Ahabār 12

bacche kī paidāish ke bād māṅ par pābandiyāṅ

1rabb ne mūsā se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko batā ki jab kisī aurat ke laṛkā paidā ho to vah māhavārī ke ayyām kī tarah sāt din tak nāpāk rahegī. 3āṭhveṅ din laṛke kā ḵẖatnā karvānā hai. 4phir māṅ mazīd 33 din intizār kare. is ke bād us kī vah nāpākī dūr ho jāegī jo ḵẖūn bahane se paidā huī hai. is daurān vah koī maḵẖsūs aur muqaddas chīz na chhue, na maqdis ke pās jāe.

5agar us ke laṛkī paidā ho jāe to vah māhavārī ke ayyām kī tarah nāpāk hai. yah nāpākī 14 din tak rahegī. phir vah mazīd 66 din intizār kare. is ke bād us kī vah nāpākī dūr ho jāegī jo ḵẖūn bahane se paidā huī hai.

6jab laṛke yā laṛkī ke silsile meṅ yah din guzar jāeṅ to vah mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par imām ko zail kī chīzeṅ de : bhasm hone vālī qurbānī ke liye ek yaksālā bheṛ kā bacchā aur gunāh kī qurbānī ke liye ek javān kabūtar yā qumrī. 7imām yah jānvar rabb ko pesh karke us kā kaffārā de. phir ḵẖūn bahane ke bāis paidā hone vālī nāpākī dūr ho jāegī. usūl ek hī hai, chāhe laṛkā ho yā laṛkī.

8agar vah ġurbat ke bāis bheṛ kā bacchā na de sake to phir vah do qumriyāṅ yā do javān kabūtar le āe, ek bhasm hone vālī qurbānī ke liye aur dūsrā gunāh kī qurbānī ke liye. yūṅ imām us kā kaffārā de aur vah pāk ho jāegī.”