Yashua 3

isrāīlī daryā-e-yardan ko ubūr karte haiṅ

1subah-savere uṭh kar yashūa aur tamām isrāīlī shittīm se ravānā hue. jab vah daryā-e-yardan pahuṅche to use ubūr na kiyā balki rāt ke liye kināre par ruk gae. 2vah tīn din vahāṅ rahe. phir nigahbānoṅ ne ḵẖaimāgāh meṅ se guzar kar 3logoṅ ko hukm diyā, “jab āp dekheṅ ki lāvī ke qabīle ke imām rabb āp ke ḵẖudā ke ahd kā sandūq uṭhāe hue haiṅ to apne apne maqām se ravānā ho kar us ke pīchhe ho leṅ. 4phir āp ko patā chalegā ki kahāṅ jānā hai, kyūṅki āp pahale kabhī vahāṅ nahīṅ gae. lekin sandūq ke taqrīban ek kilomīṭar pīchhe raheṅ aur ziyādā qarīb na jāeṅ.”

5yashūa ne logoṅ ko batāyā, “apne āp ko maḵẖsūs-o-muqaddas kareṅ, kyūṅki kal rabb āp ke darmiyān hairat’aṅgez kām karegā.”

6agle din yashūa ne imāmoṅ se kahā, “ahd kā sandūq uṭhā kar logoṅ ke āge āge daryā ko pār kareṅ.” chunāṅche imām sandūq ko uṭhā kar āge āge chal die. 7aur rabb ne yashūa se farmāyā, “maiṅ tujhe tamām isrāīliyoṅ ke sāmne sarfarāz kar dūṅgā, aur āj hī maiṅ yah kām shurū karūṅgā tāki vah jān leṅ ki jis tarah maiṅ mūsā ke sāth thā usī tarah tere sāth bhī hūṅ. 8ahd kā sandūq uṭhāne vāle imāmoṅ ko batā denā, ‘jab āp daryā-e-yardan ke kināre pahuṅcheṅge to vahāṅ pānī meṅ ruk jāeṅ’.”

9yashūa ne isrāīliyoṅ se kahā, “mere pās āeṅ aur rabb apne ḵẖudā ke farmān sun leṅ. 10āj āp jān leṅge ki zindā ḵẖudā āp ke darmiyān hai aur ki vah yaqīnan āp ke āge āge jā kar dūsrī qaumoṅ ko nikāl degā, ḵẖwāh vah kan’ānī, hittī, hivvī, farizzī, jirjāsī, amorī yā yabūsī hoṅ. 11yah yūṅ zāhir hogā ki ahd kā yah sandūq jo tamām duniyā ke mālik kā hai āp ke āge āge daryā-e-yardan meṅ jāegā. 12ab aisā kareṅ ki har qabīle meṅ se ek ek ādmī ko chun leṅ tāki bārah afrād jamā ho jāeṅ. 13phir imām tamām duniyā ke mālik rabb ke ahd kā sandūq uṭhā kar daryā meṅ jāeṅge. aur jūṅ hī vah apne pāoṅ pānī meṅ rakheṅge to pānī kā bahāo ruk jāegā aur āne vālā pānī ḍher ban kar khaṛā rahegā.”

14chunāṅche isrāīlī apne ḵẖaimoṅ ko sameṭ kar ravānā hue, aur ahd kā sandūq uṭhāne vāle imām un ke āge āge chal die. 15fasal kī kaṭāī kā mausam thā, aur daryā kā pānī kināroṅ se bāhar ā gayā thā. lekin jūṅ hī sandūq ko uṭhāne vāle imāmoṅ ne daryā ke kināre pahuṅch kar pānī meṅ qadam rakhā 16to āne vāle pānī kā bahāo ruk gayā. vah un se dūr ek shahar ke qarīb ḍher ban gayā jis kā nām ādam thā aur jo zartān ke nazdīk hai. jo pānī dūsrī yānī bahīrā-e-murdār kī taraf bah rahā thā vah pūrī tarah utar gayā. tab isrāīliyoṅ ne yarīhū shahar ke muqābil daryā ko pār kiyā. 17rabb kā ahd kā sandūq uṭhāne vāle imām daryā-e-yardan ke bīch meṅ ḵẖushk zamīn par khaṛe rahe jabki bāqī log ḵẖushk zamīn par se guzar gae. imām us vaqt tak vahāṅ khaṛe rahe jab tak tamām isrāīliyoṅ ne ḵẖushk zamīn par chal kar daryā ko pār na kar liyā.