Yashua 22

mashriqī qabīloṅ ko ghar vāpas jāne kī ijāzat

1phir yashūa ne rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ke mardoṅ ko apne pās bulā kar 2kahā, “jo bhī hukm rabb ke ḵẖādim mūsā ne āp ko diyā thā use āp ne pūrā kiyā. aur āp ne merī har bāt mānī hai. 3āp ne kāfī arse se āj tak apne bhāiyoṅ ko tark nahīṅ kiyā balki bilkul vahī kuchh kiyā hai jo rabb kī marzī thī. 4ab rabb āp ke ḵẖudā ne āp ke bhāiyoṅ ko mauūdā mulk de diyā hai, aur vah salāmatī ke sāth us meṅ rah rahe haiṅ. is liye ab vaqt ā gayā hai ki āp apne ghar vāpas chale jāeṅ, us mulk meṅ jo rabb ke ḵẖādim mūsā ne āp ko daryā-e-yardan ke pār de diyā hai. 5lekin ḵẖabardār, ehatiyāt se un hidāyāt par chalte raheṅ jo rabb ke ḵẖādim mūsā ne āp ko de dīṅ. rabb apne ḵẖudā se piyār kareṅ, us kī tamām rāhoṅ par chaleṅ, us ke ahkām māneṅ, us ke sāth lipṭe raheṅ, aur pūre dil-o-jān se us kī ḵẖidmat kareṅ.” 6yah kah kar yashūa ne unheṅ barkat de kar ruḵẖsat kar diyā, aur vah apne ghar chale gae.

7manassī ke ādhe qabīle ko mūsā se mulk-e-basan meṅ zamīn mil gaī thī. dūsre hisse ko yashūa se zamīn mil gaī thī, yānī daryā-e-yardan ke maġrib meṅ jahāṅ bāqī qabīle ābād hue the. manassī ke mardoṅ ko ruḵẖsat karte vaqt yashūa ne unheṅ barkat de kar 8kahā, “āp baṛī daulat ke sāth apne ghar lauṭ rahe haiṅ. āp ko baṛe revaṛ, sonā, chāṅdī, lohā aur bahut se kapṛe mil gae haiṅ. jab āp apne ghar pahuṅcheṅge to māl-e-ġanīmat un ke sāth taqsīm kareṅ jo ghar meṅ rah gae haiṅ.”

9phir rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ke mard bāqī isrāīliyoṅ ko sailā meṅ chhoṛ kar mulk-e-jiliād kī taraf ravānā hue jo daryā-e-yardan ke mashriq meṅ hai. vahāṅ un ke apne ilāqe the jin meṅ un ke qabīle rabb ke us hukm ke mutābiq ābād hue the jo us ne mūsā kī mārifat diyā thā.

mashriqī qabīle qurbāngāh banā lete haiṅ

10yah mard chalte chalte daryā-e-yardan ke maġrib meṅ ek jagah pahuṅche jis kā nām galīlot thā. vahāṅ yānī mulk-e-kan’ān meṅ hī unhoṅ ne ek baṛī aur shāndār qurbāngāh banāī. 11isrāīliyoṅ ko ḵẖabar dī gaī, “rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ne kan’ān kī sarhadd par galīlot meṅ qurbāngāh banā lī hai. yah qurbāngāh daryā-e-yardan ke maġrib meṅ yānī hamāre hī ilāqe meṅ hai!”

12tab isrāīl kī pūrī jamāat mashriqī qabīloṅ se laṛne ke liye sailā meṅ jamā huī. 13lekin pahale unhoṅ ne ilīazar imām ke beṭe fīnhās ko mulk-e-jiliād ko bhejā jahāṅ rūbin, jad aur manassī kā ādhā qabīlā ābād the. 14us ke sāth 10 ādmī yānī har maġribī qabīle kā ek numāindā thā. har ek apne ābāī gharāne aur kuṁbe kā sarbarāh thā. 15jiliād meṅ pahuṅch kar unhoṅ ne mashriqī qabīloṅ se bāt kī. 16“rabb kī pūrī jamāat āp se pūchhtī hai ki āp isrāīl ke ḵẖudā se bevafā kyūṅ ho gae haiṅ? āp ne rabb se apnā muṅh pher kar yah qurbāngāh kyūṅ banāī hai? is se āp ne rabb se sarkashī kī hai. 17kyā yah kāfī nahīṅ thā ki ham se faġūr ke but kī pūjā karne kā gunāh sarzad huā? ham to āj tak pūre taur par us gunāh se pāk-sāf nahīṅ hue go us vaqt rabb kī jamāat ko vabā kī sūrat meṅ sazā mil gaī thī. 18to phir āp kyā kar rahe haiṅ? āp dubārā rabb se apnā muṅh pher kar dūr ho rahe haiṅ. dekheṅ, agar āp āj rabb se sarkashī kareṅ to kal vah isrāīl kī pūrī jamāat ke sāth nārāz hogā. 19agar āp samajhte haiṅ ki āp kā mulk nāpāk hai aur āp is liye us meṅ rabb kī ḵẖidmat nahīṅ kar sakte to hamāre pās rabb ke mulk meṅ āeṅ jahāṅ rabb kī sukūnatgāh hai, aur hamārī zamīnoṅ meṅ sharīk ho jāeṅ. lekin rabb se yā ham se sarkashī mat karnā. rabb hamāre ḵẖudā kī qurbāngāh ke ilāvā apne liye koī aur qurbāngāh na banāeṅ! 20kyā isrāīl kī pūrī jamāat par allāh kā ġazab nāzil na huā jab akan bin zārah ne māl-e-ġanīmat meṅ se kuchh chorī kiyā jo rabb ke liye maḵẖsūs thā? us ke gunāh kī sazā sirf us tak hī mahdūd na rahī balki aur bhī halāk hue.”

21rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ke mardoṅ ne isrāīlī kuṁboṅ ke sarbarāhoṅ ko javāb diyā, 22“rabb qādir-e-mutlaq ḵẖudā, hāṅ rabb qādir-e-mutlaq ḵẖudā haqīqat jāntā hai, aur isrāīl bhī yah bāt jān le! na ham sarkash hue haiṅ, na rabb se bevafā. agar ham jhūṭ boleṅ to āj hī hameṅ mār ḍāleṅ! 23ham ne yah qurbāngāh is liye nahīṅ banāī ki rabb se dūr ho jāeṅ. ham us par koī bhī qurbānī chaṛhānā nahīṅ chāhate, na bhasm hone vālī qurbāniyāṅ, na ġallā kī nazreṅ aur na hī salāmatī kī qurbāniyāṅ. agar ham jhūṭ boleṅ to rabb ḵẖud hamārī adālat kare. 24haqīqat meṅ ham ne yah qurbāngāh is liye tāmīr kī ki ham ḍarte haiṅ ki mustaqbil meṅ kisī din āp kī aulād hamārī aulād se kahe, ‘āp kā rabb isrāīl ke ḵẖudā ke sāth kyā vāstā hai? 25āḵẖir rabb ne hamāre aur āp ke darmiyān daryā-e-yardan kī sarhadd muqarrar kī hai. chunāṅche āp ko rabb kī ibādat karne kā koī haq nahīṅ!’ aisā karne se āp kī aulād hamārī aulād ko rabb kī ḵẖidmat karne se rokegī. 26yahī vajah hai ki ham ne yah qurbāngāh banāī, bhasm hone vālī qurbāniyāṅ yā zabah kī koī aur qurbānī chaṛhāne ke liye nahīṅ 27balki āp ko aur āne vālī nasloṅ ko is bāt kī yād dilāne ke liye ki hameṅ bhī rabb ke ḵẖaime meṅ bhasm hone vālī qurbāniyāṅ, zabah kī qurbāniyāṅ aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhāne kā haq hai. yah qurbāngāh hamāre aur āp ke darmiyān gavāh rahegī. ab āp kī aulād kabhī bhī hamārī aulād se nahīṅ kah sakegī, ‘āp ko rabb kī jamāat ke huqūq hāsil nahīṅ.’ 28aur agar vah kisī vaqt yah bāt kare to hamārī aulād kah sakegī, ‘yah qurbāngāh dekheṅ jo rabb kī qurbāngāh kī hū-ba-hū naqal hai. hamāre bāpdādā ne ise banāyā thā, lekin is liye nahīṅ ki ham is par bhasm hone vālī qurbāniyāṅ aur zabah kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ balki āp ko aur hameṅ gavāhī dene ke liye ki hameṅ mil kar rabb kī ibādat karne kā haq hai.’ 29hālāt kabhī bhī yahāṅ tak na pahuṅcheṅ ki ham rabb se sarkashī karke apnā muṅh us se pher leṅ. nahīṅ, ham ne yah qurbāngāh bhasm hone vālī qurbāniyāṅ, ġallā kī nazreṅ aur zabah kī qurbāniyāṅ chaṛhāne ke liye nahīṅ banāī. ham sirf rabb apne ḵẖudā kī sukūnatgāh ke sāmne kī qurbāngāh par hī apnī qurbāniyāṅ pesh karnā chāhate haiṅ.”

30jab fīnhās aur isrāīlī jamāat ke kuṁboṅ ke sarbarāhoṅ ne jiliād meṅ rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle kī yah bāteṅ sunīṅ to vah mutmain hue. 31fīnhās ne un se kahā, “ab ham jānte haiṅ ki rabb āindā bhī hamāre darmiyān rahegā, kyūṅki āp us se bevafā nahīṅ hue haiṅ. āp ne isrāīliyoṅ ko rabb kī sazā se bachā liyā hai.”

32is ke bād fīnhās aur bāqī isrāīlī sardār rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ko mulk-e-jiliād meṅ chhoṛ kar mulk-e-kan’ān meṅ lauṭ āe. vahāṅ unhoṅ ne sab kuchh batāyā jo huā thā. 33bāqī isrāīliyoṅ ko yah bāt pasand āī, aur vah allāh kī tamjīd karke rūbin aur jad se jaṅg karne aur un kā ilāqā tabāh karne ke irāde se bāz āe. 34rūbin aur jad ke qabīloṅ ne naī qurbāngāh kā nām gavāh rakhā, kyūṅki unhoṅ ne kahā, “yah qurbāngāh hamāre aur dūsre qabīloṅ ke darmiyān gavāh hai ki rabb hamārā bhī ḵẖudā hai.”