Yarmiyāh 25

mulk-e-bābal meṅ 70 sāl rahane kī peshgoī

1yahūyaqīm bin yūsiyāh kī hukūmat ke chauthe sāl meṅ allāh kā kalām yaramiyāh par nāzil huā. usī sāl bābal kā bādshāh nabūkadnazzar taḵẖtnashīn huā thā. yah kalām yahūdāh ke tamām bāshindoṅ ke bāre meṅ thā. 2chunāṅche yaramiyāh nabī ne yarūshalam ke tamām bāshindoṅ aur yahūdāh kī pūrī qaum se muḵẖātib ho kar kahā,

3“23 sāl se rabb kā kalām mujh par nāzil hotā rahā hai yānī yūsiyāh bin amūn kī hukūmat ke terahaveṅ sāl se le kar āj tak. bār bār maiṅ tumheṅ paiġāmāt sunātā rahā hūṅ, lekin tum ne dhyān nahīṅ diyā. 4mere ilāvā rabb dīgar tamām nabiyoṅ ko bhī bār bār tumhāre pās bhejtā rahā, lekin tum ne na sunā, na tavajjuh dī, 5go mere ḵẖādim tumheṅ bār bār āgāh karte rahe, ‘taubā karo! har ek apnī ġalat rāhoṅ aur burī harkatoṅ se bāz ā kar vāpas āe. phir tum hameshā tak us mulk meṅ rahoge jo rabb ne tumheṅ aur tumhāre bāpdādā ko atā kiyā thā. 6ajnabī mābūdoṅ kī pairvī karke un kī ḵẖidmat aur pūjā mat karnā! apne hāthoṅ ke banāe hue butoṅ se mujhe taish na dilānā, varnā maiṅ tumheṅ nuqsān pahuṅchāūṅgā’.”

7rabb farmātā hai, “afsos! tum ne merī na sunī balki mujhe apne hāthoṅ ke banāe hue butoṅ se ġussā dilā kar apne āp ko nuqsān pahuṅchāyā.” 8rabb-ul-afwāj farmātā hai, “chūṅki tum ne mere paiġāmāt par dhyān na diyā, 9is liye maiṅ shimāl kī tamām qaumoṅ aur apne ḵẖādim bābal ke bādshāh nabūkadnazzar ko bulā lūṅgā tāki vah is mulk, is ke bāshindoṅ aur gird-o-navāh ke mamālik par hamlā kareṅ. tab yah safhā-e-hastī se yūṅ miṭ jāeṅge ki logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge aur vah un kā mazāq uṛāeṅge. yah ilāqe dāimī khaṅḍarāt ban jāeṅge. 10maiṅ un ke darmiyān ḵẖushī-o-shādmānī aur dūlhe dulhan kī āvāzeṅ band kar dūṅgā. chakkiyāṅ ḵẖāmosh paṛ jāeṅgī aur charāġ bujh jāeṅge. 11pūrā mulk vīrān-o-sunsān ho jāegā, chāroṅ taraf malbe ke ḍher nazar āeṅge. tab tum aur ird-gird kī qaumeṅ 70 sāl tak shāh-e-bābal kī ḵẖidmat karoge.

12lekin 70 sāl ke bād maiṅ shāh-e-bābal aur us kī qaum ko munāsib sazā dūṅgā. maiṅ mulk-e-bābal ko yūṅ barbād karūṅgā ki vah hameshā tak vīrān-o-sunsān rahegā. 13us vaqt maiṅ us mulk par sab kuchh nāzil karūṅgā jo maiṅ ne us ke bāre meṅ farmāyā hai, sab kuchh pūrā ho jāegā jo is kitāb meṅ darj hai aur jis kī peshgoī yaramiyāh ne tamām aqvām ke bāre meṅ kī hai. 14us vaqt unheṅ bhī mut’addid qaumoṅ aur baṛe baṛe bādshāhoṅ kī ḵẖidmat karnī paṛegī. yūṅ maiṅ unheṅ un kī harkatoṅ aur āmāl kā munāsib ajr dūṅgā.”

rabb ke ġazab kā piyālā

15rabb jo isrāīl kā ḵẖudā hai mujh se hamkalām huā, “dekh, mere hāth meṅ mere ġazab se bharā huā piyālā hai. ise le kar un tamām qaumoṅ ko pilā de jin ke pās maiṅ tujhe bhejtā hūṅ. 16jo bhī qaum yah pie vah merī talvār ke āge ḍagmagātī huī dīvānā ho jāegī.”

17chunāṅche maiṅ ne rabb ke hāth se piyālā le kar use un tamām aqvām ko pilā diyā jin ke pās rabb ne mujhe bhejā. 18pahale yarūshalam aur yahūdāh ke shaharoṅ ko un ke bādshāhoṅ aur buzurgoṅ samet ġazab kā piyālā pīnā paṛā. tab mulk malbe kā ḍher ban gayā jise dekh kar logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho gae. āj tak vah mazāq aur lānat kā nishānā hai.

