Yahūdāh 1

1yah ḵẖat īsā masīh ke ḵẖādim aur yāqūb ke bhāī yahūdāh kī taraf se hai.

maiṅ unheṅ likh rahā hūṅ jinheṅ bulāyā gayā hai, jo ḵẖudā bāp meṅ piyāre haiṅ aur īsā masīh ke liye mahfūz rakhe gae haiṅ.

2allāh āp ko raham, salāmatī aur muhabbat kasrat se atā kare.

jhūṭe ustād

3azīzo, go maiṅ āp ko us najāt ke bāre meṅ likhne kā baṛā shauq rakhtā hūṅ jis meṅ ham sab sharīk haiṅ, lekin ab maiṅ āp ko ek aur bāt ke bāre meṅ likhnā chāhatā hūṅ. maiṅ is meṅ āp ko nasīhat karne kī zarūrat mahsūs kartā hūṅ ki āp us īmān kī ḵẖātir jidd-o-jahd kareṅ jo ek hī bār sadā ke liye muqaddasīn ke sapurd kar diyā gayā hai. 4kyūṅki kuchh log āp ke darmiyān ghus āe haiṅ jinheṅ bahut arsā pahale mujrim ṭhaharāyā jā chukā hai. un ke bāre meṅ yah likhā gayā hai ki vah bedīn haiṅ jo hamāre ḵẖudā ke fazl ko toṛ-maroṛ kar ayyāshī kā bāis banā dete haiṅ aur hamāre vāhid āqā aur ḵẖudāvand īsā masīh kā inkār karte haiṅ.

5go āp yah sab kuchh jānte haiṅ, phir bhī maiṅ āp ko is kī yād dilānā chāhatā hūṅ ki agarchi ḵẖudāvand ne apnī qaum ko misr se nikāl kar bachā liyā thā to bhī us ne bād meṅ unheṅ halāk kar diyā jo īmān nahīṅ rakhte the. 6un farishtoṅ ko yād kareṅ jo us dāirā-e-iḵẖtiyār ke andar na rahe jo allāh ne un ke liye muqarrar kiyā thā balki jinhoṅ ne apnī rihāishgāh ko tark kar diyā. unheṅ us ne tārīkī meṅ mahfūz rakhā hai jahāṅ vah abdī zanjīroṅ meṅ jakṛe hue roz-e-azīm kī adālat kā intizār kar rahe haiṅ. 7sadūm, amūrā aur un ke ird-gird ke shaharoṅ ko bhī mat bhūlnā, jin ke bāshinde in farishtoṅ kī tarah zinākārī aur ġairfitrī sohbat ke pīchhe paṛe rahe. yah log abdī āg kī sazā bhugatte hue sab ke liye ek ibratanāk misāl haiṅ.

8to bhī in logoṅ ne un kā sā ravayyā apnā liyā hai. apne ḵẖwāboṅ kī binā par vah apne badnoṅ ko ālūdā kar lete, ḵẖudāvand kā iḵẖtiyār radd karte aur jalālī hastiyoṅ par kufr bakte haiṅ. 9in ke muqāble meṅ sardār farishte mīkāel ke ravayye par ġaur kareṅ. jab vah iblīs se jhagaṛte vaqt mūsā kī lāsh ke bāre meṅ bahs-mubāhasā kar rahā thā to us ne iblīs par kufr bakne kā faislā karne kī jur’at na kī balki sirf itnā hī kahā, “rabb āp ko ḍāṅṭe!” 10lekin yah log har aisī bāt ke bāre meṅ kufr bakte haiṅ jo un kī samajh meṅ nahīṅ ātī. aur jo kuchh vah fitrī taur par besamajh jānvaroṅ kī tarah samajhte haiṅ vahī unheṅ tabāh kar detā hai. 11un par afsos! unhoṅ ne qābīl kī rāh iḵẖtiyār kī hai. paisoṅ ke lālach meṅ unhoṅ ne apne āp ko pūre taur par us ġaltī ke havāle kar diyā hai jo bal’ām ne kī. vah qorah kī tarah bāġī ho kar halāk hue haiṅ. 12jab yah log ḵẖudāvand kī muhabbat ko yād karne vāle rifāqtī khānoṅ meṅ sharīk hote haiṅ to rifāqat ke liye dhabbe ban jāte haiṅ. yah ḍare baġair khānā khā khā kar us se mahazūz hote haiṅ. yah aise charvāhe haiṅ jo sirf apnī gallābānī karte haiṅ. yah aise bādal haiṅ jo havāoṅ ke zor se chalte to haiṅ lekin baraste nahīṅ. yah sardiyoṅ ke mausam meṅ aise daraḵẖtoṅ kī mānind haiṅ jo do lihāz se murdā haiṅ. vah phal nahīṅ lāte aur jaṛ se ukhṛe hue haiṅ. 13yah samundar kī bekābū laharoṅ kī mānind haiṅ jo apnī sharmanāk harkatoṅ kī jhāg uchhāltī haiṅ. yah āvārā sitāre haiṅ jin ke liye allāh ne sab se gaharī tārīkī meṅ ek dāimī jagah maḵẖsūs kī hai.

