Hohā 1

vīrān-o-sunsān

1hāy, afsos! yarūshalam beṭī kitnī tanhā baiṭhī hai, go us meṅ pahale itnī raunaq thī. jo pahale aqvām meṅ avval darjā rakhtī thī vah bevā ban gaī hai, jo pahale mamālik kī rānī thī vah ġulāmī meṅ ā gaī hai.

2rāt ko vah ro ro kar guzārtī hai, us ke gāl āṅsūoṅ se tar rahate haiṅ. āshiqoṅ meṅ se koī nahīṅ rahā jo use tasallī de. dost sab ke sab bevafā ho kar us ke dushman ban gae haiṅ.

3pahale bhī yahūdāh beṭī baṛī musībat meṅ phaṅsī huī thī, pahale bhī use saḵẖt mazdūrī karnī paṛī. lekin ab vah jilāvatan ho kar dīgar aqvām ke bīch meṅ rahatī hai, ab use kahīṅ bhī aisī jagah nahīṅ miltī jahāṅ sukūn se rah sake. kyūṅki jab vah baṛī taklīf meṅ mubtalā thī to dushman ne us kā tāqqub karke use gher liyā.

4siyyūn kī rāheṅ mātamzadā haiṅ, kyūṅki koī īd manāne ke liye nahīṅ ātā. shahar ke tamām darvāze vīrān-o-sunsān haiṅ. us ke imām āheṅ bhar rahe, us kī kuṅvāriyāṅ ġam khā rahī haiṅ aur use ḵẖud shadīd talḵẖī mahsūs ho rahī hai.

5us ke muḵẖālif mālik ban gae, us ke dushman sukūn se rah rahe haiṅ. kyūṅki rabb ne shahar ko us ke mut’addid gunāhoṅ kā ajr de kar use dukh pahuṅchāyā hai. us ke farzand dushman ke āge āge chal kar jilāvatan ho gae haiṅ.

6siyyūn beṭī kī tamām shān-o-shaukat jātī rahī hai. us ke buzurg charāgāh na pāne vāle hiran haiṅ jo thakte thakte shikāriyoṅ ke āge āge bhāgte haiṅ.

7ab jab yarūshalam musībatzadā aur bevatan hai to use vah qīmtī chīzeṅ yād ātī haiṅ jo use qadīm zamāne se hī hāsil thīṅ. kyūṅki jab us kī qaum dushman ke hāth meṅ āī to koī nahīṅ thā jo us kī madad kartā balki us ke muḵẖālif tamāshā dekhne dauṛe āe, vah us kī tabāhī se ḵẖush ho kar haṅs paṛe.

8yarūshalam beṭī se saṅgīn gunāh sarzad huā hai, isī liye vah lān-tān kā nishānā ban gaī hai. jo pahale us kī izzat karte the vah sab use haqīr jānte haiṅ, kyūṅki unhoṅ ne us kī barahanagī dekhī hai. ab vah āheṅ bhar bhar kar apnā muṅh dūsrī taraf pher letī hai.

9go us ke dāman meṅ bahut gandgī thī, to bhī us ne apne anjām kā ḵẖayāl tak na kiyā. ab vah dhaṛām se gir gaī hai, aur koī nahīṅ hai jo use tasallī de. “ai rabb, merī musībat kā lihāz kar! kyūṅki dushman sheḵẖī mār rahā hai.”

10jo kuchh bhī yarūshalam ko piyārā thā us par dushman ne hāth ḍālā hai. hattā ki use dekhnā paṛā ki ġair’aqvām us ke maqdis meṅ dāḵẖil ho rahe haiṅ, go tū ne aise logoṅ ko apnī jamāat meṅ sharīk hone se manā kiyā thā.

11tamām bāshinde āheṅ bhar bhar kar roṭī kī talāsh meṅ rahate haiṅ. har ek khāne kā koī na koī ṭukṛā pāne ke liye apnī beshaqīmat chīzeṅ bech rahā hai. zahan meṅ ek hī ḵẖayāl hai ki apnī jān ko kisī na kisī tarah bachāe. “ai rabb, mujh par nazar ḍāl kar dhyān de ki merī kitnī tazlīl huī hai.

