Yarmiyāh 49

ammoniyoṅ kī adālat

1ammoniyoṅ ke bāre meṅ rabb farmātā hai,

“kyā isrāīl kī koī aulād nahīṅ, koī vāris nahīṅ jo jad ke qabāilī ilāqe meṅ rah sake? malik devtā ke parastāroṅ ne us par kyūṅ qabzā kiyā hai? kyā vajah hai ki yah log jad ke shaharoṅ meṅ ābād ho gae haiṅ?” 2chunāṅche rabb farmātā hai, “vah vaqt āne vālā hai ki mere hukm par ammonī dār-ul-hakūmat rabbā ke ḵẖilāf jaṅg ke nāre lagāe jāeṅge. tab vah malbe kā ḍher ban jāegā, aur gird-o-navāh kī ābādiyāṅ nazar-e-ātish ho jāeṅgī. tab isrāīl unheṅ mulk-ba-dar karegā jinhoṅ ne use mulk-ba-dar kiyā thā.” yah rabb kā farmān hai.

3“ai hasbon, vāvailā kar, kyūṅki aī shahar barbād huā hai. ai rabbā kī beṭiyo, madad ke liye chillāo! ṭāṭ oṛh kar mātam karo! fasīl ke andar bechainī se idhar udhar phiro! kyūṅki malik devtā apne pujāriyoṅ aur buzurgoṅ samet jilāvatan ho jāegā. 4ai bevafā beṭī, tū apnī zarḵẖez vādiyoṅ par itnā faḵẖar kyūṅ kartī hai? tū apne māl-o-daulat par bharosā karke sheḵẖī mārtī hai ki ab mujh par koī hamlā nahīṅ karegā.” 5qādir-e-mutlaq rabb-ul-afwāj farmātā hai, “maiṅ tamām paṛosiyoṅ kī taraf se tujh par dahshat chhā jāne dūṅgā. tum sab ko chāroṅ taraf muntashir kar diyā jāegā, aur tere panāhaguzīnoṅ ko koī jamā nahīṅ karegā.

6lekin bād meṅ maiṅ ammoniyoṅ ko bahāl karūṅgā.” yah rabb kā farmān hai.

adom kī adālat

7rabb-ul-afwāj adom ke bāre meṅ farmātā hai, “kyā temān meṅ hikmat kā nām-o-nishān nahīṅ rahā? kyā dānishmand sahīh mashvrā nahīṅ de sakte? kyā un kī dānāī bekār ho gaī hai?

8ai dadān ke bāshindo, bhāg kar hijrat karo, zamīn ke andar chhup jāo. kyūṅki maiṅ esau kī aulād par āfat nāzil kartā hūṅ, merī sazā kā din qarīb ā gayā hai. 9ai adom, agar tū aṅgūr kā bāġ hotā aur mazdūr fasal chunne ke liye āte to thoṛā bahut un ke pīchhe rah jātā. agar ḍākū rāt ke vaqt tujhe lūṭ lete to vah sirf utnā hī chhīn lete jitnā uṭhā kar le jā sakte haiṅ. lekin terā anjām is se kahīṅ ziyādā burā hogā. 10kyūṅki maiṅ ne esau ko naṅgā karke us kī tamām chhupne kī jagaheṅ ḍhūṅḍ nikālī haiṅ. vah kahīṅ bhī chhup nahīṅ sakegā. us kī aulād, bhāī aur hamsāy halāk ho jāeṅge, ek bhī bāqī nahīṅ rahegā. 11apne yatīmoṅ ko pīchhe chhoṛ de, kyūṅki maiṅ un kī jān ko bachāe rakhūṅgā. tumhārī bevāeṅ bhī mujh par bharosā rakheṅ.”

