Yashua 16

ifrāīm aur manassī kī junūbī sarhadd

1qur’ā ḍālne se yūsuf kī aulād kā ilāqā muqarrar kiyā gayā. us kī sarhadd yarīhū ke qarīb daryā-e-yardan se shurū huī, shahar ke mashriq meṅ chashmoṅ ke pās se guzrī aur registān meṅ se chaltī chaltī bait-el ke pahāṛī ilāqe tak pahuṅchī. 2lūz yānī bait-el se āge nikal kar vah arkiyoṅ ke ilāqe meṅ atārāt pahuṅchī. 3vahāṅ se vah maġrib kī taraf utartī utartī yaflītiyoṅ ke ilāqe meṅ dāḵẖil huī jahāṅ vah nishebī bait-haurūn meṅ se guzar kar jazar ke pīchhe samundar par ḵẖatm huī. 4yah us ilāqe kī junūbī sarhadd thī jo yūsuf kī aulād ifrāīm aur manassī ke qabīloṅ ko virāsat meṅ diyā gayā.

ifrāīm kā ilāqā

5ifrāīm ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq yah ilāqā mil gayā : us kī junūbī sarhadd atārāt-addār aur bālāī bait-haurūn se ho kar 6-8 samundar par ḵẖatm huī. us kī shimālī sarhadd maġrib meṅ samundar se shurū huī aur qānā nadī ke sāth chaltī chaltī taffūah tak pahuṅchī. vahāṅ se vah shimāl kī taraf muṛī aur mikmatāh tak pahuṅch kar dubārā mashriq kī taraf chalne lagī. phir vah tānat-sailā se ho kar yānūh pahuṅchī. mashriqī sarhadd shimāl meṅ yānūh se shurū huī aur atārāt se ho kar daryā-e-yardan ke maġribī kināre tak utrī aur phir kināre ke sāth junūb kī taraf chaltī chaltī nārā aur is ke bād yarīhū pahuṅchī. vahāṅ vah daryā-e-yardan par ḵẖatm huī. yahī ifrāīm aur us ke kuṁboṅ kī sarhaddeṅ thīṅ.

9is ke ilāvā kuchh shahar aur un ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ ifrāīm ke liye muqarrar kī gaīṅ jo manassī ke ilāqe meṅ thīṅ. 10ifrāīm ke mardoṅ ne jazar meṅ ābād kan’āniyoṅ ko na nikālā. is liye un kī aulād āj tak vahāṅ rahatī hai, alabattā use begār meṅ kām karnā paṛtā hai.