Ahabār 10

nadab aur abīhū kā gunāh

1hārūn ke beṭe nadab aur abīhū ne apne apne baḵẖūradān le kar un meṅ jalte hue koile ḍāle. un par baḵẖūr ḍāl kar vah rabb ke sāmne āe tāki use pesh kareṅ. lekin yah āg nājāiz thī. rabb ne yah pesh karne kā hukm nahīṅ diyā thā. 2achānak rabb ke huzūr se āg niklī jis ne unheṅ bhasm kar diyā. vahīṅ rabb ke sāmne vah mar gae.

3mūsā ne hārūn se kahā, “ab vahī huā hai jo rabb ne farmāyā thā ki jo mere qarīb haiṅ un se maiṅ apnī quddūsiyat zāhir karūṅgā, maiṅ tamām qaum ke sāmne hī apne jalāl kā izhār karūṅgā.”

hārūn ḵẖāmosh rahā. 4mūsā ne hārūn ke chachā uzzīel ke beṭoṅ mīsāel aur ilsafan ko bulā kar kahā, “idhar āo aur apne rishtedāroṅ ko maqdis ke sāmne se uṭhā kar ḵẖaimāgāh ke bāhar le jāo.” 5vah āe aur mūsā ke hukm ke ain mutābiq unheṅ un ke zerjāmoṅ samet uṭhā kar ḵẖaimāgāh ke bāhar le gae.

6mūsā ne hārūn aur us ke dīgar beṭoṅ ilīazar aur itmar se kahā, “mātam kā izhār na karo. na apne bāl bikharne do, na apne kapṛe phāṛo. varnā tum mar jāoge aur rabb pūrī jamāat se nārāz ho jāegā. lekin tumhāre rishtedār aur bāqī tamām isrāīlī zarūr in kā mātam kareṅ jin ko rabb ne āg se halāk kar diyā hai. 7mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze ke bāhar na niklo varnā tum mar jāoge, kyūṅki tumheṅ rabb ke tel se masah kiyā gayā hai.” chunāṅche unhoṅ ne aisā hī kiyā.

imāmoṅ ke liye hidāyāt

8rabb ne hārūn se kahā, 9“jab bhī tujhe yā tere beṭoṅ ko mulāqāt ke ḵẖaime meṅ dāḵẖil honā hai to mai yā koī aur nashāāvar chīz pīnā manā hai, varnā tum mar jāoge. yah usūl āne vālī nasloṅ ke liye bhī abad tak anmiṭ hai. 10yah bhī lāzim hai ki tum muqaddas aur ġairmuqaddas chīzoṅ meṅ, pāk aur nāpāk chīzoṅ meṅ imtiyāz karo. 11tumheṅ isrāīliyoṅ ko tamām pābandiyāṅ sikhānī haiṅ jo maiṅ ne tumheṅ mūsā kī mārifat batāī haiṅ.”

12mūsā ne hārūn aur us ke bache hue beṭoṅ ilīazar aur itmar se kahā, “ġallā kī nazar kā jo hissā rabb ke sāmne jalāyā nahīṅ jātā use apne liye le kar beḵẖamīrī roṭī pakānā aur qurbāngāh ke pās hī khānā. kyūṅki vah nihāyat muqaddas hai. 13use muqaddas jagah par khānā, kyūṅki vah rabb kī jalne vālī qurbāniyoṅ meṅ se tumhāre aur tumhāre beṭoṅ kā hissā hai. kyūṅki mujhe is kā hukm diyā gayā hai. 14jo sīnā hilāne vālī qurbānī aur dahanī rān uṭhāne vālī qurbānī ke taur par pesh kī gaī hai, vah tum aur tumhāre beṭe-beṭiyāṅ khā sakte haiṅ. unheṅ muqaddas jagah par khānā hai. isrāīliyoṅ kī salāmatī kī qurbāniyoṅ meṅ se yah ṭukṛe tumhārā hissā haiṅ. 15lekin pahale imām rān aur sīne ko jalne vālī qurbāniyoṅ kī charbī ke sāth pesh kareṅ. vah unheṅ hilāne vālī qurbānī ke taur par rabb ke sāmne hilāeṅ. rabb farmātā hai ki yah ṭukṛe abad tak tumhāre aur tumhāre beṭoṅ kā hissā haiṅ.”

16mūsā ne darayāft kiyā ki us bakre ke gosht kā kyā huā jo gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhāyā gayā thā. use patā chalā ki vah bhī jal gayā thā. yah sun kar use hārūn ke beṭoṅ ilīazar aur itmar par ġussā āyā. us ne pūchhā, 17“tum ne gunāh kī qurbānī kā gosht kyūṅ nahīṅ khāyā? tumheṅ use muqaddas jagah par khānā thā. yah ek nihāyat muqaddas hissā hai jo rabb ne tumheṅ diyā tāki tum jamāat kā qusūr dūr karke rabb ke sāmne logoṅ kā kaffārā do. 18chūṅki is bakre kā ḵẖūn maqdis meṅ na lāyā gayā is liye tumheṅ us kā gosht maqdis meṅ khānā thā jis tarah maiṅ ne tumheṅ hukm diyā thā.”

19hārūn ne mūsā ko javāb de kar kahā, “dekheṅ, āj logoṅ ne apne liye gunāh kī qurbānī aur bhasm hone vālī qurbānī rabb ko pesh kī hai jabki mujh par yah āfat guzrī hai. agar maiṅ āj gunāh kī qurbānī se khātā to kyā yah rabb ko acchhā lagtā?” 20yah bāt mūsā ko acchhī lagī.