Yarmiyāh 35

yaramiyāh raikābiyoṅ ko āzmātā hai

1jab yahūyaqīm bin yūsiyāh abhī yahūdāh kā bādshāh thā to rabb mujh se hamkalām huā, 2“raikābī ḵẖāndān ke pās jā kar unheṅ rabb ke ghar ke sahan ke kisī kamre meṅ āne kī dāvat de. jab vah āeṅ to unheṅ mai pilā de.”

3chunāṅche maiṅ yāzaniyāh bin yaramiyāh bin habassiniyāh ke pās gayā aur use us ke bhāiyoṅ aur tamām beṭoṅ yānī raikābiyoṅ ke pūre gharāne samet 4rabb ke ghar meṅ lāyā. ham hanān ke beṭoṅ ke kamre meṅ baiṭh gae. hanān mard-e-ḵẖudā yijdaliyāh kā beṭā thā. yah kamrā buzurgoṅ ke kamre se mulhiq aur rabb ke ghar ke darbān māsiyāh bin sallūm ke kamre ke ūpar thā. 5vahāṅ maiṅ ne mai ke jām aur piyāle raikābī ādmiyoṅ ko pesh karke un se kahā, “āeṅ, kuchh mai pī leṅ.”

6lekin unhoṅ ne inkār karke kahā, “ham mai nahīṅ pīte, kyūṅki hamāre bāp yūndab bin raikāb ne hameṅ aur hamārī aulād ko mai pīne se manā kiyā hai. 7us ne hameṅ yah hidāyat bhī dī, ‘na makān tāmīr karnā, na bīj bonā aur na aṅgūr kā bāġ lagānā. yah chīzeṅ kabhī bhī tumhārī milkiyat meṅ shāmil na hoṅ, kyūṅki lāzim hai ki tum hameshā ḵẖaimoṅ meṅ zindagī guzāro. phir tum lambe arse tak us mulk meṅ rahoge jis meṅ tum mehamān ho.’ 8chunāṅche ham apne bāp yūndab bin raikāb kī in tamām hidāyāt ke tābe rahate haiṅ. na ham aur na hamārī bīviyāṅ yā bacche kabhī mai pīte haiṅ. 9ham apnī rihāish ke liye makān nahīṅ banāte, aur na aṅgūr ke bāġ, na khet yā fasleṅ hamārī milkiyat meṅ hotī haiṅ. 10is ke bajāy ham āj tak ḵẖaimoṅ meṅ rahate haiṅ. jo bhī hidāyat hamāre bāp yūndab ne hameṅ dī us par ham pūre utre haiṅ. 11ham sirf ārizī taur par shahar meṅ ṭhahare hue haiṅ. kyūṅki jab shāh-e-bābal nabūkadnazzar is mulk meṅ ghus āyā to ham bole, ‘āeṅ, ham yarūshalam shahar meṅ jāeṅ tāki bābal aur shām kī faujoṅ se bach jāeṅ.’ ham sirf isī liye yarūshalam meṅ ṭhahare hue haiṅ.”

12tab rabb kā kalām mujh par nāzil huā, 13“rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai ki yahūdāh aur yarūshalam ke bāshindoṅ ke pās jā kar kah, ‘tum merī tarbiyat kyūṅ qabūl nahīṅ karte? tum merī kyūṅ nahīṅ sunte? 14yūndab bin raikāb par ġaur karo. us ne apnī aulād ko mai pīne se manā kiyā, is liye us kā gharānā āj tak mai nahīṅ pītā. yah log apne bāp kī hidāyāt ke tābe rahate haiṅ. is ke muqāble meṅ tum log kyā kar rahe ho? go maiṅ bār bār tum se hamkalām huā to bhī tum ne merī nahīṅ sunī.

15bār bār maiṅ apne nabiyoṅ ko tumhāre pās bhejtā rahā tāki mere ḵẖādim tumheṅ āgāh karte raheṅ ki har ek apnī burī rāh tark karke vāpas āe! apnā chāl-chalan durust karo aur ajnabī mābūdoṅ kī pairvī karke un kī ḵẖidmat mat karo! phir tum us mulk meṅ rahoge jo maiṅ ne tumheṅ aur tumhāre bāpdādā ko baḵẖsh diyā thā. lekin tum ne na tavajjuh dī, na merī sunī. 16yūndab bin raikāb kī aulād apne bāp kī hidāyāt par pūrī utrī hai, lekin is qaum ne merī nahīṅ sunī.’

17is liye rabb jo lashkaroṅ kā aur isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, ‘suno! maiṅ yahūdāh par aur yarūshalam ke har bāshinde par vah tamām āfat nāzil karūṅgā jis kā elān maiṅ ne kiyā hai. go maiṅ un se hamkalām huā to bhī unhoṅ ne na sunī. maiṅ ne unheṅ bulāyā, lekin unhoṅ ne javāb na diyā’.”

18lekin raikābiyoṅ se yaramiyāh ne kahā, “rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, ‘tum apne bāp yūndab ke hukm par pūre utar kar us kī har hidāyat aur har hukm par amal karte ho.’ 19is liye rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, ‘yūndab bin raikāb kī aulād meṅ se hameshā koī na koī hogā jo mere huzūr ḵẖidmat karegā’.”