Yashua 9

jibaūnī yashūa ko dhokā dete haiṅ

1in bātoṅ kī ḵẖabar daryā-e-yardan ke maġrib ke tamām bādshāhoṅ tak pahuṅchī, ḵẖwāh vah pahāṛī ilāqe, maġrib ke nishebī pahāṛī ilāqe yā sāhilī ilāqe meṅ lubnān tak rahate the. un kī yah qaumeṅ thīṅ : hittī, amorī, kan’ānī, farizzī, hivvī aur yabūsī. 2ab yah yashūa aur isrāīliyoṅ se laṛne ke liye jamā hue.

3lekin jab jibaūn shahar ke bāshindoṅ ko patā chalā ki yashūa ne yarīhū aur aī ke sāth kyā kiyā hai 4to unhoṅ ne ek chāl chalī. apne sāth safar ke liye khānā le kar vah yashūa ke pās chal paṛe. un ke gadhoṅ par ḵẖastāhāl boriyāṅ aur mai kī aisī purānī aur ghisī phaṭī mashkeṅ ladī huī thīṅ jin kī bār bār marammat huī thī. 5mardoṅ ne aise purāne jūte pahan rakhe the jin par jagah jagah paivand lage hue the. un ke kapṛe bhī ghise phaṭe the, aur safar ke liye jo roṭī un ke pās thī vah ḵẖushk aur ṭukṛe ṭukṛe ho gaī thī. 6aisī hālat meṅ vah yashūa ke pās jiljāl kī ḵẖaimāgāh meṅ pahuṅch gae. unhoṅ ne us se aur bāqī isrāīlī mardoṅ se kahā, “ham ek dūrdarāz mulk se āe haiṅ. āeṅ, hamāre sāth muāhadā kareṅ.”

7lekin isrāīliyoṅ ne hivviyoṅ se kahā, “shāyad āp hamāre ilāqe ke bīch meṅ kahīṅ baste haiṅ. agar aisā hai to ham kis tarah āp se muāhadā kar sakte haiṅ?”

8vah yashūa se bole, “ham āp kī ḵẖidmat ke liye hāzir haiṅ.”

yashūa ne pūchhā, “āp kaun haiṅ aur kahāṅ se āe haiṅ?” 9unhoṅ ne javāb diyā, “āp ke ḵẖādim āp ke ḵẖudā ke nām ke bāis ek nihāyat dūrdarāz mulk se āe haiṅ. kyūṅki us kī ḵẖabar ham tak pahuṅch gaī hai, aur ham ne vah sab kuchh sun liyā hai jo us ne misr meṅ 10aur daryā-e-yardan ke mashriq meṅ rahane vāle do bādshāhoṅ ke sāth kiyā yānī hasbon ke bādshāh sīhon aur basan ke bādshāh oj ke sāth jo astārāt meṅ rahatā thā. 11tab hamāre buzurgoṅ balki hamāre mulk ke tamām bāshindoṅ ne ham se kahā, ‘safar ke liye khānā le kar un se milne jāeṅ. un se bāt kareṅ ki ham āp kī ḵẖidmat ke liye hāzir haiṅ. āeṅ, hamāre sāth muāhadā kareṅ.’ 12hamārī yah roṭī abhī garm thī jab ham ise safar ke liye apne sāth le kar āp se milne ke liye apne gharoṅ se ravānā hue. aur ab āp ḵẖud dekh sakte haiṅ ki yah ḵẖushk aur ṭukṛe ṭukṛe ho gaī hai. 13aur mai kī in mashkoṅ kī ghisī phaṭī hālat dekheṅ. bharte vaqt yah naī aur lachakdār thīṅ. yahī hamāre kapṛoṅ aur jūtoṅ kī hālat bhī hai. safar karte karte yah ḵẖatm ho gae haiṅ.”

14isrāīliyoṅ ne musāfiroṅ kā kuchh khānā liyā. afsos, unhoṅ ne rabb se hidāyat na māṅgī. 15phir yashūa ne un ke sāth sulah kā muāhadā kiyā aur jamāat ke rāhanumāoṅ ne qasam khā kar us kī tasdīq kī. muāhade meṅ isrāīl ne vādā kiyā ki jibaūniyoṅ ko jīne degā.

16tīn din guzre to isrāīliyoṅ ko patā chalā ki jibaūnī hamāre qarīb hī aur hamāre ilāqe ke ain bīch meṅ rahate haiṅ. 17isrāīlī ravānā hue aur tīsre din un ke shaharoṅ ke pās pahuṅche jin ke nām jibaūn, kafīrā, bairot aur qiryat-yārīm the. 18lekin chūṅki jamāat ke rāhanumāoṅ ne rabb isrāīl ke ḵẖudā kī qasam khā kar un se vādā kiyā thā is liye unhoṅ ne jibaūniyoṅ ko halāk na kiyā. pūrī jamāat rāhanumāoṅ par buṛbuṛāne lagī, 19lekin unhoṅ ne javāb meṅ kahā, “ham ne rabb isrāīl ke ḵẖudā kī qasam khā kar un se vādā kiyā, aur ab ham unheṅ chheṛ nahīṅ sakte. 20chunāṅche ham unheṅ jīne deṅge aur vah qasam na toṛeṅge jo ham ne un ke sāth khāī. aisā na ho ki allāh kā ġazab ham par nāzil ho jāe. 21unheṅ jīne do.” phir faislā yah huā ki jibaūnī lakaṛahāre aur pānī bharne vāle ban kar pūrī jamāat kī ḵẖidmat kareṅ. yūṅ isrāīlī rāhanumāoṅ kā un ke sāth vādā qāim rahā.

22yashūa ne jibaūniyoṅ ko bulā kar kahā, “tum ne hameṅ dhokā de kar kyūṅ kahā ki ham āp se nihāyat dūr rahate haiṅ hālāṅki tum hamāre ilāqe ke bīch meṅ hī rahate ho? 23chunāṅche ab tum par lānat ho. tum lakaṛahāre aur pānī bharne vāle ban kar hameshā ke liye mere ḵẖudā ke ghar kī ḵẖidmat karoge.”

24unhoṅ ne javāb diyā, “āp ke ḵẖādimoṅ ko sāf batāyā gayā thā ki rabb āp ke ḵẖudā ne apne ḵẖādim mūsā ko kyā hukm diyā thā, ki use āp ko pūrā mulk denā aur āp ke āge āge tamām bāshindoṅ ko halāk karnā hai. yah sun kar ham bahut ḍar gae ki hamārī jān nahīṅ bachegī. isī liye ham ne yah sab kuchh kiyā. 25ab ham āp ke hāth meṅ haiṅ. hamāre sāth vah kuchh kareṅ jo āp ko acchhā aur ṭhīk lagtā hai.”

26chunāṅche yashūa ne unheṅ isrāīliyoṅ se bachāyā, aur unhoṅ ne jibaūniyoṅ ko halāk na kiyā. 27usī din us ne jibaūniyoṅ ko lakaṛahāre aur pānī bharne vāle banā diyā tāki vah jamāat aur rabb kī us qurbāngāh kī ḵẖidmat kareṅ jis kā maqām rabb ko abhī chunnā thā. aur yah log āj tak yahī kuchh karte haiṅ.