Yashua 20

panāh ke chhah shahar

1rabb ne yashūa se kahā, 2“isrāīliyoṅ ko hukm de ki un hidāyāt ke mutābiq panāh ke shahar chun lo jinheṅ maiṅ tumheṅ mūsā kī mārifat de chukā hūṅ. 3in shaharoṅ meṅ vah log farār ho sakte haiṅ jin se koī ittifāqan yānī ġairirādī taur par halāk huā ho. yah unheṅ mare hue shaḵẖs ke un rishtedāroṅ se panāh deṅge jo badlā lenā chāheṅge. 4lāzim hai ki aisā shaḵẖs panāh ke shahar ke pās pahuṅchne par shahar ke darvāze ke pās baiṭhe buzurgoṅ ko apnā muāmalā pesh kare. us kī bāt sun kar buzurg use apne shahar meṅ dāḵẖil hone kī ijāzat deṅ aur use apne darmiyān rahane ke liye jagah de deṅ. 5ab agar badlā lene vālā us ke pīchhe paṛ kar vahāṅ pahuṅche to buzurg mulzim ko us ke hāth meṅ na deṅ, kyūṅki yah maut ġairirādī taur par aur nafrat rakhe baġair huī hai. 6vah us vaqt tak shahar meṅ rahe jab tak maqāmī adālat muāmale kā faislā na kar de. agar adālat use begunāh qarār de to vah us vaqt ke imām-e-āzam kī maut tak us shahar meṅ rahe. is ke bād use apne us shahar aur ghar ko vāpas jāne kī ijāzat hai jis se vah farār ho kar āyā hai.”

7isrāīliyoṅ ne panāh ke yah shahar chun liye : naftālī ke pahāṛī ilāqe meṅ galīl kā qādis, ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ sikam aur yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ qiryat-arbā yānī habrūn. 8daryā-e-yardan ke mashriq meṅ unhoṅ ne basar ko chun liyā jo yarīhū se kāfī dūr maidān-e-murtafā meṅ hai aur rūbin ke qabīle kī milkiyat hai. mulk-e-jiliād meṅ rāmāt jo jad ke qabīle kā hai aur basan meṅ jaulān jo manassī ke qabīle kā hai chunā gayā.

9yah shahar tamām isrāīliyoṅ aur isrāīl meṅ rahane vāle ajnabiyoṅ ke liye muqarrar kie gae. jis se bhī ġairirādī taur par koī halāk huā use in meṅ panāh lene kī ijāzat thī. in meṅ vah us vaqt tak badlā lene vāloṅ se mahfūz rahatā thā jab tak maqāmī adālat faislā nahīṅ kar detī thī.