Yashua 4

yādgār patthar

1jab pūrī qaum ne daryā-e-yardan ko ubūr kar liyā to rabb yashūa se hamkalām huā, 2“har qabīle meṅ se ek ek ādmī ko chun le. 3phir in bārah ādmiyoṅ ko hukm de ki jahāṅ imām daryā-e-yardan ke darmiyān khaṛe haiṅ vahāṅ se bārah patthar uṭhā kar unheṅ us jagah rakh do jahāṅ tum āj rāt ṭhaharoge.”

4chunāṅche yashūa ne un bārah ādmiyoṅ ko bulāyā jinheṅ us ne isrāīl ke har qabīle se chun liyā thā 5aur un se kahā, “rabb apne ḵẖudā ke sandūq ke āge āge chal kar daryā ke darmiyān tak jāeṅ. āp meṅ se har ādmī ek ek patthar uṭhā kar apne kaṅdhe par rakhe aur bāhar le jāe. kul bārah patthar hoṅge, isrāīl ke har qabīle ke liye ek. 6yah patthar āp ke darmiyān ek yādgār nishān raheṅge. āindā jab āp ke bacche āp se pūchheṅge ki in pattharoṅ kā kyā matlab hai 7to unheṅ batānā, ‘yah hameṅ yād dilāte haiṅ ki daryā-e-yardan kā bahāo ruk gayā jab rabb kā ahd kā sandūq us meṅ se guzrā.’ yah patthar abad tak isrāīl ko yād dilāte raheṅge ki yahāṅ kyā kuchh huā thā.”

8isrāīliyoṅ ne aisā hī kiyā. unhoṅ ne daryā-e-yardan ke bīch meṅ se apne qabīloṅ kī tādād ke mutābiq bārah patthar uṭhāe, bilkul usī tarah jis tarah rabb ne yashūa ko farmāyā thā. phir unhoṅ ne yah patthar apne sāth le kar us jagah rakh die jahāṅ unheṅ rāt ke liye ṭhaharnā thā. 9sāth sāth yashūa ne us jagah bhī bārah patthar khaṛe kie jahāṅ ahd kā sandūq uṭhāne vāle imām daryā-e-yardan ke darmiyān khaṛe the. yah patthar āj tak vahāṅ paṛe haiṅ. 10sandūq ko uṭhāne vāle imām daryā ke darmiyān khaṛe rahe jab tak logoṅ ne tamām ahkām jo rabb ne yashūa ko die the pūre na kar liye. yūṅ sab kuchh vaisā hī huā jaisā mūsā ne yashūa ko farmāyā thā.

log jaldī jaldī daryā meṅ se guzre. 11jab sab dūsre kināre par the to imām bhī rabb kā sandūq le kar kināre par pahuṅche aur dubārā qaum ke āge āge chalne lage. 12aur jis tarah mūsā ne farmāyā thā, rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ke mard musallah ho kar bāqī isrāīlī qabīloṅ se pahale daryā ke dūsre kināre par pahuṅch gae the. 13taqrīban 40,000 musallah mard us vaqt rabb ke sāmne yarīhū ke maidān meṅ pahuṅch gae tāki vahāṅ jaṅg kareṅ. 14us din rabb ne yashūa ko pūrī isrāīlī qaum ke sāmne sarfarāz kiyā. us ke jīte jī log us kā yūṅ ḵẖauf mānte rahe jis tarah pahale mūsā kā.

15phir rabb ne yashūa se kahā, 16“ahd kā sandūq uṭhāne vāle imāmoṅ ko daryā meṅ se nikalne kā hukm de.” 17yashūa ne aisā hī kiyā 18to jūṅ hī imām kināre par pahuṅch gae pānī dubārā bah kar daryā ke kināroṅ se bāhar āne lagā.

19isrāīliyoṅ ne pahale mahīne ke dasveṅ din [a] yānī aprail meṅ. daryā-e-yardan ko ubūr kiyā. unhoṅ ne apne ḵẖaime yarīhū ke mashriq meṅ vāqe jiljāl meṅ khaṛe kie. 20vahāṅ yashūa ne daryā meṅ se chune hue bārah pattharoṅ ko khaṛā kiyā. 21us ne isrāīliyoṅ se kahā, “āindā jab āp ke bacche apne apne bāp se pūchheṅge ki in pattharoṅ kā kyā matlab hai 22to unheṅ batānā, ‘yah vah jagah hai jahāṅ isrāīlī qaum ne ḵẖushk zamīn par daryā-e-yardan ko pār kiyā.’ 23kyūṅki rabb āp ke ḵẖudā ne us vaqt tak āp ke āge āge daryā kā pānī ḵẖushk kar diyā jab tak āp vahāṅ se guzar na gae, bilkul usī tarah jis tarah bahar-e-qulzum ke sāth kiyā thā jab ham us meṅ se guzre. 24us ne yah kām is liye kiyā tāki zamīn kī tamām qaumeṅ allāh kī qudrat ko jān leṅ aur āp hameshā rabb apne ḵẖudā kā ḵẖauf māneṅ.”

[a] yānī aprail meṅ.