12ai yahāṅ se guzarne vālo, kyā yah sab kuchh tumhāre nazdīk bemānī hai? ġaur se soch lo, jo īzā mujhe bardāsht karnī paṛtī hai kyā vah kahīṅ aur pāī jātī hai? hargiz nahīṅ! yah rabb kī taraf se hai, usī kā saḵẖt ġazab mujh par nāzil huā hai.

13bulandiyoṅ se us ne merī haḍḍiyoṅ par āg nāzil karke unheṅ kuchal diyā. us ne mere pāoṅ ke sāmne jāl bichhā kar mujhe pīchhe haṭā diyā. usī ne mujhe vīrān-o-sunsān karke hameshā ke liye bīmār kar diyā.

14mere jarāim kā jūā bhārī hai. rabb ke hāth ne unheṅ ek dūsre ke sāth joṛ kar merī gardan par rakh diyā. ab merī tāqat ḵẖatm hai, rabb ne mujhe un hī ke havāle kar diyā jin kā muqāblā maiṅ kar hī nahīṅ saktā.

15rabb ne mere darmiyān ke tamām sūrmāoṅ ko radd kar diyā, us ne mere ḵẖilāf julūs nikalvāyā jo mere javānoṅ ko pāsh pāsh kare. hāṅ, rabb ne kuṅvārī yahūdāh beṭī ko aṅgūr kā ras nikālne ke hauz meṅ phaiṅk kar kuchal ḍālā.

16is liye maiṅ ro rahī hūṅ, merī āṅkhoṅ se āṅsū ṭapakte rahate haiṅ. kyūṅki qarīb koī nahīṅ hai jo mujhe tasallī de kar merī jān ko tar-o-tāzā kare. mere bacche tabāh haiṅ, kyūṅki dushman ġālib ā gayā hai.”

17siyyūn beṭī apne hāth phailātī hai, lekin koī nahīṅ hai jo use tasallī de. rabb ke hukm par yāqūb ke paṛosī us ke dushman ban gae haiṅ. yarūshalam un ke darmiyān ghinaunī chīz ban gaī hai.

18“rabb haq-ba-jānib hai, kyūṅki maiṅ us ke kalām se sarkash huī. ai tamām aqvām, suno! merī īzā par ġaur karo! mere naujavān aur kuṅvāriyāṅ jilāvatan ho gae haiṅ.

19maiṅ ne apne āshiqoṅ ko bulāyā, lekin unhoṅ ne bevafā ho kar mujhe tark kar diyā. ab mere imām aur buzurg apnī jān bachāne ke liye ḵẖurāk ḍhūṅḍte ḍhūṅḍte shahar meṅ halāk ho gae haiṅ.

20ai rabb, merī taṅgadastī par dhyān de! bātin meṅ maiṅ taṛap rahī hūṅ, merā dil tezī se dhaṛak rahā hai, is liye ki maiṅ itnī ziyādā sarkash rahī hūṅ. bāhar galī meṅ talvār ne mujhe bacchoṅ se maharūm kar diyā, ghar ke andar maut mere pīchhe paṛī hai.

21merī āheṅ to logoṅ tak pahuṅchtī haiṅ, lekin koī mujhe tasallī dene ke liye nahīṅ ātā. is ke bajāy mere tamām dushman merī musībat ke bāre meṅ sun kar baġleṅ bajā rahe haiṅ. vah ḵẖush haiṅ ki tū ne mere sāth aisā sulūk kiyā hai. ai rabb, vah din āne de jis kā elān tū ne kiyā hai tāki vah bhī merī tarah kī musībat meṅ phaṅs jāeṅ.

22un kī tamām burī harkateṅ tere sāmne āeṅ. un se yūṅ nipaṭ le jis tarah tū ne mere gunāhoṅ ke javāb meṅ mujh se nipaṭ liyā hai. kyūṅki āheṅ bharte bharte merā dil niḍhāl ho gayā hai.”