Yūhannā 21

īsā jhīl par shāgirdoṅ par zāhir hotā hai

1is ke bād īsā ek bār phir apne shāgirdoṅ par zāhir huā jab vah tibriyās yānī galīl kī jhīl par the. yah yūṅ huā. 2kuchh shāgird shamāūn patras ke sāth jamā the, tomā jo juṛvāṅ kahalātā thā, natan-el jo galīl ke qānā se thā, zabdī ke do beṭe aur mazīd do shāgird.

3shamāūn patras ne kahā, “maiṅ machhlī pakaṛne jā rahā hūṅ.”

dūsroṅ ne kahā, “ham bhī sāth jāeṅge.” chunāṅche vah nikal kar kashtī par savār hue. lekin us pūrī rāt ek bhī machhlī hāth na āī. 4subah-savere īsā jhīl ke kināre par ā khaṛā huā. lekin shāgirdoṅ ko mālūm nahīṅ thā ki vah īsā hī hai. 5us ne un se pūchhā, “baccho, kyā tumheṅ khāne ke liye kuchh mil gayā?”

unhoṅ ne javāb diyā, “nahīṅ.”

6us ne kahā, “apnā jāl kashtī ke dāeṅ hāth ḍālo, phir tum ko kuchh milegā.” unhoṅ ne aisā kiyā to machhliyoṅ kī itnī baṛī tādād thī ki vah jāl kashtī tak na lā sake.

7is par ḵẖudāvand ke piyāre shāgird ne patras se kahā, “yah to ḵẖudāvand hai.” yah sunte hī ki ḵẖudāvand hai shamāūn patras apnī chādar oṛh kar pānī meṅ kūd paṛā (us ne chādar ko kām karne ke liye utār liyā thā.) 8dūsre shāgird kashtī par savār us ke pīchhe āe. vah kināre se ziyādā dūr nahīṅ the, taqrīban sau mīṭar ke fāsile par the. is liye vah machhliyoṅ se bhare jāl ko pānī meṅ khaiṅch khaiṅch kar ḵẖushkī tak lāe. 9jab vah kashtī se utre to dekhā ki lakṛī ke koiloṅ kī āg par machhliyāṅ bhunī jā rahī haiṅ aur sāth roṭī bhī hai. 10īsā ne un se kahā, “un machhliyoṅ meṅ se kuchh le āo jo tum ne abhī pakṛī haiṅ.”

11shamāūn patras kashtī par gayā aur jāl ko ḵẖushkī par ghasīṭ lāyā. yah jāl 153 baṛī machhliyoṅ se bharā huā thā, to bhī vah na phaṭā. 12īsā ne un se kahā, “āo, nāshtā kar lo.” kisī bhī shāgird ne savāl karne kī jur’at na kī ki “āp kaun haiṅ?” kyūṅki vah to jānte the ki yah ḵẖudāvand hī hai. 13phir īsā āyā aur roṭī le kar unheṅ dī aur isī tarah machhlī bhī unheṅ khilāī.

14īsā ke jī uṭhne ke bād yah tīsrī bār thī ki vah apne shāgirdoṅ par zāhir huā.

īsā kā patras se savāl

15nāshte ke bād īsā shamāūn patras se muḵẖātib huā, “yūhannā ke beṭe shamāūn, kyā tū in kī nisbat mujh se ziyādā muhabbat kartā hai?”

us ne javāb diyā, “jī ḵẖudāvand, āp to jānte haiṅ ki maiṅ āp ko piyār kartā hūṅ.”

īsā bolā, “phir mere leloṅ ko charā.” 16tab īsā ne ek aur martabā pūchhā, “shamāūn yūhannā ke beṭe, kyā tū mujh se muhabbat kartā hai?”

us ne javāb diyā, “jī ḵẖudāvand, āp to jānte haiṅ ki maiṅ āp ko piyār kartā hūṅ.”

īsā bolā, “phir merī bheṛoṅ kī gallābānī kar.” 17tīsrī bār īsā ne us se pūchhā, “shamāūn yūhannā ke beṭe, kyā tū mujhe piyār kartā hai?”

tīsrī dafā yah savāl sunne se patras ko baṛā dukh huā. us ne kahā, “ḵẖudāvand, āp ko sab kuchh mālūm hai. āp to jānte haiṅ ki maiṅ āp ko piyār kartā hūṅ.”

īsā ne us se kahā, “merī bheṛoṅ ko charā.

18maiṅ tujhe sacch batātā hūṅ ki jab tū javān thā to tū ḵẖud apnī kamar bāṅdh kar jahāṅ jī chāhatā ghūmtā phirtā thā. lekin jab tū būṛhā hogā to tū apne hāthoṅ ko āge baṛhāegā aur koī aur terī kamar bāṅdh kar tujhe le jāegā jahāṅ terā dil nahīṅ karegā.” 19(īsā kī yah bāt is taraf ishārā thā ki patras kis qism kī maut se allāh ko jalāl degā.) phir us ne use batāyā, “mere pīchhe chal.”

īsā aur dūsrā shāgird

20patras ne muṛ kar dekhā ki jo shāgird īsā ko piyārā thā vah un ke pīchhe chal rahā hai. yah vahī shāgird thā jis ne shām ke khāne ke daurān īsā kī taraf sar jhukā kar pūchhā thā, “ḵẖudāvand, kaun āp ko dushman ke havāle karegā?” 21ab use dekh kar patras ne savāl kiyā, “ḵẖudāvand, is ke sāth kyā hogā?”

22īsā ne javāb diyā, “agar maiṅ chāhūṅ ki yah mere vāpas āne tak zindā rahe to tujhe kyā? bas tū mere pīchhe chaltā rah.”

23natīje meṅ bhāiyoṅ meṅ yah ḵẖayāl phail gayā ki yah shāgird nahīṅ maregā. lekin īsā ne yah bāt nahīṅ kī thī. us ne sirf yah kahā thā, “agar maiṅ chāhūṅ ki yah mere vāpas āne tak zindā rahe to tujhe kyā?”

24yah vah shāgird hai jis ne in bātoṅ kī gavāhī de kar inheṅ qalamband kar diyā hai. aur ham jānte haiṅ ki us kī gavāhī sacchī hai.

ḵẖulāsā

25īsā ne is ke ilāvā bhī bahut kuchh kiyā. agar us kā har kām qalamband kiyā jātā to mere ḵẖayāl meṅ pūrī duniyā meṅ yah kitābeṅ rakhne kī gunjāish na hotī.