Yashua 19

shamāūn kā ilāqā

1jab qur’ā ḍālā gayā to shamāūn ke qabīle aur us ke kuṁboṅ ko dūsrā hissā mil gayā. us kī zamīn yahūdāh ke qabīle ke ilāqe ke darmiyān thī. 2use yah shahar mil gae : bair-sabā (sabā), molādā, 3hasār-sūāl, bālā, azam, 4iltolad, batūl, hurmā, 5siqlāj, bait-markabot, hasār-sūsā, 6bait-labāot aur sārūhan. in shaharoṅ kī tādād 13 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ. 7in ke ilāvā yah chār shahar bhī shamāūn ke the : ain, rimmon, itar aur asan. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ. 8in shaharoṅ ke gird-o-navāh kī tamām ābādiyāṅ bālat-bair yānī najab ke rāmā tak un ke sāth ginī jātī thīṅ. yah thī shamāūn aur us ke kuṁboṅ kī milkiyat. 9yah jagaheṅ is liye yahūdāh ke qabīle ke ilāqe se lī gaīṅ ki yahūdāh kā ilāqā us ke liye bahut ziyādā thā. yahī vajah hai ki shamāūn kā ilāqā yahūdāh ke bīch meṅ hai.

zabūlūn kā ilāqā

10-12 jab qur’ā ḍālā gayā to zabūlūn ke qabīle aur us ke kuṁboṅ ko tīsrā hissā mil gayā. us kī junūbī sarhadd yuqniām kī nadī se shurū huī aur phir mashriq kī taraf dabāsat, mar’alā aur sārīd se ho kar kislot-tabūr ke ilāqe tak pahuṅchī. is ke bād vah muṛ kar mashriqī sarhadd ke taur par dābrat ke pās āī aur chaṛhtī chaṛhtī yafīa pahuṅchī. 13vahāṅ se vah mazīd mashriq kī taraf baṛhtī huī jāt-hifar, et-qāzīn aur rimmon se ho kar neā ke pās āī. 14zabūlūn kī shimālī aur maġribī sarhadd hannāton meṅ se guzartī guzartī vādī-e-iftāh-el par ḵẖatm huī. 15bārah shahar un ke gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet zabūlūn kī milkiyat meṅ āe jin meṅ qattāt, nahalāl, simron, idālā aur bait-laham shāmil the. 16zabūlūn ke qabīle ko yahī kuchh us ke kuṁboṅ ke mutābiq mil gayā.

ishkār kā ilāqā

17jab qur’ā ḍālā gayā to ishkār ke qabīle aur us ke kuṁboṅ ko chauthā hissā mil gayā. 18us kā ilāqā yazrael se le kar shimāl kī taraf phail gayā. yah shahar us meṅ shāmil the : kasūlot, shūnīm, 19hafāraim, shiyūn, anāḵẖarat, 20rabbīt, qisiyon, ibaz, 21raimat, ain-jannīm, ain-haddā aur bait-fassīs. 22shimāl meṅ yah sarhadd tabūr pahāṛ se shurū huī aur shaḵẖsūmā aur bait-shams se ho kar daryā-e-yardan tak utar āī. 16 shahar un ke gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet ishkār kī milkiyat meṅ āe. 23use yah pūrā ilāqā us ke kuṁboṅ ke mutābiq mil gayā.

āshar kā ilāqā

24jab qur’ā ḍālā gayā to āshar ke qabīle aur us ke kuṁboṅ ko pāṅchvāṅ hissā mil gayā. 25us ke ilāqe meṅ yah shahar shāmil the : ḵẖilqat, halī, batan, akshāf, 26alammalik, am’ād aur misāl. us kī sarhadd samundar ke sāth sāth chaltī huī karmil ke pahāṛī silsile ke dāman meṅ se guzrī aur utartī utartī saihūr-libnāt tak pahuṅchī. 27vahāṅ vah mashriq meṅ bait-dajūn kī taraf muṛ kar zabūlūn ke ilāqe tak pahuṅchī aur us kī maġribī sarhadd ke sāth chaltī chaltī shimāl meṅ vādī-e-iftāh-el tak pahuṅchī. āge baṛhtī huī vah bait-imaq aur naīel se ho kar shimāl kī taraf muṛī jahāṅ kābūl thā. 28phir vah ibrūn, rahob, hammūn aur qānā se ho kar baṛe shahar saidā tak pahuṅchī. 29is ke bād āshar kī sarhadd rāmā kī taraf muṛ kar fasīldār shahar sūr ke pās āī. vahāṅ vah hūsā kī taraf muṛī aur chaltī chaltī akzīb ke qarīb samundar par ḵẖatm huī. 3022 shahar un ke gird-o-navāh kī ābādiyoṅ samet āshar kī milkiyat meṅ āe. in meṅ ummā, afīq aur rahob shāmil the. 31āshar ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq yahī kuchh milā.

