Ahabār 15

mardoṅ kī nāpākī

1rabb ne mūsā aur hārūn se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko batānā ki agar kisī mard ko jaryān kā marz ho to vah ḵẖārij hone vāle māe ke sabab se nāpāk hai, 3chāhe māe bahatā rahatā ho yā ruk gayā ho. 4jis chīz par bhī marīz leṭtā yā baiṭhtā hai vah nāpāk hai. 5-6 jo koī bhī us ke leṭne kī jagah ko chhue yā us ke baiṭhne kī jagah par baiṭh jāe vah apne kapṛe dho kar nahā le. vah shām tak nāpāk rahegā. 7isī tarah jo koī bhī aise marīz ko chhue vah apne kapṛe dho kar nahā le. vah shām tak nāpāk rahegā. 8agar marīz kisī pāk shaḵẖs par thūke to yahī kuchh karnā hai aur vah shaḵẖs shām tak nāpāk rahegā. 9jab aisā marīz kisī jānvar par savār hotā hai to har chīz jis par vah baiṭh jātā hai nāpāk hai. 10jo koī bhī aisī chīz chhue yā use uṭhā kar le jāe vah apne kapṛe dho kar nahā le. vah shām tak nāpāk rahegā. 11jis kisī ko bhī marīz apne hāth dhoe baġair chhue vah apne kapṛe dho kar nahā le. vah shām tak nāpāk rahegā. 12miṭṭī kā jo bartan aisā marīz chhue use toṛ diyā jāe. lakṛī kā jo bartan vah chhue use ḵẖūb dhoyā jāe.

13jise is marz se shifā milī hai vah sāt din intizār kare. is ke bād vah tāzā pānī se apne kapṛe dho kar nahā le. phir vah pāk ho jāegā. 14āṭhveṅ din vah do qumriyāṅ yā do javān kabūtar le kar mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par rabb ke sāmne imām ko de. 15imām un meṅ se ek ko gunāh kī qurbānī ke taur par aur dūsre ko bhasm hone vālī qurbānī ke taur par chaṛhāe. yūṅ vah rabb ke sāmne us kā kaffārā degā.

16agar kisī mard kā nutfā ḵẖārij ho jāe to vah apne pūre jism ko dho le. vah shām tak nāpāk rahegā. 17har kapṛā yā chamṛā jis se nutfā lag gayā ho use dhonā hai. vah bhī shām tak nāpāk rahegā. 18agar mard aur aurat ke hambistar hone par nutfā ḵẖārij ho jāe to lāzim hai ki donoṅ nahā leṅ. vah shām tak nāpāk raheṅge.

aurtoṅ kī nāpākī

19māhavārī ke vaqt aurat sāt din tak nāpāk hai. jo koī bhī use chhue vah shām tak nāpāk rahegā. 20is daurān jis chīz par bhī vah leṭtī yā baiṭhtī hai vah nāpāk hai. 21-23 jo koī bhī us ke leṭne kī jagah ko chhue yā us ke baiṭhne kī jagah par baiṭh jāe vah apne kapṛe dho kar nahā le. vah shām tak nāpāk rahegā. 24agar mard aurat se hambistar ho aur usī vaqt māhavārī ke din shurū ho jāeṅ to mard ḵẖūn lagne ke bāis sāt din tak nāpāk rahegā. jis chīz par bhī vah leṭtā hai vah nāpāk ho jāegī.

25agar kisī aurat ko māhavārī ke din chhoṛ kar kisī aur vaqt kaī dinoṅ tak ḵẖūn āe yā ḵẖūn māhavārī ke dinoṅ ke bād bhī jārī rahe to vah māhavārī ke dinoṅ kī tarah us vaqt tak nāpāk rahegī jab tak ḵẖūn ruk na jāe. 26jis chīz par bhī vah leṭtī yā baiṭhtī hai vah nāpāk hai. 27jo koī bhī aisī chīz ko chhue vah apne kapṛe dho kar nahā le. vah shām tak nāpāk rahegā. 28ḵẖūn ke ruk jāne par aurat mazīd sāt din intizār kare. phir vah pāk hogī. 29āṭhveṅ din vah do qumriyāṅ yā do javān kabūtar le kar mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par imām ke pās āe. 30imām un meṅ se ek ko gunāh kī qurbānī ke liye aur dūsre ko bhasm hone vālī qurbānī ke liye chaṛhāe. yūṅ vah rabb ke sāmne us kī nāpākī kā kaffārā degā.

31lāzim hai ki isrāīliyoṅ ko aisī chīzoṅ se dūr rakhā jāe jin se vah nāpāk ho jāeṅ. varnā merā vah maqdis jo un ke darmiyān hai un se nāpāk ho jāegā aur vah halāk ho jāeṅge.

32lāzim hai ki is qism ke muāmloṅ se aise nipṭo jaise bayān kiyā gayā hai. is meṅ vah mard shāmil hai jo jaryān kā marīz hai aur vah jo nutfā ḵẖārij hone ke bāis nāpāk hai. 33is meṅ vah aurat bhī shāmil hai jis ke māhavārī ke ayyām haiṅ aur vah mard jo nāpāk aurat se hambistar ho jātā hai.”