Yashua 15

yahūdāh kī sarhaddeṅ

1jab isrāīliyoṅ ne qur’ā ḍāl kar mulk ko taqsīm kiyā to yahūdāh ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq kan’ān kā junūbī hissā mil gayā. is ilāqe kī sarhadd mulk-e-adom aur intihāī junūb meṅ sīn kā registān thā.

2yahūdāh kī junūbī sarhadd bahīrā-e-murdār ke junūbī sire se shurū ho kar 3junūb kī taraf chaltī chaltī darrā-e-aqrabbīm pahuṅch gaī. vahāṅ se vah sīn kī taraf jārī huī aur qādis-barnīa ke junūb meṅ se āge nikal kar hasron tak pahuṅch gaī. hasron se vah addār kī taraf chaṛh gaī aur phir qarqā kī taraf muṛī. 4is ke bād vah azmūn se ho kar misr kī sarhadd par vāqe vādī-e-misr tak pahuṅch gaī jis ke sāth sāth chaltī huī vah samundar par ḵẖatm huī. yah yahūdāh kī junūbī sarhadd thī.

5mashriq meṅ us kī sarhadd bahīrā-e-murdār ke sāth sāth chal kar vahāṅ ḵẖatm huī jahāṅ daryā-e-yardan bahīrā-e-murdār meṅ bahatā hai.

yahūdāh kī shimālī sarhadd yahīṅ se shurū ho kar 6bait-hujlāh kī taraf chaṛh gaī, phir bait-arābā ke shimāl meṅ se guzar kar rūbin ke beṭe bohan ke patthar tak pahuṅch gaī. 7vahāṅ se sarhadd vādī-e-akūr meṅ utar gaī aur phir dubārā dabīr kī taraf chaṛh gaī. dabīr se vah shimāl yānī jiljāl kī taraf jo darrā-e-adummīm ke muqābil hai muṛ gaī (yah darrā vādī ke junūb meṅ hai). yūṅ vah chaltī chaltī shimālī sarhadd ain-shams aur ain-rājil tak pahuṅch gaī. 8vahāṅ se vah vādī-e-bin-hinnūm meṅ se guzartī huī yabūsiyoṅ ke shahar yarūshalam ke junūb meṅ se āge nikal gaī aur phir us pahāṛ par chaṛh gaī jo vādī-e-bin-hinnūm ke maġrib aur maidān-e-rafāīm ke shimālī kināre par hai. 9vahāṅ sarhadd muṛ kar chashmā banām niftūh kī taraf baṛh gaī aur phir pahāṛī ilāqe ifron ke shaharoṅ ke pās se guzar kar bālā yānī qiryat-yārīm tak pahuṅch gaī. 10bālā se muṛ kar yahūdāh kī yah sarhadd maġrib meṅ saīr ke pahāṛī ilāqe kī taraf baṛh gaī aur yārīm pahāṛ yānī kaslūn ke shimālī dāman ke sāth sāth chal kar bait-shams kī taraf utar kar timnat pahuṅch gaī. 11vahāṅ se vah aqrūn ke shimāl meṅ se guzar gaī aur phir muṛ kar sikkarūn aur bālā pahāṛ kī taraf baṛh kar yabniel pahuṅch gaī. vahāṅ yah shimālī sarhadd samundar par ḵẖatm huī.

12samundar mulk-e-yahūdāh kī maġribī sarhadd thī. yahī vah ilāqā thā jo yahūdāh ke qabīle ko us ke ḵẖāndānoṅ ke mutābiq mil gayā.

habrūn aur dabīr par fatah

13rabb ke hukm ke mutābiq yashūa ne kālib bin yafunnā ko us kā hissā yahūdāh meṅ de diyā. vahāṅ use habrūn shahar mil gayā. us vaqt us kā nām qiryat-arbā thā (arbā anāq kā bāp thā). 14habrūn meṅ tīn anāqī banām sīsī, aḵẖīmān aur talmī apne gharānoṅ samet rahate the. kālib ne tīnoṅ ko habrūn se nikāl diyā. 15phir vah āge dabīr ke bāshindoṅ se laṛne chalā gayā. dabīr kā purānā nām qiryat-sifar thā. 16kālib ne kahā, “jo qiryat-sifar par fatah pā kar qabzā karegā us ke sāth maiṅ apnī beṭī aksā kā rishtā bāṅdhūṅgā.” 17kālib ke bhāī ġutanīel bin qanaz ne shahar par qabzā kar liyā. chunāṅche kālib ne us ke sāth apnī beṭī aksā kī shādī kar dī.

