Ahabār 22

qurbānī kā gosht khāne kī hidāyāt

1rabb ne mūsā se kahā, 2“hārūn aur us ke beṭoṅ ko batānā ki isrāīliyoṅ kī un qurbāniyoṅ kā ehatirām karo jo tum ne mere liye maḵẖsūs-o-muqaddas kī haiṅ, varnā tum mere nām ko dāġ lagāoge. maiṅ rabb hūṅ. 3jo imām nāpāk hone ke bāvujūd un qurbāniyoṅ ke pās ā jāe jo isrāīliyoṅ ne mere liye maḵẖsūs-o-muqaddas kī haiṅ use mere sāmne se miṭānā hai. yah usūl āne vālī nasloṅ ke liye bhī aṭal hai. maiṅ rabb hūṅ.

4hārūn kī aulād meṅ se jo koī bhī vabāī jildī bīmārī yā jaryān kā marīz ho use muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se apnā hissā khāne kī ijāzat nahīṅ hai. pahale vah pāk ho jāe. jo aisī koī bhī chīz chhue jo lāsh se nāpāk ho gaī ho yā aise ādmī ko chhue jis kā nutfā niklā ho vah nāpāk ho jātā hai. 5vah nāpāk reṅgne vāle jānvar yā nāpāk shaḵẖs ko chhūne se bhī nāpāk ho jātā hai, ḵẖwāh vah kisī bhī sabab se nāpāk kyūṅ na huā ho. 6jo aisī koī bhī chīz chhue vah shām tak nāpāk rahegā. is ke ilāvā lāzim hai ki vah muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se apnā hissā khāne se pahale nahā le. 7sūraj ke ġurūb hone par vah pāk hogā aur muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se apnā hissā khā sakegā. kyūṅki vah us kī rozī haiṅ. 8imām aise jānvaroṅ kā gosht na khāe jo fitrī taur par mar gae yā jinheṅ jaṅglī jānvaroṅ ne phāṛ ḍālā ho, varnā vah nāpāk ho jāegā. maiṅ rabb hūṅ.

9imām merī hidāyāt ke mutābiq chaleṅ, varnā vah qusūrvār ban jāeṅge aur muqaddas chīzoṅ kī behuramtī karne ke sabab se mar jāeṅge. maiṅ rabb hūṅ jo unheṅ apne liye maḵẖsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.

10sirf imām ke ḵẖāndān ke afrād muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se khā sakte haiṅ. ġairshaharī yā mazdūr ko ijāzat nahīṅ hai. 11lekin imām kā ġulām yā lauṅḍī us meṅ se khā sakte haiṅ, chāhe unheṅ ḵẖarīdā gayā ho yā vah us ke ghar meṅ paidā hue hoṅ. 12agar imām kī beṭī ne kisī aise shaḵẖs se shādī kī hai jo imām nahīṅ hai to use muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se khāne kī ijāzat nahīṅ hai. 13lekin ho saktā hai ki vah bevā yā talāqayāftā ho aur us ke bacche na hoṅ. jab vah apne bāp ke ghar lauṭ kar vahāṅ aise rahegī jaise apnī javānī meṅ to vah apne bāp ke us khāne meṅ se khā saktī hai jo qurbāniyoṅ meṅ se bāp kā hissā hai. lekin jo imām ke ḵẖāndān kā fard nahīṅ hai use khāne kī ijāzat nahīṅ hai.

