Hohā 5

ai rabb, hameṅ apne huzūr vāpas lā!

1ai rabb, yād kar ki hamāre sāth kyā kuchh huā! ġaur kar ki hamārī kaisī rusvāī huī hai.

2hamārī maurūsī milkiyat pardesiyoṅ ke havāle kī gaī, hamāre ghar ajnabiyoṅ ke hāth meṅ ā gae haiṅ.

3ham vālidoṅ se maharūm ho kar yatīm ho gae haiṅ, hamārī māeṅ bevāoṅ kī tarah ġairmahfūz haiṅ.

4ḵẖwāh pīne kā pānī ho yā lakṛī, har chīz kī pūrī qīmat adā karnī paṛtī hai, hālāṅki yah hamārī apnī hī chīzeṅ thīṅ.

5hamārā tāqqub karne vāle hamāre sar par chaṛh āe haiṅ, aur ham thak gae haiṅ. kahīṅ bhī sukūn nahīṅ miltā.

6ham ne apne āp ko misr aur asūr ke havāle kar diyā tāki roṭī mil jāe aur bhūkoṅ na mareṅ.

7hamāre bāpdādā ne gunāh kiyā, lekin vah kūch kar gae haiṅ. ab ham hī un kī sazā bhugat rahe haiṅ.

8ġulām ham par hukūmat karte haiṅ, aur koī nahīṅ hai jo hameṅ un ke hāth se bachāe.

9ham apnī jān ko ḵẖatre meṅ ḍāl kar rozī kamāte haiṅ, kyūṅki biyābān meṅ talvār hamārī tāk meṅ baiṭhī rahatī hai.

10bhūk ke māre hamārī jild tanūr jaisī garm ho kar churmur ho gaī hai.

11siyyūn meṅ aurtoṅ kī ismatdarī, yahūdāh ke shaharoṅ meṅ kuṅvāriyoṅ kī behuramtī huī hai.

12dushman ne raīsoṅ ko phāṅsī de kar buzurgoṅ kī beizzatī kī hai.

13naujvānoṅ ko chakkī kā pāṭ uṭhāe phirnā hai, laṛke lakṛī ke bojh tale ḍagamgā kar gir jāte haiṅ.

14ab buzurg shahar ke darvāze se aur javān apne sāzoṅ se bāz rahate haiṅ.

15ḵẖushī hamāre diloṅ se jātī rahī hai, hamārā loknāch āh-o-zārī meṅ badal gayā hai.

16tāj hamāre sar par se gir gayā hai. ham par afsos, ham se gunāh sarzad huā hai.

17isī liye hamārā dil niḍhāl ho gayā, hamārī nazar dhundalā gaī hai.

18kyūṅki koh-e-siyyūn tabāh huā hai, lomṛiyāṅ us kī galiyoṅ meṅ phirtī haiṅ.

19ai rabb, terā rāj abdī hai, terā taḵẖt pusht-dar-pusht qāim rahatā hai.

20tū hameṅ hameshā tak kyūṅ bhūlnā chāhatā hai? tū ne hameṅ itnī der tak kyūṅ tark kie rakhā hai?

21ai rabb, hameṅ apne pās vāpas lā tāki ham vāpas ā sakeṅ. hameṅ bahāl kar tāki hamārā hāl pahale kī tarah ho.

22yā kyā tū ne hameṅ hatmī taur par mustarad kar diyā hai? kyā terā ham par ġussā hadd se ziyādā baṛh gayā hai?.