Yarmiyāh 26

rabb ke ghar meṅ yaramiyāh kā paiġām

1jab yahūyaqīm bin yūsiyāh yahūdāh ke taḵẖt par baiṭh gayā to thoṛī der ke bād rabb kā kalām yaramiyāh par nāzil huā. 2rabb ne farmāyā, “ai yaramiyāh, rabb ke ghar ke sahan meṅ khaṛā ho kar un tamām logoṅ se muḵẖātib ho jo rabb ke ghar meṅ sijdā karne ke liye yahūdāh ke dīgar shaharoṅ se āe haiṅ. unheṅ merā pūrā paiġām sunā de, ek bāt bhī na chhoṛ! 3shāyad vah suneṅ aur har ek apnī burī rāh se bāz ā jāe. is sūrat meṅ maiṅ pachhtā kar un par vah sazā nāzil nahīṅ karūṅgā jis kā mansūbā maiṅ ne un ke bure āmāl dekh kar bāṅdh liyā hai.

4unheṅ batā, ‘rabb farmātā hai ki merī suno aur merī us sharīat par amal karo jo maiṅ ne tumheṅ dī hai. 5nīz, nabiyoṅ ke paiġāmāt par dhyān do. afsos, go maiṅ apne ḵẖādimoṅ ko bār bār tumhāre pās bhejtā rahā to bhī tum ne un kī na sunī. 6agar tum āindā bhī na suno to maiṅ is ghar ko yūṅ tabāh karūṅgā jis tarah maiṅ ne sailā kā maqdis tabāh kiyā thā. maiṅ is shahar ko bhī yūṅ ḵẖāk meṅ milā dūṅgā ki ibrat’aṅgez misāl ban jāegā. duniyā kī tamām qaumoṅ meṅ jab koī apne dushman par lānat bhejnā chāhe to vah kahegā ki us kā yarūshalam kā sā anjām ho’.”

yaramiyāh kī adālat

7jab yaramiyāh ne rabb ke ghar meṅ rabb ke yah alfāz sunāe to imāmoṅ, nabiyoṅ aur tamām bāqī logoṅ ne ġaur se sunā. 8yaramiyāh ne unheṅ sab kuchh pesh kiyā jo rabb ne use sunāne ko kahā thā. lekin jūṅ hī vah iḵẖtitām par pahuṅch gayā to imām, nabī aur bāqī tamām log use pakaṛ kar chīḵẖne lage, “tujhe marnā hī hai! 9tū rabb kā nām le kar kyūṅ kah rahā hai ki rabb kā ghar sailā kī tarah tabāh ho jāegā, aur yarūshalam malbe kā ḍher ban kar ġair’ābād ho jāegā?” aisī bāteṅ kah kar tamām logoṅ ne rabb ke ghar meṅ yaramiyāh ko ghere rakhā.

10jab yahūdāh ke buzurgoṅ ko is kī ḵẖabar milī to vah shāhī mahal se nikal kar rabb ke ghar ke pās pahuṅche. vahāṅ vah rabb ke ghar ke sahan ke nae darvāze meṅ baiṭh gae tāki yaramiyāh kī adālat kareṅ. 11tab imāmoṅ aur nabiyoṅ ne buzurgoṅ aur tamām logoṅ ke sāmne yaramiyāh par ilzām lagāyā, “lāzim hai ki is ādmī ko sazā-e-maut dī jāe! kyūṅki is ne is shahar yarūshalam ke ḵẖilāf nubuvvat kī hai. āp ne apne kānoṅ se yah bāt sunī hai.”

12tab yaramiyāh ne buzurgoṅ aur bāqī tamām logoṅ se kahā, “rabb ne ḵẖud mujhe yahāṅ bhejā tāki maiṅ rabb ke ghar aur yarūshalam ke ḵẖilāf un tamām bātoṅ kī peshgoī karūṅ jo āp ne sunī haiṅ. 13chunāṅche apnī rāhoṅ aur āmāl ko durust kareṅ! rabb apne ḵẖudā kī suneṅ tāki vah pachhtā kar āp par vah sazā nāzil na kare jis kā elān us ne kiyā hai. 14jahāṅ tak merā tālluq hai, maiṅ to āp ke hāth meṅ hūṅ. mere sāth vah sulūk kareṅ jo āp ko acchhā aur munāsib lage. 15lekin ek bāt jān leṅ. agar āp mujhe sazā-e-maut deṅ to āp bequsūr ke qātil ṭhahareṅge. āp aur yah shahar us ke tamām bāshindoṅ samet qusūrvār ṭhahareṅge. kyūṅki rabb hī ne mujhe āp ke pās bhejā tāki āp ke sāmne hī yah bāteṅ karūṅ.”

16yah sun kar buzurgoṅ aur avām ke tamām logoṅ ne imāmoṅ aur nabiyoṅ se kahā, “yah ādmī sazā-e-maut ke lāiq nahīṅ hai! kyūṅki us ne rabb hamāre ḵẖudā kā nām le kar ham se bāt kī hai.”

17phir mulk ke kuchh buzurg khaṛe ho kar pūrī jamāat se muḵẖātib hue, 18“jab hizaqiyāh yahūdāh kā bādshāh thā to morshat ke rahane vāle nabī mīkāh ne nubuvvat karke yahūdāh ke tamām bāshindoṅ se kahā, ‘rab-ul-afwāj farmātā hai ki siyyūn par khet kī tarah hal chalāyā jāegā, aur yarūshalam malbe kā ḍher ban jāegā. rabb ke ghar kī pahāṛī par guṅjān jaṅgal ugegā.’ 19kyā yahūdāh ke bādshāh hizaqiyāh yā yahūdāh ke kisī aur shaḵẖs ne mīkāh ko sazā-e-maut dī? hargiz nahīṅ, balki hizaqiyāh ne rabb kā ḵẖauf mān kar us kā ġussā ṭhaṅḍā karne kī koshish kī. natīje meṅ rabb ne pachhtā kar vah sazā un par nāzil na kī jis kā elān vah kar chukā thā. suneṅ, agar ham yaramiyāh ko sazā-e-maut deṅ to apne āp par saḵẖt sazā lāeṅge.”

ūriyāh nabī kā qatl

20un dinoṅ meṅ ek aur nabī bhī yaramiyāh kī tarah rabb kā nām le kar nubuvvat kartā thā. us kā nām ūriyāh bin samāyāh thā, aur vah qiryat-yārīm kā rahane vālā thā. us ne bhī yarūshalam aur yahūdāh ke ḵẖilāf vahī peshgoiyāṅ sunāīṅ jo yaramiyāh sunātā thā.

21jab yahūyaqīm bādshāh aur us ke tamām faujī aur sarkārī afsaroṅ ne us kī bāteṅ sunīṅ to bādshāh ne use mār ḍālne kī koshish kī. lekin ūriyāh ko is kī ḵẖabar milī, aur vah ḍar kar bhāg gayā. chalte chalte vah misr pahuṅch gayā. 22tab yahūyaqīm ne ilnātan bin akbor aur chand ek ādmiyoṅ ko vahāṅ bhej diyā. 23vahāṅ pahuṅch kar vah ūriyāh ko pakaṛ kar yahūyaqīm ke pās vāpas lāe. bādshāh ke hukm par us kā sar qalam kar diyā gayā aur us kī nāsh ko nichle tabqe ke logoṅ ke qabristān meṅ dafnāyā gayā.

24lekin yaramiyāh kī jān chhūṭ gaī. use avām ke havāle na kiyā gayā, go vah use mār ḍālnā chāhate the, kyūṅki aḵẖīqām bin sāfan us ke haq meṅ thā.