naftālī kā ilāqā

32jab qur’ā ḍālā gayā to naftālī ke qabīle aur us ke kuṁboṅ ko chhaṭā hissā mil gayā. 33-34 junūb meṅ us kī sarhadd daryā-e-yardan par laqqūm se shurū huī aur maġrib kī taraf chaltī chaltī yabniel, adāmī-naqab, ailon-zānnīm aur halaf se ho kar aznūt-tabūr tak pahuṅchī. vahāṅ se vah maġribī sarhadd kī haisiyat se huqqoq ke pās āī. naftālī kī junūbī sarhadd zabūlūn kī shimālī sarhadd aur maġrib meṅ āshar kī mashriqī sarhadd thī. daryā-e-yardan aur yahūdāh [a] yahāṅ yahūdāh kā matlab mulk-e-basan ho saktā hai jo manassī ke ilāqe meṅ thā lekin jis par yahūdāh ke qabīle ke mard yāīr ne fatah pāī thī. us kī mashriqī sarhadd thī. 35zail ke fasīldār shahar naftālī kī milkiyat meṅ āe : saddīm, sair, hammat, raqqat, kinnarat, 36adāmā, rāmā, hasūr, 37qādis, idraī, ain-hasūr, 38irūn, mijdal-el, hurīm, bait-anāt aur bait-shams. aise 19 shahar the. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ bhī us ke sāth ginī jātī thīṅ. 39naftālī ko yahī kuchh us ke kuṁboṅ ke mutābiq milā.

dān kā ilāqā

40jab qur’ā ḍālā gayā to dān ke qabīle aur us ke kuṁboṅ ko sātvāṅ hissā milā. 41us ke ilāqe meṅ yah shahar shāmil the : sur’ā, istāl, īr-shams, 42shālabbīn, ayyālon, itlā, 43ailon, timnat, aqrūn, 44iltaqih, jibbatūn, bālāt, 45yahūd, banī-baraq, jāt-rimmon, 46me-yarqūn aur raqqūn us ilāqe samet jo yāfā ke muqābil hai. 47afsos, dān kā qabīlā apne is ilāqe par qabzā karne meṅ kāmyāb na huā, is liye us ke mardoṅ ne lasham shahar par hamlā karke us par fatah pāī aur us ke bāshindoṅ ko talvār se mār ḍālā. phir vah ḵẖud vahāṅ ābād hue. us vaqt lasham shahar kā nām dān meṅ tabdīl huā. (dān un ke qabīle kā bāp thā.) 48lekin yashūa ke zamāne meṅ dān ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq mazkūrā tamām shahar aur un ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ mil gaīṅ.

yashūa ko bhī zamīn miltī hai

49pūre mulk ko taqsīm karne ke bād isrāīliyoṅ ne yashūa bin nūn ko bhī apne darmiyān kuchh maurūsī zamīn de dī. 50rabb ke hukm par unhoṅ ne use ifrāīm kā shahar timnat-sirah de diyā. yashūa ne ḵẖud is kī daraḵẖwāst kī thī. vahāṅ jā kar us ne shahar ko az sar-e-nau tāmīr kiyā aur us meṅ ābād huā.

51ġaraz yah vah tamām zamīneṅ haiṅ jo ilīazar imām, yashūa bin nūn aur qabīloṅ ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāhoṅ ne sailā meṅ mulāqāt ke ḵẖaime ke darvāze par qur’ā ḍāl kar taqsīm kī thīṅ. yūṅ taqsīm karne kā yah kām mukammal huā.

[a] yahāṅ yahūdāh kā matlab mulk-e-basan ho saktā hai jo manassī ke ilāqe meṅ thā lekin jis par yahūdāh ke qabīle ke mard yāīr ne fatah pāī thī.