19phir yake bād dīgre mut’addid qaumoṅ ko ġazab kā piyālā pīnā paṛā. zail meṅ un kī faharist hai : misr kā bādshāh firaaun, us ke darbārī, afsar, pūrī misrī qaum 20aur mulk meṅ basne vāle ġairmulkī, mulk-e-ūz ke tamām bādshāh,

filistī bādshāh aur un ke shahar asqalūn, ġazzā aur aqrūn, nīz filistī shahar ashdūd kā bachā khachā hissā,

21adom, moāb aur ammon,

22sūr aur saidā ke tamām bādshāh, bahīrā-e-rūm ke sāhilī ilāqe,

23dadān, taimā aur būz ke shahar, vah qaumeṅ jo registān ke kināre kināre rahatī haiṅ,

24mulk-e-arab ke tamām bādshāh, registān meṅ mil kar basne vāle ġairmulkiyoṅ ke bādshāh,

25zimrī, ailām aur mādī ke tamām bādshāh,

26shimāl ke dūr-o-nazdīk ke tamām bādshāh.

yake bād dīgre duniyā ke tamām mamālik ko ġazab kā piyālā pīnā paṛā. āḵẖir meṅ sheshak ke bādshāh [a] ġāliban is se murād bābal kā bādshāh hai. ko bhī yah piyālā pīnā paṛā.

27phir rabb ne kahā, “unheṅ batā, ‘rab-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai ki ġazab kā piyālā ḵẖūb piyo! itnā piyo ki nashe meṅ ā kar qai āne lage. us vaqt tak pīte jāo jab tak tum merī talvār ke āge gir kar paṛe na raho.’ 28agar vah tere hāth se piyālā na leṅ balki use pīne se inkār kareṅ to unheṅ batā, ‘rab-ul-afwāj ḵẖud farmātā hai ki piyo! 29dekho, jis shahar par mere nām kā ṭhappā lagā hai usī par maiṅ āfat lāne lagā hūṅ. agar maiṅ ne usī se shurū kiyā to phir tum kis tarah bache rahoge? yaqīnan tumheṅ sazā milegī, kyūṅki maiṅ ne tai kar liyā hai ki duniyā ke tamām bāshinde talvār kī zad meṅ ā jāeṅ’.” yah rabb-ul-afwāj kā farmān hai.

tamām aqvām kī adālat

30“ai yaramiyāh, unheṅ yah tamām peshgoiyāṅ sunā kar batā ki rabb bulandiyoṅ se dahāṛegā. us kī muqaddas sukūnatgāh se us kī kaṛaktī āvāz niklegī, vah zor se apnī charāgāh ke ḵẖilāf garjegā. jis tarah aṅgūr kā ras nikālne vāle aṅgūr ko rauṅdte vaqt zor se nāre lagāte haiṅ usī tarah vah nāre lagāegā, alabattā jaṅg ke nāre. kyūṅki vah duniyā ke tamām bāshindoṅ ke ḵẖilāf jaṅg ke nāre lagāegā. 31us kā shor duniyā kī intihā tak gūṅjegā, kyūṅki rabb adālat meṅ aqvām se muqaddmā laṛegā, vah tamām insānoṅ kā insāf karke sharīroṅ ko talvār ke havāle kar degā.” yah rabb kā farmān hai. 32rabb-ul-afwāj farmātā hai, “dekho, yake bād dīgre tamām qaumoṅ par āfat nāzil ho rahī hai, zamīn kī intihā se zabardast tūfān ā rahā hai. 33us vaqt rabb ke māre hue logoṅ kī lāsheṅ duniyā ke ek sire se dūsre sire tak paṛī raheṅgī. na koī un par mātam karegā, na unheṅ uṭhā kar dafan karegā. vah khet meṅ bikhre gobar kī tarah zamīn par paṛī raheṅgī.

34ai gallābāno, vāvailā karo! ai revaṛ ke rāhanumāo, rākh meṅ loṭ-poṭ ho jāo! kyūṅki vaqt ā gayā hai ki tumheṅ zabah kiyā jāe. tum gir kar nāzuk bartan kī tarah pāsh pāsh ho jāoge. 35gallābān kahīṅ bhī bhāg kar panāh nahīṅ le sakeṅge, revaṛ ke rāhanumā bach hī nahīṅ sakeṅge. 36suno! gallābānoṅ kī chīḵẖeṅ aur revaṛ ke rāhanumāoṅ kī āheṅ! kyūṅki rabb un kī charāgāh ko tabāh kar rahā hai. 37pursukūn murġazāroṅ kā satyānās hogā jab rabb kā saḵẖt ġazab nāzil hogā, 38jab rabb javān sherbabar kī tarah apnī chhupne kī jagah se nikal kar logoṅ par ṭūṭ paṛegā. tab zālim kī tez talvār aur rabb kā shadīd qahar un kā mulk tabāh karegā.”

[a] ġāliban is se murād bābal kā bādshāh hai.