Yashua 23

yashūa kī āḵẖirī nasīhateṅ

1ab isrāīlī kāfī der se salāmatī se apne mulk meṅ rahate the, kyūṅki rabb ne unheṅ ird-gird ke dushmanoṅ ke hamloṅ se mahfūz rakhā. jab yashūa bahut būṛhā ho gayā thā 2to us ne isrāīl ke tamām buzurgoṅ, sardāroṅ, qāziyoṅ aur nigahbānoṅ ko apne pās bulā kar kahā, “ab maiṅ būṛhā ho gayā hūṅ. 3āp ne apnī āṅkhoṅ se dekhā ki rabb ne is ilāqe kī tamām qaumoṅ ke sāth kyā kuchh kiyā hai. rabb āp ke ḵẖudā hī ne āp ke liye jaṅg kī. 4yād rakheṅ ki maiṅ ne mashriq meṅ daryā-e-yardan se le kar maġrib meṅ samundar tak sārā mulk āp ke qabīloṅ meṅ taqsīm kar diyā hai. bahut sī qaumoṅ par maiṅ ne fatah pāī, lekin chand ek ab tak bāqī rah gaī haiṅ. 5lekin rabb āp kā ḵẖudā āp ke āge āge chalte hue unheṅ bhī nikāl kar bhagā degā. āp un kī zamīnoṅ par qabzā kar leṅge jis tarah rabb āp ke ḵẖudā ne vādā kiyā hai.

6ab pūrī himmat se har bāt par amal kareṅ jo mūsā kī sharīat kī kitāb meṅ likhī huī hai. na dāīṅ aur na bāīṅ taraf haṭeṅ. 7un dīgar qaumoṅ se rishtā mat bāṅdhnā jo ab tak mulk meṅ bāqī rah gaī haiṅ. un ke butoṅ ke nām apnī zabān par na lānā, na un ke nām le kar qasam khānā. na un kī ḵẖidmat karnā, na unheṅ sijdā karnā. 8rabb apne ḵẖudā ke sāth yūṅ lipṭe rahanā jis tarah āj tak lipṭe rahe haiṅ.

9rabb ne āp ke āge āge chal kar baṛī baṛī aur tāqatvar qaumeṅ nikāl dī haiṅ. āj tak āp ke sāmne koī nahīṅ khaṛā rah sakā. 10āp meṅ se ek shaḵẖs hazār dushmanoṅ ko bhagā detā hai, kyūṅki rabb āp kā ḵẖudā ḵẖud āp ke liye laṛtā hai jis tarah us ne vādā kiyā thā. 11chunāṅche sanjīdgī se dhyān deṅ ki āp rabb apne ḵẖudā se piyār kareṅ, kyūṅki āp kī zindagī isī par munhasir hai. 12agar āp us se dūr ho kar un dīgar qaumoṅ se lipaṭ jāeṅ jo ab tak mulk meṅ bāqī haiṅ aur un ke sāth rishtā bāṅdheṅ 13to rabb āp kā ḵẖudā yaqīnan in qaumoṅ ko āp ke āge se nahīṅ nikālegā. is ke bajāy yah āp ko phaṅsāne ke liye phaṅdā aur jāl baneṅge. yah yaqīnan āp kī pīṭhoṅ ke liye koṛe aur āṅkhoṅ ke liye kāṅṭe ban jāeṅge. āḵẖir meṅ āp us acchhe mulk meṅ se miṭ jāeṅge jo rabb āp ke ḵẖudā ne āp ko de diyā hai.

14āj maiṅ vahāṅ jā rahā hūṅ jahāṅ kisī na kisī din duniyā ke har shaḵẖs ko jānā hotā hai. lekin āp ne pūre dil-o-jān se jān liyā hai ki jo bhī vādā rabb āp ke ḵẖudā ne āp ke sāth kiyā vah pūrā huā hai. ek bhī adhūrā nahīṅ rah gayā. 15lekin jis tarah rabb ne har vādā pūrā kiyā hai bilkul usī tarah vah tamām āfteṅ āp par nāzil karegā jin ke bāre meṅ us ne āp ko ḵẖabardār kiyā hai agar āp us ke tābe na raheṅ. phir vah āp ko us acchhe mulk meṅ se miṭā degā jo us ne āp ko de diyā hai. 16agar āp us ahd ko toṛeṅ jo us ne āp ke sāth bāṅdhā hai aur dīgar mābūdoṅ kī pūjā karke unheṅ sijdā kareṅ to phir rabb kā pūrā ġazab āp par nāzil hogā aur āp jald hī us acchhe mulk meṅ se miṭ jāeṅge jo us ne āp ko de diyā hai.”