Yashua 21

lāviyoṅ ke shahar aur charāgāheṅ

1phir lāvī ke qabīle ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāh ilīazar imām, yashūa bin nūn aur isrāīl ke bāqī qabīloṅ ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāhoṅ ke pās āe 2jo us vaqt sailā meṅ jamā the. lāviyoṅ ne kahā, “rabb ne mūsā kī mārifat hukm diyā thā ki hameṅ basne ke liye shahar aur revṛoṅ ko charāne ke liye charāgāheṅ dī jāeṅ.” 3chunāṅche isrāīliyoṅ ne rabb kī yah bāt mān kar apne ilāqoṅ meṅ se shahar aur charāgāheṅ alag karke lāviyoṅ ko de dīṅ.

4qur’ā ḍālā gayā to lāvī ke gharāne qihāt ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq pahalā hissā mil gayā. pahale hārūn ke kuṁbe ko yahūdāh, shamāūn aur binyamīn ke qabīloṅ ke 13 shahar die gae. 5bāqī qihātiyoṅ ko dān, ifrāīm aur maġribī manassī ke qabīloṅ ke 10 shahar mil gae.

6jairson ke gharāne ko ishkār, āshar, naftālī aur manassī ke qabīloṅ ke 13 shahar die gae. yah manassī kā vah ilāqā thā jo daryā-e-yardan ke mashriq meṅ mulk-e-basan meṅ thā.

7mirārī ke gharāne ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq rūbin, jad aur zabūlūn ke qabīloṅ ke 12 shahar mil gae.

8yūṅ isrāīliyoṅ ne qur’ā ḍāl kar lāviyoṅ ko mazkūrā shahar aur un ke gird-o-navāh kī charāgāheṅ de dīṅ. vaisā hī huā jaisā rabb ne mūsā kī mārifat hukm diyā thā.

qihāt ke gharāne ke shahar

9-10 qur’ā ḍālte vaqt lāvī ke gharāne qihāt meṅ se hārūn ke kuṁbe ko pahalā hissā mil gayā. use yahūdāh aur shamāūn ke qabīloṅ ke yah shahar die gae : 11pahalā shahar anāqiyoṅ ke bāp kā shahar qiryat-arbā thā jo yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ hai aur jis kā maujūdā nām habrūn hai. us kī charāgāheṅ bhī dī gaīṅ, 12lekin habrūn ke ird-gird kī ābādiyāṅ aur khet kālib bin yafunnā kī milkiyat rahe. 13hārūn ke kuṁbe kā yah shahar panāh kā shahar bhī thā jis meṅ har vah shaḵẖs panāh le saktā thā jis se koī ġairirādī taur par halāk huā thā. is ke ilāvā hārūn ke kuṁbe ko libnā, 14yattīr, istimūa, 15haulūn, dabīr, 16ain, yūttā aur bait-shams ke shahar bhī mil gae. use yahūdāh aur shamāūn ke qabīloṅ ke kul 9 shahar un kī charāgāhoṅ samet mil gae. 17-18 in ke ilāvā binyamīn ke qabīle ke chār shahar us kī milkiyat meṅ āe yānī jibaūn, jibā, antot aur almon. 19ġaraz hārūn ke kuṁbe ko 13 shahar un kī charāgāhoṅ samet mil gae. 20lāvī ke qabīle ke gharāne qihāt ke bāqī kuṁboṅ ko qur’ā ḍālte vaqt ifrāīm ke qabīle ke shahar mil gae. 21in meṅ ifrāīm ke pahāṛī ilāqe kā shahar sikam shāmil thā jis meṅ har vah shaḵẖs panāh le saktā thā jis se koī ġairirādī taur par halāk huā thā, phir jazar, 22qibzaim aur bait-haurūn. in chār shaharoṅ kī charāgāheṅ bhī mil gaīṅ. 23-24 dān ke qabīle ne bhī unheṅ chār shahar un kī charāgāhoṅ samet die yānī iltaqih, jibbatūn, ayyālon aur jāt-rimmon. 25manassī ke maġribī hisse se unheṅ do shahar tānak aur jāt-rimmon un kī charāgāhoṅ samet mil gae. 26ġaraz qihāt ke bāqī kuṁboṅ ko kul 10 shahar un kī charāgāhoṅ samet mile.

jairson ke gharāne ke shahar

27lāvī ke qabīle ke gharāne jairson ko manassī ke mashriqī hisse ke do shahar un kī charāgāhoṅ samet die gae : mulk-e-basan meṅ jaulān jis meṅ har vah shaḵẖs panāh le saktā thā jis se koī ġairirādī taur par halāk huā thā, aur baistarāh. 28-29 ishkār ke qabīle ne use chār shahar un kī charāgāhoṅ samet die : qisiyon, dābrat, yarmūt aur ain-jannīm. 30-31 isī tarah use āshar ke qabīle ke bhī chār shahar un kī charāgāhoṅ samet die gae : misāl, abdon, ḵẖilqat aur rahob. 32naftālī ke qabīle ne tīn shahar un kī charāgāhoṅ samet die : galīl kā qādis jis meṅ har vah shaḵẖs panāh le saktā thā jis se koī ġairirādī taur par halāk huā thā, phir hammāt-dor aur qartān. 33ġaraz jairson ke gharāne ko 13 shahar un kī charāgāhoṅ samet mil gae.

mirārī ke gharāne ke shahar

34-35 ab rah gayā lāvī ke qabīle kā gharānā mirārī. use zabūlūn ke qabīle ke chār shahar un kī charāgāhoṅ samet mil gae : yuqniām, qartā, dimnā aur nahalāl. 36-37 isī tarah use rūbin ke qabīle ke bhī chār shahar un kī charāgāhoṅ samet mil gae : basar, yahaz, qadīmāt aur mifāt. 38-39 jad ke qabīle ne use chār shahar un kī charāgāhoṅ samet die : mulk-e-jiliād kā rāmāt jis meṅ har vah shaḵẖs panāh le saktā thā jis se koī ġairirādī taur par halāk huā thā, phir mahanāim, hasbon aur yāzer. 40ġaraz mirārī ke gharāne ko kul 12 shahar un kī charāgāhoṅ samet mil gae.

41isrāīl ke muḵẖtalif ilāqoṅ meṅ jo lāviyoṅ ke shahar un kī charāgāhoṅ samet the un kī kul tādād 48 thī. 42har shahar ke ird-gird charāgāheṅ thīṅ.

allāh ne apnā vādā pūrā kiyā

43yūṅ rabb ne isrāīliyoṅ ko vah pūrā mulk de diyā jis kā vādā us ne un ke bāpdādā se qasam khā kar kiyā thā. vah us par qabzā karke us meṅ rahane lage. 44aur rabb ne chāroṅ taraf amn-o-amān muhayyā kiyā jis tarah us ne un ke bāpdādā se qasam khā kar vādā kiyā thā. usī kī madad se isrāīlī tamām dushmanoṅ par ġālib āe the. 45jo acchhe vāde rabb ne isrāīl se kie the un meṅ se ek bhī nāmukammal na rahā balki sab ke sab pūre ho gae.