Yarmiyāh 34

sidaqiyāh bābal kī qaid meṅ mar jāegā

1rabb us vaqt yaramiyāh se hamkalām huā jab shāh-e-bābal nabūkadnazzar apnī pūrī fauj le kar yarūshalam aur yahūdāh ke tamām shaharoṅ par hamlā kar rahā thā. us ke sāth duniyā ke un tamām mamālik aur qaumoṅ kī faujeṅ thīṅ jinheṅ us ne apne tābe kar liyā thā.

2“rabb jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai ki yahūdāh ke bādshāh sidaqiyāh ke pās jā kar use batā, rabb farmātā hai ki maiṅ is shahar yarūshalam ko shāh-e-bābal ke havāle karne ko hūṅ, aur vah ise nazar-e-ātish kar degā. 3tū bhī us ke hāth se nahīṅ bachegā balki zarūr pakṛā jāegā. tujhe us ke havāle kiyā jāegā, aur tū shāh-e-bābal ko apnī āṅkhoṅ se dekhegā, vah tere rū-ba-rū tujh se bāt karegā. phir tujhe bābal jānā paṛegā. 4lekin ai sidaqiyāh bādshāh, rabb kā yah farmān bhī sun! rabb tere bāre meṅ farmātā hai ki tū talvār se nahīṅ 5balki tabaī maut maregā, aur log usī tarah terī tāzīm meṅ lakṛī kā baṛā ḍher banā kar āg lagāeṅge jis tarah tere bāpdādā ke liye karte āe haiṅ. vah tujh par bhī mātam kareṅge aur kaheṅge, ‘hāy, mere āqā’!” yah rabb kā farmān hai.

6yaramiyāh nabī ne sidaqiyāh bādshāh ko yarūshalam meṅ yah paiġām sunāyā. 7us vaqt bābal kī fauj yarūshalam, lakīs aur azīqā se laṛ rahī thī. yahūdāh ke tamām qil’āband shaharoṅ meṅ se yahī tīn ab tak qāim rahe the.

ġulāmoṅ ke sāth bevafāī

8rabb kā kalām ek bār phir yaramiyāh par nāzil huā. us vaqt sidaqiyāh bādshāh ne yarūshalam ke bāshindoṅ ke sāth ahd bāṅdhā thā ki ham apne hamvatan ġulāmoṅ ko āzād kar deṅge. 9har ek ne apne hamvatan ġulāmoṅ aur lauṅḍiyoṅ ko āzād karne kā vādā kiyā thā, kyūṅki sab muttafiq hue the ki ham apne hamvatanoṅ ko ġulāmī meṅ nahīṅ rakheṅge. 10tamām buzurg aur bāqī tamām log yah karne par rāzī hue the. yah ahd karne par unhoṅ ne apne ġulāmoṅ ko vāqaī āzād kar diyā thā. 11lekin bād meṅ vah apnā irādā badal kar apne āzād kie hue ġulāmoṅ ko vāpas lāe aur unheṅ dubārā apne ġulām banā liyā thā. 12tab rabb kā kalām yaramiyāh par nāzil huā.

13“rabb jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, ‘jab maiṅ tumhāre bāpdādā ko misr kī ġulāmī se nikāl lāyā to maiṅ ne un se ahd bāṅdhā. us kī ek shart yah thī 14ki jab kisī hamvatan ne apne āp ko bech kar chhah sāl tak terī ḵẖidmat kī hai to lāzim hai ki sātveṅ sāl tū use āzād kar de. yah shart tum sab par sādiq ātī hai. lekin afsos, tumhāre bāpdādā ne na merī sunī, na merī bāt par dhyān diyā. 15ab tum ne pachhtā kar vah kuchh kiyā jo mujhe pasand thā. har ek ne elān kiyā ki ham apne hamvatan ġulāmoṅ ko āzād kar deṅge. tum us ghar meṅ āe jis par mere nām kā ṭhappā lagā hai aur ahd bāṅdh kar mere huzūr us vāde kī tasdīq kī. 16lekin ab tum ne apnā irādā badal kar mere nām kī behuramtī kī hai. apne ġulāmoṅ aur lauṅḍiyoṅ ko āzād kar dene ke bād har ek unheṅ apne pās vāpas lāyā hai. pahale tum ne unheṅ batāyā ki jahāṅ jī chāho chale jāo, aur ab tum ne unheṅ dubārā ġulām banne par majbūr kiyā hai.’

17chunāṅche suno jo kuchh rabb farmātā hai! ‘tum ne merī nahīṅ sunī, kyūṅki tum ne apne hamvatan ġulāmoṅ ko āzād nahīṅ chhoṛā. is liye ab rabb tumheṅ talvār, muhalak bīmāriyoṅ aur kāl ke liye āzād chhoṛ degā. tumheṅ dekh kar duniyā ke tamām mamālik ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge.’ yah rabb kā farmān hai. 18-19 ‘dekho, yahūdāh aur yarūshalam ke buzurgoṅ, darbāriyoṅ, imāmoṅ aur avām ne mere sāth ahd bāṅdhā. is kī tasdīq karne ke liye vah ek bachhṛe ko do hissoṅ meṅ taqsīm karke un ke darmiyān se guzar gae. to bhī unhoṅ ne ahd toṛ kar us kī sharāit pūrī na kīṅ. chunāṅche maiṅ hone dūṅgā ki vah us bachhṛe kī mānind ho jāeṅ jis ke do hissoṅ meṅ se vah guzar gae haiṅ. 20maiṅ unheṅ un ke dushmanoṅ ke havāle kar dūṅgā, un hī ke havāle jo unheṅ jān se mārne ke darpai haiṅ. un kī lāsheṅ parindoṅ aur jaṅglī jānvaroṅ kī ḵẖurāk ban jāeṅgī.

21maiṅ yahūdāh ke bādshāh sidaqiyāh aur us ke afsaroṅ ko un ke dushman ke havāle kar dūṅgā, un hī ke havāle jo unheṅ jān se mārne par tule hue haiṅ. vah yaqīnan shāh-e-bābal nabūkadnazzar kī fauj ke qabze meṅ ā jāeṅge. kyūṅki go faujī is vaqt pīchhe haṭ gae haiṅ, 22lekin mere hukm par vah vāpas ā kar yarūshalam par hamlā kareṅge. aur is martabā vah us par qabzā karke use nazar-e-ātish kar deṅge. maiṅ yahūdāh ke shaharoṅ ko bhī yūṅ ḵẖāk meṅ milā dūṅgā ki koī un meṅ nahīṅ rah sakegā’.” yah rabb kā farmān hai.