12rabb farmātā hai, “jinheṅ mere ġazab kā piyālā pīne kā faislā nahīṅ sunāyā gayā thā unheṅ bhī pīnā paṛā. to phir terī jān kis tarah bachegī? nahīṅ, tū yaqīnan sazā kā piyālā pī legā.” 13rabb farmātā hai, “mere nām kī qasam, busrā shahar gird-o-navāh ke tamām shaharoṅ samet abdī khaṅḍarāt ban jāegā. use dekh kar logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge, aur vah use lān-tān kareṅge. lānat karne vālā apne dushman ke liye busrā hī kā sā anjām chāhegā.”

14maiṅ ne rabb kī taraf se paiġām sunā hai, “ek qāsid ko aqvām ke pās bhejā gayā hai jo unheṅ hukm de, ‘jamā ho kar adom par hamlā karne ke liye niklo! us se laṛne ke liye uṭho!’

15ab maiṅ tujhe chhoṭā banā dūṅgā, ek aisī qaum jise dīgar log haqīr jāneṅge. 16māzī meṅ dūsre tujh se dahshat khāte the, lekin is bāt ne aur tere ġarūr ne tujhe fareb diyā hai. beshak tū chaṭānoṅ kī darāṛoṅ meṅ baserā kartā hai, aur pahāṛī bulandiyāṅ tere qabze meṅ haiṅ. lekin ḵẖwāh tū apnā ghoṅslā uqāb kī sī ūṅchī jagahoṅ par kyūṅ na banāe to bhī maiṅ tujhe vahāṅ se utār kar ḵẖāk meṅ milā dūṅgā.” yah rabb kā farmān hai.

17“mulk-e-adom yūṅ barbād ho jāegā ki vahāṅ se guzarne vāloṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge. us ke zaḵẖmoṅ ko dekh kar vah ‘taubā taubā’ kaheṅge.” 18rabb farmātā hai, “us kā anjām sadūm, amūrā aur un ke paṛosī shaharoṅ kī mānind hogā jinheṅ allāh ne ulṭā kar nest-o-nābūd kar diyā. vahāṅ koī nahīṅ basegā. 19jis tarah sherbabar yardan ke jaṅgal se nikal kar shādāb charāgāhoṅ meṅ charne vālī bheṛ-bakriyoṅ par ṭūṭ paṛtā hai usī tarah maiṅ achānak adom par hamlā karke use us ke apne mulk se bhagā dūṅgā. tab vah jise maiṅ ne muqarrar kiyā hai adom par hukūmat karegā. kyūṅki kaun merī mānind hai? kaun mujh se javāb talab kar saktā hai? kaun sā gallābān merā muqāblā kar saktā hai?”

20chunāṅche adom par rabb kā faislā suno! temān ke bāshindoṅ ke liye us ke mansūbe par dhyān do! dushman pūre revaṛ ko sab se nanhe bacchoṅ se le kar baṛoṅ tak ghasīṭ kar le jāegā. us kī charāgāh vīrān-o-sunsān ho jāegī. 21adom itne dhaṛām se gir jāegā ki zamīn tharathrā uṭhegī. logoṅ kī chīḵẖeṅ bahar-e-qulzum tak sunāī deṅgī. 22vah dekho! dushman uqāb kī tarah uṛ kar adom par jhapaṭṭā mārtā hai. vah apne paroṅ ko phailā kar busrā par sāyā ḍāltā hai. us din adomī sūrmāoṅ kā dil dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāegā.

damishq kī adālat

23rabb damishq ke bāre meṅ farmātā hai, “hamāt aur arfād sharmindā ho gae haiṅ. burī ḵẖabreṅ sun kar vah himmat hār gae haiṅ. pareshānī ne unheṅ us mutlātim samundar jaisā bechain kar diyā hai jo tham nahīṅ saktā. 24damishq himmat hār kar bhāgne ke liye muṛ gayā hai. dahshat us par chhā gaī hai, aur vah dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah taṛap rahā hai.

