Yashua 12

mūsā kī futūhāt kā ḵẖulāsā

1darj-e-zail daryā-e-yardan ke mashriq meṅ un bādshāhoṅ kī faharist hai jinheṅ isrāīliyoṅ ne shikast dī thī aur jin ke ilāqe par unhoṅ ne qabzā kiyā thā. yah ilāqā junūb meṅ vādī-e-arnon se le kar shimāl meṅ harmūn pahāṛ tak thā, aur us meṅ vādī-e-yardan kā pūrā mashriqī hissā shāmil thā.

2pahale kā nām sīhon thā. vah amoriyoṅ kā bādshāh thā aur us kā dār-ul-hakūmat hasbon thā. aroīr shahar yānī vādī-e-arnon ke darmiyān se le kar ammoniyoṅ kī sarhadd daryā-e-yabboq tak sārā ilāqā us kī girift meṅ thā. is meṅ jiliād kā ādhā hissā bhī shāmil thā. 3is ke ilāvā sīhon kā qabzā daryā-e-yardan ke pūre mashriqī kināre par kinnarat yānī galīl kī jhīl se le kar bahīrā-e-murdār ke pās shahar bait-yasīmot tak balki us ke junūb meṅ pahāṛī silsile pisgā ke dāman tak thā.

4dūsrā bādshāh jis ne shikast khāī thī basan kā bādshāh oj thā. vah rafāiyoṅ ke deo qabīle meṅ se bāqī rah gayā thā, aur us kī hukūmat ke markaz astārāt aur idraī the. 5shimāl meṅ us kī saltanat kī sarhadd harmūn pahāṛ thī aur mashriq meṅ salkā shahar. basan kā tamām ilāqā jasūriyoṅ aur mākātiyoṅ kī sarhadd tak us ke hāth meṅ thā aur isī tarah jiliād kā shimālī hissā bādshāh sīhon kī sarhadd tak.

6isrāīl ne rabb ke ḵẖādim mūsā kī rāhanumāī meṅ in do bādshāhoṅ par fatah pāī thī, aur mūsā ne yah ilāqā rūbin, jad aur manassī ke ādhe qabīle ke sapurd kiyā thā.

yashūa kī futūhāt kā ḵẖulāsā

7darj-e-zail daryā-e-yardan ke maġrib ke un bādshāhoṅ kī faharist hai jinheṅ isrāīliyoṅ ne yashūa kī rāhanumāī meṅ shikast dī thī aur jin kī saltanat vādī-e-lubnān ke shahar bāl-jad se le kar saīr kī taraf baṛhne vāle pahāṛ ḵẖalaq tak thī. bād meṅ yashūa ne yah sārā mulk isrāīl ke qabīloṅ meṅ taqsīm karke unheṅ mīrās meṅ de diyā 8yānī pahāṛī ilāqā, maġrib kā nishebī pahāṛī ilāqā, yardan kī vādī, us ke maġrib meṅ vāqe pahāṛī ḍhalāneṅ, yahūdāh kā registān aur dasht-e-najab. pahale yah sab kuchh hittiyoṅ, amoriyoṅ, kan’āniyoṅ, farizziyoṅ, hivviyoṅ aur yabūsiyoṅ ke hāth meṅ thā. zail ke har shahar kā apnā bādshāh thā, aur har ek ne shikast khāī : 9yarīhū, aī nazd bait-el, 10yarūshalam, habrūn, 11yarmūt, lakīs, 12ijlūn, jazar, 13dabīr, jidar, 14hurmā, arād, 15libnā, adullām, 16maqqedā, bait-el, 17taffūah, hifar, 18afīq, lashsharūn, 19madūn, hasūr, 20simron-maron, akshāf, 21tānak, majiddo, 22qādis, karmil kā yuqniām, 23nāfat-dor meṅ vāqe dor, jiljāl kā goim 24aur tirzā. bādshāhoṅ kī kul tādād 31 thī.