Yāqūb 5

daulatmando, ḵẖabardār!

1daulatmando, ab merī bāt suneṅ! ḵẖūb roeṅ aur giryā-o-zārī kareṅ, kyūṅki āp par musībat āne vālī hai. 2āp kī daulat saṛ gaī hai aur kīṛe āp ke shāndār kapṛe khā gae haiṅ. 3āp ke sone aur chāṅdī ko zaṅg lag gayā hai. aur un kī zaṅg’ālūdā hālat āp ke ḵẖilāf gavāhī degī aur āp ke jismoṅ ko āg kī tarah khā jāegī. kyūṅki āp ne in āḵẖirī dinoṅ meṅ apne liye ḵẖazāne jamā kar liye haiṅ. 4dekheṅ, jo mazdūrī āp ne fasal kī kaṭāī karne vāloṅ se bāz rakhī hai vah āp ke ḵẖilāf chillā rahī hai. aur āp kī fasal jamā karne vāloṅ kī chīḵẖeṅ āsmānī lashkaroṅ ke rabb ke kānoṅ tak pahuṅch gaī haiṅ. 5āp ne duniyā meṅ ayyāshī aur aish-o-ishrat kī zindagī guzārī hai. zabah ke din āp ne apne āp ko moṭā-tāzā kar diyā hai. 6āp ne rāstbāz ko mujrim ṭhaharā kar qatl kiyā hai, aur us ne āp kā muqāblā nahīṅ kiyā.

sabr aur duā

7bhāiyo, ab sabr se ḵẖudāvand kī āmad ke intizār meṅ raheṅ. kisān par ġaur kareṅ jo is intizār meṅ rahatā hai ki zamīn apnī qīmtī fasal paidā kare. vah kitne sabr se ḵẖarīf aur bahār kī bārishoṅ kā intizār kartā hai! 8āp bhī sabr kareṅ aur apne diloṅ ko mazbūt rakheṅ, kyūṅki ḵẖudāvand kī āmad qarīb ā gaī hai.

9bhāiyo, ek dūsre par mat buṛbuṛānā, varnā āp kī adālat kī jāegī. munsif to darvāze par khaṛā hai. 10bhāiyo, un nabiyoṅ ke namūne par chaleṅ jinhoṅ ne rabb ke nām meṅ kalām pesh karke sabr se dukh uṭhāyā. 11dekheṅ, ham unheṅ mubārak kahate haiṅ jo sabr se dukh bardāsht karte the. āp ne ayyūb kī sābitqadmī ke bāre meṅ sunā hai aur yah bhī dekh liyā ki rabb ne āḵẖir meṅ kyā kuchh kiyā, kyūṅki rabb bahut meharbān aur rahīm hai.

12mere bhāiyo, sab se baṛh kar yah ki āp qasam na khāeṅ, na āsmān kī qasam, na zamīn kī, na kisī aur chīz kī. jab āp “hāṅ” kahanā chāhate haiṅ to bas “hāṅ” hī kāfī hai. aur agar inkār karnā chāheṅ to bas “nahīṅ” kahanā kāfī hai, varnā āp mujrim ṭhahareṅge.

13kyā āp meṅ se koī musībat meṅ phaṅsā huā hai? vah duā kare. kyā koī ḵẖush hai? vah sitāish ke gīt gāe . 14kyā āp meṅ se koī bīmār hai? vah jamāat ke buzurgoṅ ko bulāe tāki vah ā kar us ke liye duā kareṅ aur ḵẖudāvand ke nām meṅ us par tel maleṅ. 15phir īmān se kī gaī duā marīz ko bachāegī aur ḵẖudāvand use uṭhā khaṛā karegā. aur agar us ne gunāh kiyā ho to use muāf kiyā jāegā. 16chunāṅche ek dūsre ke sāmne apne gunāhoṅ kā iqrār kareṅ aur ek dūsre ke liye duā kareṅ tāki āp shifā pāeṅ. rāst shaḵẖs kī muassir duā se bahut kuchh ho saktā hai. 17ilyās ham jaisā insān thā. lekin jab us ne zor se duā kī ki bārish na ho to sāḍhe tīn sāl tak bārish na huī. 18phir us ne dubārā duā kī to āsmān ne bārish atā kī aur zamīn ne apnī fasleṅ paidā kīṅ.

19mere bhāiyo, agar āp meṅ se koī sacchāī se bhaṭak jāe aur koī use sahīh rāh par vāpas lāe 20to yaqīn jāneṅ, jo kisī gunāhgār ko us kī ġalat rāh se vāpas lātā hai vah us kī jān ko maut se bachāegā aur gunāhoṅ kī baṛī tādād ko chhupā degā.