Yashua 13

kan’ān ke bāqī ilāqoṅ par qabzā karne kā hukm

1jab yashūa būṛhā thā to rabb ne us se kahā, “tū bahut būṛhā ho chukā hai, lekin abhī kāfī kuchh bāqī rah gayā hai jis par qabzā karne kī zarūrat hai. 2-3 is meṅ filistiyoṅ ke tamām ilāqe un ke shāhī shaharoṅ ġazzā, ashdūd, asqalūn, jāt aur aqrūn samet shāmil haiṅ aur isī tarah jasūr kā ilāqā jis kī junūbī sarhadd vādī-e-saihūr hai jo misr ke mashriq meṅ hai aur jis kī shimālī sarhadd aqrūn hai. use bhī mulk-e-kan’ān kā hissā qarār diyā jātā hai. avviyoṅ kā ilāqā bhī 4jo junūb meṅ hai ab tak isrāīl ke qabze meṅ nahīṅ āyā. yahī bāt shimāl par bhī sādiq ātī hai. saidāniyoṅ ke shahar m’ārā se le kar afīq shahar aur amoriyoṅ kī sarhadd tak sab kuchh ab tak isrāīl kī hukūmat se bāhar hai. 5is ke ilāvā jabliyoṅ kā mulk aur mashriq meṅ pūrā lubnān harmūn pahāṛ ke dāman meṅ bāl-jad se le kar labo-hamāt tak bāqī rah gayā hai. 6is meṅ un saidāniyoṅ kā tamām ilāqā bhī shāmil hai jo lubnān ke pahāṛoṅ aur misrafāt-māim ke darmiyān ke pahāṛī ilāqe meṅ ābād haiṅ. isrāīliyoṅ ke baṛhte baṛhte maiṅ ḵẖud hī in logoṅ ko un ke sāmne se nikāl dūṅgā. lekin lāzim hai ki tū qur’ā ḍāl kar yah pūrā mulk mere hukm ke mutābiq isrāīliyoṅ meṅ taqsīm kare. 7use nau bāqī qabīloṅ aur manassī ke ādhe qabīle ko virāsat meṅ de de.”

yardan ke mashriq meṅ mulk kī taqsīm

8rabb kā ḵẖādim mūsā rūbin, jad aur manassī ke bāqī ādhe qabīle ko daryā-e-yardan kā mashriqī ilāqā de chukā thā. 9-10 yūṅ hasbon ke amorī bādshāh sīhon ke tamām shahar un ke qabze meṅ ā gae the yānī junūbī vādī-e-arnon ke kināre par shahar aroīr aur usī vādī ke bīch ke shahar se le kar shimāl meṅ ammoniyoṅ kī sarhadd tak. dībon aur mīdbā ke darmiyān kā maidān-e-murtafā bhī is meṅ shāmil thā 11aur isī tarah jiliād, jasūriyoṅ aur mākātiyoṅ kā ilāqā, harmūn kā pahāṛī ilāqā aur salkā shahar tak basan kā sārā ilāqā bhī.

12pahale yah sārā ilāqā basan ke bādshāh oj ke qabze meṅ thā jis kī hukūmat ke markaz astārāt aur idraī the. rafāiyoṅ ke deo qabīle se sirf oj bāqī rah gayā thā. mūsā kī rāhanumāī ke tahat isrāīliyoṅ ne us ilāqe par fatah pā kar tamām bāshindoṅ ko nikāl diyā thā. 13sirf jasūrī aur mākātī bāqī rah gae the, aur yah āj tak isrāīliyoṅ ke darmiyān rahate haiṅ.

14sirf lāvī ke qabīle ko koī zamīn na milī, kyūṅki un kā maurūsī hissā jalne vālī vah qurbāniyāṅ haiṅ jo rabb isrāīl ke ḵẖudā ke liye chaṛhāī jātī haiṅ. rabb ne yahī kuchh mūsā ko batāyā thā.

rūbin kā qabāilī ilāqā

15mūsā ne rūbin ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq zail kā ilāqā diyā. 16vādī-e-arnon ke kināre par shahar aroīr aur usī vādī ke bīch ke shahar se le kar mīdbā 17aur hasbon tak. vahāṅ ke maidān-e-murtafā par vāqe tamām shahar bhī rūbin ke sapurd kie gae yānī dībon, bāmāt-bāl, bait-bāl-maūn, 18yahaz, qadīmāt, mifāt, 19qiryatāim, sibmāh, zirat-us-sahar jo bahīrā-e-murdār ke mashriq meṅ vāqe pahāṛī ilāqe meṅ hai, 20bait-faġūr, pisgā ke pahāṛī silsile par maujūd ābādiyāṅ aur bait-yasīmot. 21maidān-e-murtafā ke tamām shahar rūbin ke qabīle ko die gae yānī amoriyoṅ ke bādshāh sīhon kī pūrī bādshāhī jis kā dār-ul-hakūmat hasbon shahar thā. mūsā ne sīhon ko mār ḍālā thā aur us ke sāth pāṅch midiyānī raīsoṅ ko bhī jinheṅ sīhon ne apne mulk meṅ muqarrar kiyā thā. in raīsoṅ ke nām ivī, raqam, sūr, hūr aur rabā the. 22jin logoṅ ko us vaqt mārā gayā un meṅ se bal’ām bin baor bhī thā jo ġaibdān thā. 23rūbin ke qabīle kī maġribī sarhadd daryā-e-yardan thī. yahī shahar aur ābādiyāṅ rūbin ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq dī gaīṅ, aur vah us kī mīrās ṭhaharīṅ.

jad ke qabīle kā ilāqā

24mūsā ne jad ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq zail kā ilāqā diyā. 25yāzer kā ilāqā, jiliād ke tamām shahar, ammoniyoṅ kā ādhā hissā rabbā ke qarīb shahar aroīr tak 26-27 aur hasbon ke bādshāh sīhon kī bādshāhī kā bāqī shimālī hissā yānī hasbon, rāmat-ul-misfāh aur batūnīm ke darmiyān kā ilāqā aur mahanāim aur dabīr ke darmiyān kā ilāqā. is ke ilāvā jad ko vādī-e-yardan kā vah mashriqī hissā bhī mil gayā jo bait-hāram, bait-nimrā, sukkāt aur safon par mushtamil thā. yūṅ us kī shimālī sarhadd kinnarat yānī galīl kī jhīl kā junūbī kinārā thā. 28yahī shahar aur ābādiyāṅ jad ke qabīle ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq dī gaīṅ, aur vah us kī mīrās ṭhaharīṅ.

manassī ke mashriqī hisse kā ilāqā

29jo ilāqā mūsā ne manassī ke ādhe hisse ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq diyā thā 30vah mahanāim se le kar shimāl meṅ oj bādshāh kī tamām bādshāhī par mushtamil thā. us meṅ mulk-e-basan aur vah 60 ābādiyāṅ shāmil thīṅ jin par yāīr ne fatah pāī thī. 31jiliād kā ādhā hissā oj kī hukūmat ke do marākiz astārāt aur idraī samet makīr bin manassī kī aulād ko us ke kuṁboṅ ke mutābiq diyā gayā. 32mūsā ne in maurūsī zamīnoṅ kī taqsīm us vaqt kī thī jab vah daryā-e-yardan ke mashriq meṅ moāb ke maidānī ilāqe meṅ yarīhū shahar ke muqābil thā.

33lekin lāvī ko mūsā se koī maurūsī zamīn nahīṅ milī thī, kyūṅki rabb isrāīl kā ḵẖudā un kā maurūsī hissā hai jis tarah us ne un se vādā kiyā thā.