14jis shaḵẖs ne nādānistā taur par muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se imām ke hisse se kuchh khāyā hai vah imām ko sab kuchh vāpas karne ke ilāvā 20 fīsad ziyādā de. 15imām rabb ko pesh kī huī qurbāniyoṅ kī muqaddas hālat yūṅ ḵẖatm na kareṅ 16ki vah dūsre isrāīliyoṅ ko yah muqaddas chīzeṅ khāne deṅ. aisī harkat se vah un ko baṛā qusūrvār banā deṅge. maiṅ rabb hūṅ jo unheṅ apne liye maḵẖsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.”

jānvaroṅ kī qurbāniyoṅ ke bāre meṅ hidāyāt

17rabb ne mūsā se kahā, 18“hārūn, us ke beṭoṅ aur isrāīliyoṅ ko batānā ki agar tum meṅ se koī isrāīlī yā pardesī rabb ko bhasm hone vālī qurbānī pesh karnā chāhe to tarīq-e-kār meṅ koī farq nahīṅ hai, chāhe vah yah mannat mān kar yā vaise hī dilī ḵẖushī se kar rahā ho. 19is ke liye lāzim hai ki tum ek beaib bail, meṅḍhā yā bakrā pesh karo. phir hī use qabūl kiyā jāegā. 20qurbānī ke liye kabhī bhī aisā jānvar pesh na karnā jis meṅ nuqs ho, varnā tum us ke bāis manzūr nahīṅ hoge. 21agar koī rabb ko salāmatī kī qurbānī pesh karnā chāhe to tarīq-e-kār meṅ koī farq nahīṅ hai, chāhe vah yah mannat mān kar yā vaise hī dilī ḵẖushī se kar rahā ho. is ke liye lāzim hai ki vah gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ meṅ se beaib jānvar chune. phir use qabūl kiyā jāegā. 22rabb ko aise jānvar pesh na karnā jo aṅdhe hoṅ, jin ke āzā ṭūṭe yā kaṭe hue hoṅ, jin ko rasaulī ho yā jinheṅ vabāī jildī bīmārī lag gaī ho. rabb ko unheṅ jalne vālī qurbānī ke taur par qurbāngāh par pesh na karnā. 23lekin jis gāy-bail yā bheṛ-bakrī ke kisī uzv meṅ kamī beshī ho use pesh kiyā jā saktā hai. shart yah hai ki pesh karne vālā use vaise hī dilī ḵẖushī se chaṛhāe. agar vah use apnī mannat mān kar pesh kare to vah qabūl nahīṅ kiyā jāegā. 24rabb ko aisā jānvar pesh na karnā jis ke ḵẖusye kuchle, toṛe yā kaṭe hue hoṅ. apne mulk meṅ jānvaroṅ ko is tarah ḵẖasī na banānā, 25na aise jānvar kisī ġairmulkī se ḵẖarīd kar apne ḵẖudā kī roṭī ke taur par pesh karnā. tum aise jānvaroṅ ke bāis manzūr nahīṅ hoge, kyūṅki un meṅ ḵẖarābī aur nuqs hai.”

26rabb ne mūsā se yah bhī kahā, 27“jab kisī gāy, bheṛ yā bakrī kā bacchā paidā hotā hai to lāzim hai ki vah pahale sāt din apnī māṅ ke pās rahe. āṭhveṅ din se pahale rabb use jalne vālī qurbānī ke taur par qabūl nahīṅ karegā. 28kisī gāy, bheṛ yā bakrī ke bacche ko us kī māṅ samet ek hī din zabah na karnā. 29jab tum rabb ko salāmatī kī koī qurbānī chaṛhānā chāhate ho to use yūṅ pesh karnā ki tum manzūr ho jāo. 30aglī subah tak kuchh bachā na rahe balki use usī din khānā hai. maiṅ rabb hūṅ.

31mere ahkām māno aur un par amal karo. maiṅ rabb hūṅ. 32mere nām ko dāġ na lagānā. lāzim hai ki mujhe isrāīliyoṅ ke darmiyān quddūs mānā jāe. maiṅ rabb hūṅ jo tumheṅ apne liye maḵẖsūs-o-muqaddas kartā hūṅ. 33maiṅ tumheṅ misr se nikāl lāyā hūṅ tāki tumhārā ḵẖudā hūṅ. maiṅ rabb hūṅ.”