25hāy, damishq ko tark kiyā gayā hai! jis mashhūr shahar se merā dil lutf’andoz hotā thā vah vīrān-o-sunsān hai.” 26rabb-ul-afwāj farmātā hai, “us din us ke javān ādmī galiyoṅ meṅ gir kar rah jāeṅge, us ke tamām faujī halāk ho jāeṅge. 27maiṅ damishq kī fasīl ko āg lagā dūṅgā jo phailte phailte bin-hadad bādshāh ke mahaloṅ ko bhī apnī lapeṭ meṅ le legī.”

badū qabīloṅ kī adālat

28zail meṅ qīdār aur hasūr ke badū qabīloṅ ke bāre meṅ kalām darj hai. bād meṅ shāh-e-bābal nabūkadnazzar ne unheṅ shikast dī. rabb farmātā hai,

“uṭho! qīdār par hamlā karo! mashriq meṅ basne vāle badū qabīloṅ ko tabāh karo! 29tum un ke ḵẖaimoṅ, bheṛ-bakriyoṅ aur ūṅṭoṅ ko chhīn loge, un ke ḵẖaimoṅ ke pardoṅ aur bāqī sāmān ko lūṭ loge. chīḵẖeṅ sunāī deṅgī, ‘hāy, chāroṅ taraf dahshat hī dahshat’!”

30rabb farmātā hai, “ai hasūr meṅ basne vāle qabīlo, jaldī se bhāg jāo, zamīn kī darāṛoṅ meṅ chhup jāo! kyūṅki shāh-e-bābal ne tum par hamlā karne kā faislā karke tumhāre ḵẖilāf mansūbā bāṅdh liyā hai.” 31rabb farmātā hai, “ai bābal ke faujiyo, uṭh kar us qaum par hamlā karo jo alāhidagī meṅ pursukūn aur mahfūz zindagī guzārtī hai, jis ke na darvāze, na kuṅḍe haiṅ. 32un ke ūṅṭ aur baṛe baṛe revaṛ lūṭ kā māl ban jāeṅge. kyūṅki maiṅ registān ke kināre par rahane vāle in qabīloṅ ko chāroṅ taraf muntashir kar dūṅgā. un par chāroṅ taraf se āfat āegī.” yah rabb kā farmān hai. 33“hasūr hameshā tak vīrān-o-sunsān rahegā, us meṅ koī nahīṅ basegā. gīdaṛ hī us meṅ apne ghar banā leṅge.”

mulk-e-ailām kī adālat

34shāh-e-yahūdāh sidaqiyāh kī hukūmat ke ibatidāī dinoṅ meṅ rabb yaramiyāh nabī se hamkalām huā. paiġām ailām ke mutālliq thā.

35“rabb-ul-afwāj farmātā hai, ‘maiṅ ailām kī kamān ko toṛ ḍāltā hūṅ, us hathiyār ko jis par ailām kī tāqat mabnī hai. 36āsmān kī chāroṅ simtoṅ se maiṅ ailāmiyoṅ ke ḵẖilāf tez havāeṅ chalāūṅgā jo unheṅ uṛā kar chāroṅ taraf muntashir kar deṅgī. koī aisā mulk nahīṅ hogā jis tak ailāmī jilāvatan nahīṅ pahuṅcheṅge.’ 37rabb farmātā hai, ‘maiṅ ailām ko us ke jānī dushmanoṅ ke sāmne pāsh pāsh kar dūṅgā. maiṅ un par āfat lāūṅgā, merā saḵẖt qahar un par nāzil hogā. jab tak vah nest na hoṅ maiṅ talvār ko un ke pīchhe chalātā rahūṅgā. 38tab maiṅ ailām meṅ apnā taḵẖt khaṛā karke us ke bādshāh aur buzurgoṅ ko tabāh kar dūṅgā.’ yah rabb kā farmān hai.

39lekin rabb yah bhī farmātā hai, ‘āne vāle dinoṅ meṅ maiṅ ailām ko bahāl karūṅgā’.”