Yarmiyāh 1

rabb kā nabī yaramiyāh

1zail meṅ yaramiyāh bin ḵẖilaqiyāh ke paiġāmāt qalamband kie gae haiṅ. (binyamīn ke qabāilī ilāqe ke shahar antot meṅ kuchh imām rahate the, aur yaramiyāh kā vālid un meṅ se thā). 2rabb kā farmān pahalī bār yahūdāh ke bādshāh yūsiyāh bin amūn kī hukūmat ke 13veṅ sāl meṅ yaramiyāh par nāzil huā, 3aur yaramiyāh ko yah paiġāmāt yahūyaqīm bin yūsiyāh ke daur-e-hukūmat se le kar sidaqiyāh bin yūsiyāh kī hukūmat ke 11veṅ sāl ke pāṅchveṅ mahīne [a] julāī tā agast. tak milte rahe. us vaqt yarūshalam ke bāshindoṅ ko jilāvatan kar diyā gayā.

yaramiyāh kī bulāhaṭ

4ek din rabb kā kalām mujh par nāzil huā, 5“maiṅ tujhe māṅ ke peṭ meṅ tashkīl dene se pahale hī jāntā thā, terī paidāish se pahale hī maiṅ ne tujhe maḵẖsūs-o-muqaddas karke aqvām ke liye nabī muqarrar kiyā.”

6maiṅ ne etirāz kiyā, “ai rabb qādir-e-mutlaq, afsos! maiṅ terā kalām sunāne kā sahīh ilm nahīṅ rakhtā, maiṅ to bacchā hī hūṅ.” 7lekin rabb ne mujh se farmāyā, “mat kah ‘maiṅ bacchā hī hūṅ.’ kyūṅki jin ke pās bhī maiṅ tujhe bhejūṅgā un ke pās tū jāegā, aur jo kuchh bhī maiṅ tujhe sunāne ko kahūṅgā use tū sunāegā. 8logoṅ se mat ḍarnā, kyūṅki maiṅ tere sāth hūṅ, maiṅ tujhe bachāe rakhūṅgā.” yah rabb kā farmān hai.

9phir rabb ne apnā hāth baṛhā kar mere hoṅṭoṅ ko chhū diyā aur farmāyā, “dekh, maiṅ ne apne alfāz ko tere muṅh meṅ ḍāl diyā hai. 10āj maiṅ tujhe qaumoṅ aur saltanatoṅ par muqarrar kar detā hūṅ. kahīṅ tujhe unheṅ jaṛ se ukhāṛ kar girā denā, kahīṅ barbād karke ḍhā denā aur kahīṅ tāmīr karke paude kī tarah lagā denā hai.”

bādām kī shāḵẖ aur ubaltī deg kī royā

11rabb kā kalām mujh par nāzil huā, “ai yaramiyāh, tujhe kyā nazar ā rahā hai?” maiṅ ne javāb diyā, “bādām kī ek shāḵẖ, us daraḵẖt kī jo ‘dekhne vālā’ kahalātā hai.” 12rabb ne farmāyā, “tū ne sahīh dekhā hai. is kā matlab hai ki maiṅ apne kalām kī dekh-bhāl kar rahā hūṅ, maiṅ dhyān de rahā hūṅ ki vah pūrā ho jāe.”

13phir rabb kā kalām dubārā mujh par nāzil huā, “tujhe kyā nazar ā rahā hai?” maiṅ ne javāb diyā, “shimāl meṅ deg dikhāī de rahī hai. jo kuchh us meṅ hai vah ubal rahā hai, aur us kā muṅh hamārī taraf jhukā huā hai.” 14tab rabb ne mujh se kahā, “isī tarah shimāl se mulk ke tamām bāshindoṅ par āfat ṭūṭ paṛegī.” 15kyūṅki rabb farmātā hai, “maiṅ shimālī mamālik ke tamām gharānoṅ ko bulā lūṅgā, aur har ek ā kar apnā taḵẖt yarūshalam ke darvāzoṅ ke sāmne hī khaṛā karegā. hāṅ, vah us kī pūrī fasīl ko gher kar us par balki yahūdāh ke tamām shaharoṅ par chhāpā māreṅge. 16yūṅ maiṅ apnī qaum par faisle sādir karke un ke ġalat kāmoṅ kī sazā dūṅgā. kyūṅki unhoṅ ne mujhe tark karke ajnabī mābūdoṅ ke liye baḵẖūr jalāyā aur apne hāthoṅ se bane hue butoṅ ko sijdā kiyā hai.

17chunāṅche kamarbastā ho jā! uṭh kar unheṅ sab kuchh sunā de jo maiṅ faramāūṅgā. un se dahshat mat khānā, varnā maiṅ tujhe un ke sāmne hī dahshatzadā kar dūṅgā. 18dekh, āj maiṅ ne tujhe qil’āband shahar, lohe ke satūn aur pītal kī chārdīvārī jaisā mazbūt banā diyā hai tāki tū pūre mulk kā sāmnā kar sake, ḵẖwāh yahūdāh ke bādshāh, afsar, imām yā avām tujh par hamlā kyūṅ na kareṅ. 19tujh se laṛne ke bāvujūd vah tujh par ġālib nahīṅ āeṅge, kyūṅki maiṅ tere sāth hūṅ, maiṅ hī tujhe bachāe rakhūṅgā.” yah rabb kā farmān hai.

[a] julāī tā agast.