṅ. us ne sab kuchh mūsā ke hukm ke mutābiq hī kiyā.

22tamām qurbāniyāṅ pesh karne ke bād hārūn ne apne hāth uṭhā kar qaum ko barkat dī. phir vah qurbāngāh se utar kar 23mūsā ke sāth mulāqāt ke ḵẖaime meṅ dāḵẖil huā. jab donoṅ bāhar āe to unhoṅ ne qaum ko barkat dī. tab rabb kā jalāl pūrī qaum par zāhir huā. 24rabb ke huzūr se āg nikal kar qurbāngāh par utrī aur bhasm hone vālī qurbānī aur charbī ke ṭukṛe bhasm kar die. yah dekh kar log ḵẖushī ke nāre mārne lage aur muṅh ke bal gir gae.