Ahabār 7

qusūr kī qurbānī

1qusūr kī qurbānī jo nihāyat muqaddas hai us ke bāre meṅ hidāyāt yah haiṅ :

2qusūr kī qurbānī vahīṅ zabah karnī hai jahāṅ bhasm hone vālī qurbānī zabah kī jātī hai. us kā ḵẖūn qurbāngāh ke chār pahalūoṅ par chhiṛkā jāe. 3us kī tamām charbī nikāl kar qurbāngāh par chaṛhānī hai yānī us kī dum, aṅtaṛiyoṅ par kī charbī, 4gurde us charbī samet jo un par aur kamar ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī. in chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai. 5imām yah sab kuchh rabb ko qurbāngāh par jalne vālī qurbānī ke taur par pesh kare. yah qusūr kī qurbānī hai. 6imāmoṅ ke ḵẖāndānoṅ meṅ se tamām mard use khā sakte haiṅ. lekin use muqaddas jagah par khāyā jāe. yah nihāyat muqaddas hai.

7gunāh aur qusūr kī qurbānī ke liye ek hī usūl hai, jo imām qurbānī ko pesh karke kaffārā detā hai us ko us kā gosht miltā hai. 8is tarah jo imām kisī jānvar ko bhasm hone vālī qurbānī ke taur par chaṛhātā hai usī ko jānvar kī khāl miltī hai. 9aur isī tarah tanūr meṅ, kaṛāhī meṅ yā tave par pakāī gaī ġallā kī har nazar us imām ko miltī hai jis ne use pesh kiyā hai. 10lekin hārūn ke tamām beṭoṅ ko ġallā kī bāqī nazreṅ barābar barābar miltī raheṅ, ḵẖwāh un meṅ tel milāyā gayā ho yā vah ḵẖushk hoṅ.

salāmatī kī qurbānī

11salāmatī kī qurbānī jo rabb ko pesh kī jātī hai us ke bāre meṅ zail kī hidāyāt haiṅ :

12agar koī is qurbānī se apnī shukrguzārī kā izhār karnā chāhe to vah jānvar ke sāth beḵẖamīrī roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā ho, beḵẖamīrī roṭī jis par tel lagāyā gayā ho aur roṭī jis meṅ behtarīn maidā aur tel milāyā gayā ho pesh kare. 13is ke ilāvā vah ḵẖamīrī roṭī bhī pesh kare. 14pesh karne vālā qurbānī kī har chīz kā ek hissā uṭhā kar rabb ke liye maḵẖsūs kare. yah us imām kā hissā hai jo jānvar kā ḵẖūn qurbāngāh par chhiṛaktā hai. 15gosht usī din khāyā jāe jab jānvar ko zabah kiyā gayā ho. aglī subah tak kuchh nahīṅ bachnā chāhie.

16is qurbānī kā gosht sirf is sūrat meṅ agle din khāyā jā saktā hai jab kisī ne mannat mān kar yā apnī ḵẖushī se use pesh kiyā hai. 17agar kuchh gosht tīsre din tak bach jāe to use jalānā hai. 18agar use tīsre din bhī khāyā jāe to rabb yah qurbānī qabūl nahīṅ karegā. us kā koī fāidā nahīṅ hogā balki use nāpāk qarār diyā jāegā. jo bhī us se khāegā vah qusūrvār ṭhaharegā. 19agar yah gosht kisī nāpāk chīz se lag jāe to use nahīṅ khānā hai balki use jalāyā jāe. agar gosht pāk hai to har shaḵẖs jo ḵẖud pāk hai use khā saktā hai. 20lekin agar nāpāk shaḵẖs rabb ko pesh kī gaī salāmatī kī qurbānī kā yah gosht khāe to use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai. 21ho saktā hai ki kisī ne kisī nāpāk chīz ko chhū liyā hai chāhe vah nāpāk shaḵẖs, jānvar yā koī aur ghinaunī aur nāpāk chīz ho. agar aisā shaḵẖs rabb ko pesh kī gaī salāmatī kī qurbānī kā gosht khāe to use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.”

charbī aur ḵẖūn khānā manā hai

22rabb ne mūsā se kahā, 23“isrāīliyoṅ ko batā denā ki gāy-bail aur bheṛ-bakriyoṅ kī charbī khānā tumhāre liye manā hai. 24tum fitrī taur par mare hue jānvaroṅ aur phāṛe hue jānvaroṅ kī charbī dīgar kāmoṅ ke liye istemāl kar sakte ho, lekin use khānā manā hai. 25jo bhī us charbī meṅ se khāe jo jalā kar rabb ko pesh kī jātī hai use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai. 26jahāṅ bhī tum rahate ho vahāṅ parindoṅ yā dīgar jānvaroṅ kā ḵẖūn khānā manā hai. 27jo bhī ḵẖūn khāe use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.”

qurbāniyoṅ meṅ se imām kā hissā

28rabb ne mūsā se kahā, 29“isrāīliyoṅ ko batānā ki jo rabb ko salāmatī kī qurbānī pesh kare vah rabb ke liye ek hissā maḵẖsūs kare. 30vah jalne vālī yah qurbānī apne hāthoṅ se rabb ko pesh kare. is ke liye vah jānvar kī charbī aur sīnā rabb ke sāmne pesh kare. sīnā hilāne vālī qurbānī ho. 31imām charbī ko qurbāngāh par jalā de jabki sīnā hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā hai. 32qurbānī kī dahanī rān imām ko uṭhāne vālī qurbānī ke taur par dī jāe. 33vah us imām kā hissā hai jo salāmatī kī qurbānī kā ḵẖūn aur charbī chaṛhātā hai.

34isrāīliyoṅ kī salāmatī kī qurbāniyoṅ meṅ se maiṅ ne hilāne vālā sīnā aur uṭhāne vālī rān imāmoṅ ko dī hai. yah chīzeṅ hameshā ke liye isrāīliyoṅ kī taraf se imāmoṅ kā haq haiṅ.”

35yah us din jalne vālī qurbāniyoṅ meṅ se hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā ban gaīṅ jab unheṅ maqdis meṅ rabb kī ḵẖidmat meṅ pesh kiyā gayā. 36rabb ne us din jab unheṅ tel se masah kiyā gayā hukm diyā thā ki isrāīlī yah hissā hameshā imāmoṅ ko diyā kareṅ.

37ġaraz yah hidāyāt tamām qurbāniyoṅ ke bāre meṅ haiṅ yānī bhasm hone vālī qurbānī, ġallā kī nazar, gunāh kī qurbānī, qusūr kī qurbānī, imām ko maqdis meṅ ḵẖidmat ke liye maḵẖsūs karne kī qurbānī aur salāmatī kī qurbānī ke bāre meṅ. 38rabb ne mūsā ko yah hidāyāt sīnā pahāṛ par dīṅ, us din jab us ne isrāīliyoṅ ko hukm diyā ki vah dasht-e-sīnā meṅ rabb ko apnī qurbāniyāṅ pesh kareṅ.