18jab aksā ġutanīel ke hāṅ jā rahī thī to us ne use ubhārā ki vah kālib se koī khet pāne kī daraḵẖwāst kare. achānak vah gadhe se utar gaī. kālib ne pūchhā, “kyā bāt hai?” 19aksā ne javāb diyā, “jahez ke liye mujhe ek chīz se navāzeṅ. āp ne mujhe dasht-e-najab meṅ zamīn de dī hai. ab mujhe chashme bhī de dījie.” chunāṅche kālib ne use apnī milkiyat meṅ se ūpar aur nīche vāle chashme bhī de die.

yahūdāh ke qabīle ke shahar

20jo maurūsī zamīn yahūdāh ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq milī 21us meṅ zail ke shahar shāmil the. junūb meṅ mulk-e-adom kī sarhadd kī taraf yah shahar the : qabziel, idar, yajūr, 22qīnā, dīmūnā, ad’adā, 23qādis, hasūr, itnān, 24zīf, talam, bālot, 25hasūr-hadattā, qariyot-hasron yānī hasūr, 26amām, samā, molādā, 27hasār-jaddā, hishmon, bait-falat, 28hasār-sūāl, bair-sabā, bizyotiyāh, 29bālā, iyyīm, azam, 30iltolad, kasīl, hurmā, 31siqlāj, madamannā, sansannā, 32labāot, silhīm, ain aur rimmon. in shaharoṅ kī tādād 29 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

33maġrib ke nishebī pahāṛī ilāqe meṅ yah shahar the : istāl, sur’ā, asnā, 34zanūh, ain-jannīm, taffūah, ainām, 35yarmūt, adullām, sokā, azīqā, 36shāraim, aditaim aur jadīrā yānī jadīrataim. in shaharoṅ kī tādād 14 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

37in ke ilāvā yah shahar bhī the : zanān, hadāshā, mijdal-jad, 38dil’ān, misfāh, yuqtiel, 39lakīs, busqat, ijlūn, 40kabbūn, lahamās, kitlīs, 41jadīrot, bait-dajūn, nāmā aur maqqedā. in shaharoṅ kī tādād 16 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

42is ilāqe meṅ yah shahar bhī the : libnā, itar, asan, 43yiftāh, asnā, nasībab, 44qaīlā, akzīb aur maresā. in shaharoṅ kī tādād 9 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

45in ke ilāvā yah shahar bhī the : aqrūn us ke gird-o-navāh kī ābādiyoṅ aur dīhāt samet, 46phir aqrūn se le kar maġrib kī taraf ashdūd tak tamām qasbe aur ābādiyāṅ. 47ashdūd ḵẖud bhī us ke gird-o-navāh kī ābādiyoṅ aur dīhāt samet is meṅ shāmil thā aur isī tarah ġazzā us ke gird-o-navāh kī ābādiyoṅ aur dīhāt samet yānī tamām ābādiyāṅ misr kī sarhadd par vāqe vādī-e-misr aur samundar ke sāhil tak.

48pahāṛī ilāqe ke yah shahar yahūdāh ke qabīle ke the : samīr, yattīr, sokā, 49dannā, qiryat-sannā yānī dabīr, 50anāb, istamoh, anīm, 51jushan, haulūn aur jiloh. in shaharoṅ kī tādād 11 thī, aur un ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ bhī un ke sāth ginī jātī thīṅ.

52in ke ilāvā yah shahar bhī the : arāb, dūmā, ish’ān, 53yanūm, bait-taffūah, afīqā, 54humtā, qiryat-arbā yānī habrūn aur sīūr. in shaharoṅ kī tādād 9 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us meṅ ginī jātī thīṅ.

55in ke ilāvā yah shahar bhī the : maūn, karmil, zīf, yūttā, 56yazrael, yuqdiām, zanūh, 57qain, jibiā aur timnat. in shaharoṅ kī tādād 10 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

58in ke ilāvā yah shahar bhī the : halhūl, bait-sūr, jadūr, 59mārāt, bait-anot aur iltaqon. in shaharoṅ kī tādād 6 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

60phir qiryat-bāl yānī qiryat-yārīm aur rabbā bhī yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ shāmil the. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

61registān meṅ yah shahar yahūdāh ke qabīle ke the : bait-arābā, middīn, sakākā, 62nibsān, namak kā shahar aur ain-jadī. in shaharoṅ kī tādād 6 thī. har shahar ke gird-o-navāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.

63lekin yahūdāh kā qabīlā yabūsiyoṅ ko yarūshalam se nikālne meṅ nākām rahā. is liye un kī aulād āj tak yahūdāh ke qabīle ke darmiyān rahatī hai.