Yarmiyāh 16

yaramiyāh ko shādī karne kī ijāzat nahīṅ

1rabb mujh se hamkalām huā, 2“is maqām meṅ na terī shādī ho, na tere beṭe-beṭiyāṅ paidā ho jāeṅ.” 3kyūṅki rabb yahāṅ paidā hone vāle beṭe-beṭiyoṅ aur un ke māṅ-bāp ke bāre meṅ farmātā hai, 4“vah muhalak bīmāriyoṅ se mar kar khetoṅ meṅ gobar kī tarah paṛe raheṅge. na koī un par mātam karegā, na unheṅ dafanāegā, kyūṅki vah talvār aur kāl se halāk ho jāeṅge, aur un kī lāsheṅ parindoṅ aur darindoṅ kī ḵẖurāk ban jāeṅgī.”

5rabb farmātā hai, “aise ghar meṅ mat jānā jis meṅ koī faut ho gayā hai [a] lafzī tarjumā : jis meṅ janāze kā khānā khilāyā jā rahā hai. . us meṅ na mātam karne ke liye, na afsos karne ke liye dāḵẖil honā. kyūṅki ab se maiṅ is qaum par apnī salāmatī, meharbānī aur raham kā izhār nahīṅ karūṅgā.” yah rabb kā farmān hai. 6“is mulk ke bāshinde mar jāeṅge, ḵẖwāh baṛe hoṅ yā chhoṭe. aur na koī unheṅ dafanāegā, na mātam karegā. koī nahīṅ hogā jo ġam ke māre apnī jild ko kāṭe yā apne sar ko muṅḍavāe. 7kisī kā bāp yā māṅ bhī intiqāl kar jāe to bhī log mātam karne vāle ghar meṅ nahīṅ jāeṅge, na tasallī dene ke liye janāze ke khāne-pīne meṅ sharīk hoṅge. 8aise ghar meṅ bhī dāḵẖil na honā jahāṅ log ziyāfat kar rahe haiṅ. un ke sāth khāne-pīne ke liye mat baiṭhnā.” 9kyūṅki rabb-ul-afwāj jo isrāīl kā ḵẖudā hai farmātā hai, “tumhāre jīte jī, hāṅ tumhāre dekhte dekhte maiṅ yahāṅ ḵẖushī-o-shādmānī kī āvāzeṅ band kar dūṅgā. ab se dūlhā dulhan kī āvāzeṅ ḵẖāmosh ho jāeṅgī.

10jab tū is qaum ko yah sab kuchh batāegā to log pūchheṅge, ‘rabb itnī baṛī āfat ham par lāne par kyūṅ tulā huā hai? ham se kyā jurm huā hai? ham ne rabb apne ḵẖudā kā kyā gunāh kiyā hai?’ 11unheṅ javāb de, ‘vajah yah hai ki tumhāre bāpdādā ne mujhe tark kar diyā. vah merī sharīat ke tābe na rahe balki mujhe chhoṛ kar ajnabī mābūdoṅ ke pīchhe lag gae aur un hī kī ḵẖidmat aur pūjā karne lage. 12lekin tum apne bāpdādā kī nisbat kahīṅ ziyādā ġalat kām karte ho. dekho, merī koī nahīṅ suntā balki har ek apne sharīr dil kī zid ke mutābiq zindagī guzārtā hai. 13is liye maiṅ tumheṅ is mulk se nikāl kar ek aise mulk meṅ phaiṅk dūṅgā jis se na tum aur na tumhāre bāpdādā vāqif the. vahāṅ tum din rāt ajnabī mābūdoṅ kī ḵẖidmat karoge, kyūṅki us vaqt maiṅ tum par raham nahīṅ karūṅgā’.”

jilāvatanī se vāpsī

14lekin rabb yah bhī farmātā hai, “aisā vaqt āne vālā hai ki log qasam khāte vaqt nahīṅ kaheṅge, ‘rabb kī hayāt kī qasam jo isrāīliyoṅ ko misr se nikāl lāyā.’ 15is ke bajāy vah kaheṅge, ‘rabb kī hayāt kī qasam jo isrāīliyoṅ ko shimālī mulk aur un dīgar mamālik se nikāl lāyā jin meṅ us ne unheṅ muntashir kar diyā thā.’ kyūṅki maiṅ unheṅ us mulk meṅ vāpas lāūṅgā jo maiṅ ne un ke bāpdādā ko diyā thā.”

āne vālī sazā

16lekin maujūdā hāl ke bāre meṅ rabb farmātā hai, “maiṅ bahut se māhīgīr bhej dūṅgā jo jāl ḍāl kar unheṅ pakṛeṅge. is ke bād maiṅ mut’addid shikārī bhej dūṅgā jo un kā tāqqub karke unheṅ har jagah pakṛeṅge, ḵẖwāh vah kisī pahāṛ yā ṭīle par chhup gae hoṅ, ḵẖwāh chaṭānoṅ kī kisī darāṛ meṅ. 17kyūṅki un kī tamām harkateṅ mujhe nazar ātī haiṅ. mere sāmne vah chhup nahīṅ sakte, aur un kā qusūr mere sāmne poshīdā nahīṅ hai. 18ab maiṅ unheṅ un ke gunāhoṅ kī dugnī sazā dūṅgā, kyūṅki unhoṅ ne apne bejān butoṅ aur ghinaunī chīzoṅ se merī maurūsī zamīn ko bhar kar mere mulk kī behuramtī kī hai.”

yaramiyāh kā rabb par etimād

19ai rabb, tū merī quvvat aur merā qil’ā hai, musībat ke din maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ. duniyā kī intihā se aqvām tere pās ā kar kaheṅgī, “hamāre bāpdādā ko mīrās meṅ jhūṭ hī milā, aise bekār but jo un kī madad na kar sake. 20insān kis tarah apne liye ḵẖudā banā saktā hai? us ke but to ḵẖudā nahīṅ haiṅ.”

21rabb farmātā hai, “chunāṅche is bār maiṅ unheṅ sahīh pahachān atā karūṅgā. vah merī quvvat aur tāqat ko pahachān leṅge, aur vah jān leṅge ki merā nām rabb hai.

[a] lafzī tarjumā : jis meṅ janāze kā khānā khilāyā jā rahā hai.