Yarmiyāh 8

1rabb farmātā hai, “us vaqt dushman qabroṅ ko khol kar yahūdāh ke bādshāhoṅ, afsaroṅ, imāmoṅ, nabiyoṅ aur yarūshalam ke ām bāshindoṅ kī haḍḍiyoṅ ko nikālegā 2aur zamīn par bikher degā. vahāṅ vah un ke sāmne paṛī raheṅgī jo unheṅ piyāre the yānī sūraj, chāṅd aur sitāroṅ ke tamām lashkar ke sāmne. kyūṅki vah un hī kī ḵẖidmat karte, un hī ke pīchhe chalte, un hī ke tālib rahate, aur un hī ko sijdā karte the. un kī haḍḍiyāṅ dubārā na ikaṭṭhī kī jāeṅgī, na dafan kī jāeṅgī balki khet meṅ gobar kī tarah bikhrī paṛī raheṅgī. 3aur jahāṅ bhī maiṅ is sharīr qaum ke bache huoṅ ko muntashir karūṅgā vahāṅ vah sab kaheṅge ki kāsh ham bhī zindā na raheṅ balki mar jāeṅ.” yah rabb-ul-afwāj kā farmān hai.

qaum tabāhakun rāh se haṭne ke liye tayyār nahīṅ

4“unheṅ batā, rabb farmātā hai ki jab koī gir jātā hai to kyā dubārā uṭhne kī koshish nahīṅ kartā? zarūr. aur jab koī sahīh rāste se dūr ho jātā hai to kyā vah dubārā vāpas ā jāne kī koshish nahīṅ kartā? beshak. 5to phir yarūshalam ke yah log sahīh rāh se bār bār kyūṅ bhaṭak jāte haiṅ? yah fareb ke sāth lipṭe rahate aur vāpas āne se inkār hī karte haiṅ. 6maiṅ ne dhyān de kar dekhā hai ki yah jhūṭ hī bolte haiṅ. koī bhī pachhtā kar nahīṅ kahatā, ‘yah kaisā ġalat kām hai jo maiṅ ne kiyā!’ jis tarah jaṅg meṅ ghoṛe dushman par ṭūṭ paṛte haiṅ usī tarah har ek sīdhā apnī ġalat rāh par dauṛtā rahatā hai. 7fizā meṅ uṛne vāle laqlaq par ġaur karo jise āne jāne ke muqarrarā auqāt ḵẖūb mālūm hote haiṅ. fāḵẖtā, abābīl aur bulbul par bhī dhyān do jo sardiyoṅ ke mausam meṅ kahīṅ aur hote haiṅ, garmiyoṅ ke mausam meṅ kahīṅ aur. vah muqarrarā auqāt se kabhī nahīṅ haṭte. lekin afsos, merī qaum rabb kī sharīat nahīṅ jāntī.

8tum kis tarah kah sakte ho, ‘ham dānishmand haiṅ, kyūṅki hamāre pās rabb kī sharīat hai’? haqīqat meṅ qātiboṅ ke farebdih qalam ne ise toṛ-maroṛ kar bayān kiyā hai. 9suno, dānishmandoṅ kī rusvāī ho jāegī, vah dahshatzadā ho kar pakṛe jāeṅge. dekho, rabb kā kalām radd karne ke bād un kī apnī hikmat kahāṅ rahī?

10is liye maiṅ un kī bīviyoṅ ko pardesiyoṅ ke havāle kar dūṅgā aur un ke khetoṅ ko aise logoṅ ke sapurd jo unheṅ nikāl deṅge. kyūṅki chhoṭe se le kar baṛe tak sab ke sab nājāiz nafā ke pīchhe paṛe haiṅ, nabiyoṅ se le kar imāmoṅ tak sab dhokebāz haiṅ. 11vah merī qaum ke zaḵẖm par ārizī marham-paṭṭī lagā kar kahate haiṅ, ‘ab sab kuchh ṭhīk ho gayā hai, ab salāmatī kā daur ā gayā hai’ hālāṅki salāmatī hai hī nahīṅ.

12go aisā ghinaunā ravayyā un ke liye sharm kā bāis honā chāhie, lekin vah sharm nahīṅ karte balki sarāsar besharm haiṅ. is liye jab sab kuchh gir jāegā to yah log bhī gir jāeṅge. jab maiṅ in par sazā nāzil karūṅgā to yah ṭhokar khā kar ḵẖāk meṅ mil jāeṅge.” yah rabb kā farmān hai.

13rabb farmātā hai, “maiṅ un kī pūrī fasal chhīn lūṅgā. aṅgūr kī bel par ek dānā bhī nahīṅ rahegā, anjīr ke tamām daraḵẖt phal se maharūm ho jāeṅge balki tamām patte bhī jhaṛ jāeṅge. jo kuchh bhī maiṅ ne unheṅ atā kiyā thā vah un se chhīn liyā jāegā.

14tab tum kahoge, ‘ham yahāṅ kyūṅ baiṭhe raheṅ? āo, ham qil’āband shaharoṅ meṅ panāh le kar vahīṅ halāk ho jāeṅ. ham ne rabb apne ḵẖudā kā gunāh kiyā hai, aur ab ham is kā natījā bhugat rahe haiṅ. kyūṅki usī ne hameṅ halākat ke havāle karke hameṅ zaharīlā pānī pilā diyā hai. 15ham salāmatī ke intizār meṅ rahe, lekin hālāt ṭhīk na hue. ham shifā pāne kī ummīd rakhte the, lekin is ke bajāy ham par dahshat chhā gaī. 16suno! dushman ke ghoṛe nathne phulā rahe haiṅ. dān se un kā shor ham tak pahuṅch rahā hai. un ke hinahināne se pūrā mulk tharathrā rahā hai, kyūṅki āte vaqt yah pūre mulk ko us ke shaharoṅ aur bāshindoṅ samet haṛap kar leṅge’.”

apnī qaum par yaramiyāh kā nohā

17rabb farmātā hai, “maiṅ tumhāre ḵẖilāf afaī bhej dūṅgā, aise zaharīle sāṁp jin ke ḵẖilāf har jādūmaṅtr beasar rahegā. yah tumheṅ kāṭeṅge.” 18lāilāj ġam mujh par hāvī ho gayā, merā dil niḍhāl ho gayā hai. 19suno! merī qaum dūrdarāz mulk se chīḵẖ chīḵẖ kar madad ke liye āvāz de rahī hai. log pūchhte haiṅ, “kyā rabb siyyūn meṅ nahīṅ hai, kyā yarūshalam kā bādshāh ab se vahāṅ sukūnat nahīṅ kartā?” “suno, unhoṅ ne apne mujassamoṅ aur bekār ajnabī butoṅ kī pūjā karke mujhe kyūṅ taish dilāyā?”

20log āheṅ bhar bhar kar kahate haiṅ, “fasal kaṭ gaī hai, phal chunā gayā hai, lekin ab tak hameṅ najāt hāsil nahīṅ huī.”

21merī qaum kī mukammal tabāhī dekh kar merā dil ṭūṭ gayā hai. maiṅ mātam kar rahā hūṅ, kyūṅki us kī hālat itnī burī hai ki mere roṅgṭe khaṛe ho gae haiṅ. 22kyā jiliād meṅ marham nahīṅ? kyā vahāṅ ḍākṭar nahīṅ miltā? mujhe batāo, merī qaum kā zaḵẖm kyūṅ nahīṅ bhartā