Yashua 18

bāqī sāt qabīloṅ ko zamīn miltī hai

1kan’ān par ġālib āne ke bād isrāīl kī pūrī jamāat sailā shahar meṅ jamā huī. vahāṅ unhoṅ ne mulāqāt kā ḵẖaimā khaṛā kiyā.

2ab tak sāt qabīloṅ ko zamīn nahīṅ milī thī. 3yashūa ne isrāīliyoṅ ko samjhā kar kahā, “āp kitnī der tak sust raheṅge? āp kab tak us mulk par qabzā nahīṅ kareṅge jo rabb āp ke bāpdādā ke ḵẖudā ne āp ko de diyā hai? 4ab har qabīle ke tīn tīn ādmiyoṅ ko chun leṅ. unheṅ maiṅ mulk kā daurā karne ke liye bhej dūṅgā tāki vah tamām qabāilī ilāqoṅ kī faharist tayyār kareṅ. is ke bād vah mere pās vāpas ā kar 5mulk ko sāt ilāqoṅ meṅ taqsīm kareṅ. lekin dhyān rakheṅ ki junūb meṅ yahūdāh kā ilāqā aur shimāl meṅ ifrāīm aur manassī kā ilāqā hai. un kī sarhaddeṅ mat chheṛnā! 6vah ādmī likh leṅ ki sāt nae qabāilī ilāqoṅ kī sarhaddeṅ kahāṅ kahāṅ tak haiṅ aur phir in kī faharisteṅ pesh kareṅ. phir maiṅ rabb āp ke ḵẖudā ke huzūr muqaddas qur’ā ḍāl kar har ek kī zamīn muqarrar karūṅgā. 7yād rahe ki lāviyoṅ ko koī ilāqā nahīṅ milnā hai. un kā hissā yah hai ki vah rabb ke imām haiṅ. aur jad, rūbin aur manassī ke ādhe qabīle ko bhī mazīd kuchh nahīṅ milnā hai, kyūṅki unheṅ rabb ke ḵẖādim mūsā se daryā-e-yardan ke mashriq meṅ un kā hissā mil chukā hai.”

8tab vah ādmī ravānā hone ke liye tayyār hue jinheṅ mulk kā daurā karne ke liye chunā gayā thā. yashūa ne unheṅ hukm diyā, “pūre mulk meṅ se guzar kar tamām shaharoṅ kī faharist banāeṅ. jab faharist mukammal ho jāe to use mere pās le āeṅ. phir maiṅ sailā meṅ rabb ke huzūr āp ke liye qur’ā ḍāl dūṅgā.” 9ādmī chale gae aur pūre mulk meṅ se guzar kar tamām shaharoṅ kī faharist banā lī. unhoṅ ne mulk ko sāt hissoṅ meṅ taqsīm karke tamām tafsīlāt kitāb meṅ darj kīṅ aur yah kitāb sailā kī ḵẖaimāgāh meṅ yashūa ko de dī. 10phir yashūa ne rabb ke huzūr qur’ā ḍāl kar yah ilāqe bāqī sāt qabīloṅ aur un ke kuṁboṅ meṅ taqsīm kar die.

binyamīn kā ilāqā

11jab qur’ā ḍālā gayā to binyamīn ke qabīle aur us ke kuṁboṅ ko pahalā hissā mil gayā. us kī zamīn yahūdāh aur yūsuf ke qabīloṅ ke darmiyān thī. 12us kī shimālī sarhadd daryā-e-yardan se shurū huī aur yarīhū ke shimāl meṅ pahāṛī ḍhalān par chaṛh kar pahāṛī ilāqe meṅ se maġrib kī taraf guzrī. bait-āvan ke biyābān ko pahuṅchne par 13vah lūz yānī bait-el kī taraf baṛh kar shahar ke junūb meṅ pahāṛī ḍhalān par chaltī chaltī āge nikal gaī. vahāṅ se vah atārāt-addār aur us pahāṛī tak pahuṅchī jo nishebī bait-haurūn ke junūb meṅ hai. 14phir vah junūb kī taraf muṛ kar maġribī sarhadd ke taur par qiryat-bāl yānī qiryat-yārīm ke pās āī jo yahūdāh ke qabīle kī milkiyat thī. 15binyamīn kī junūbī sarhadd qiryat-yārīm ke maġribī kināre se shurū ho kar niftūh chashmā tak pahuṅchī. 16phir vah us pahāṛ ke dāman par utar āī jo vādī-e-bin-hinnūm ke maġrib meṅ aur maidān-e-rafāīm ke shimāl meṅ vāqe hai. is ke bād sarhadd yabūsiyoṅ ke shahar ke junūb meṅ se guzrī aur yūṅ vādī-e-hinnūm ko pār karke ain-rājil ke pās āī. 17phir vah shimāl kī taraf muṛ kar ain-shams ke pās se guzrī aur darrā-e-adummīm ke muqābil shahar jalīlot tak pahuṅch kar rūbin ke beṭe bohan ke patthar ke pās utar āī. 18vahāṅ se vah us ḍhalān ke shimālī ruḵẖ par se guzrī jo vādī-e-yardan ke maġribī kināre par hai. phir vah vādī meṅ utar kar 19bait-hujlāh kī shimālī pahāṛī ḍhalān se guzrī aur bahīrā-e-murdār ke shimālī kināre par ḵẖatm huī, vahāṅ jahāṅ daryā-e-yardan us meṅ bahatā hai. yah thī binyamīn kī junūbī sarhadd. 20us kī mashriqī sarhadd daryā-e-yardan thī. yahī vah ilāqā thā jo binyamīn ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq diyā gayā.

21zail ke shahar is ilāqe meṅ shāmil the : yarīhū, bait-hujlāh, imaq-qasīs, 22bait-arābā, samraim, bait-el, 23avvīm, fārā, ufrā, 24kafar-ul-ammonī, ufnī aur jibā. yah kul 12 shahar the. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ. 25in ke ilāvā yah shahar bhī the : jibaūn, rāmā, bairot, 26misfāh, kafīrā, mauzā, 27raqam, irfael, tarālā, 28zilā, alif, yabūsiyoṅ kā shahar yarūshalam, jibiā aur qiryat-yārīm. in shaharoṅ kī tādād 14 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ. yah tamām shahar binyamīn aur us ke kuṁboṅ kī milkiyat the.