14ādam ke bād sātveṅ ādmī hanūk ne in logoṅ ke bāre meṅ yah peshgoī kī, “dekho, ḵẖudāvand apne beshumār muqaddas farishtoṅ ke sāth 15sab kī adālat karne āegā. vah unheṅ un tamām bedīn harkatoṅ ke sabab se mujrim ṭhaharāegā jo un se sarzad huī haiṅ aur un tamām saḵẖt bātoṅ kī vajah se jo bedīn gunāhgāroṅ ne us ke ḵẖilāf kī haiṅ.”

16yah log buṛabuṛāte aur shikāyat karte rahate haiṅ. yah sirf apnī zātī ḵẖwāhishāt pūrī karne ke liye zindagī guzārte haiṅ. yah apne bāre meṅ sheḵẖī mārte aur apne fāide ke liye dūsroṅ kī ḵẖushāmad karte haiṅ.

āgāhī aur hidāyāt

17lekin āp mere azīzo, vah kuchh yād rakheṅ jis kī peshgoī hamāre ḵẖudāvand īsā masīh ke rasūloṅ ne kī thī. 18unhoṅ ne āp se kahā thā, “āḵẖirī dinoṅ meṅ mazāq uṛāne vāle hoṅge jo apnī bedīn ḵẖwāhishāt pūrī karne ke liye hī zindagī guzāreṅge.” 19yah vah haiṅ jo pārṭībāzī karte, jo duniyāvī soch rakhte haiṅ aur jin ke pās rūh-ul-quds nahīṅ hai. 20lekin āp mere azīzo, apne āp ko apne muqaddastarīn īmān kī bunyād par tāmīr kareṅ aur rūh-ul-quds meṅ duā kareṅ. 21apne āp ko allāh kī muhabbat meṅ qāim rakheṅ aur is intizār meṅ raheṅ ki hamāre ḵẖudāvand īsā masīh kā raham āp ko abdī zindagī tak pahuṅchāe.

22un par raham kareṅ jo shak meṅ paṛe haiṅ. 23bāz ko āg meṅ se chhīn kar bachāeṅ aur bāz par raham kareṅ, lekin ḵẖauf ke sāth. balki us shaḵẖs ke libās se bhī nafrat kareṅ jo apnī harkatoṅ se gunāh se ālūdā ho gayā hai.

sitāish kī duā

24us kī tamjīd ho jo āp ko ṭhokar khāne se mahfūz rakh saktā hai aur āp ko apne jalāl ke sāmne bedāġ aur baṛī ḵẖushī se māmūr karke khaṛā kar saktā hai. 25us vāhid ḵẖudā yānī hamāre najātadihandā kā jalāl ho. hāṅ, hamāre ḵẖudāvand īsā masīh ke vasīle se use jalāl, azmat, qudrat aur iḵẖtiyār azal se ab bhī ho aur abad tak rahe. āmīn.