Yashāyāh 61

mātam kā vaqt ḵẖatm hai

1rabb qādir-e-mutlaq kā rūh mujh par hai, kyūṅki rabb ne mujhe tel se masah karke ġarīboṅ ko ḵẖushḵẖabarī sunāne kā iḵẖtiyār diyā hai. us ne mujhe shikastādiloṅ kī marham-paṭṭī karne ke liye aur yah elān karne ke liye bhejā hai ki qaidiyoṅ ko rihāī milegī aur zanjīroṅ meṅ jakṛe hue āzād ho jāeṅge, 2ki bahālī kā sāl aur hamāre ḵẖudā ke intiqām kā din ā gayā hai. us ne mujhe bhejā hai ki maiṅ tamām mātam karne vāloṅ ko tasallī dūṅ 3aur siyyūn ke sogvāroṅ ko dilāsā de kar rākh ke bajāy shāndār tāj, mātam ke bajāy ḵẖushī kā tel aur shikastā rūh ke bajāy hamd-o-sanā kā libās muhayyā karūṅ.

tab vah ‘rāstī ke daraḵẖt’ kahalāeṅge, aise paude jo rabb ne apnā jalāl zāhir karne ke liye lagāe haiṅ. 4vah qadīm khaṅḍarāt ko az sar-e-nau tāmīr karke der se barbād hue maqāmoṅ ko bahāl kareṅge. vah un tabāhashudā shaharoṅ ko dubārā qāim kareṅge jo nasal-dar-nasal vīrān-o-sunsān rahe haiṅ. 5ġairmulkī khaṛe ho kar tumhārī bheṛ-bakriyoṅ kī gallābānī kareṅge, pardesī tumhāre khetoṅ aur bāġoṅ meṅ kām kareṅge. 6us vaqt tum ‘rabb ke imām’ kahalāoge, log tumheṅ ‘hamāre ḵẖudā ke ḵẖādim’ qarār deṅge.

tum aqvām kī daulat se lutf’andoz hoge, un kī shān-o-shaukat apnā kar us par faḵẖar karoge. 7tumhārī sharmindagī nahīṅ rahegī balki tum izzat kā dugnā hissā pāoge, tumhārī rusvāī nahīṅ rahegī balki tum shāndār hissā milne ke bāis shādiyānā bajāoge. kyūṅki tumheṅ vatan meṅ dugnā hissā milegā, aur abdī ḵẖushī tumhārī mīrās hogī.

8kyūṅki rabb farmātā hai, “mujhe insāf pasand hai. maiṅ ġāratagarī aur kajarvī se nafrat rakhtā hūṅ. maiṅ apne logoṅ ko vafādārī se un kā ajr dūṅgā, maiṅ un ke sāth abdī ahd bāṅdhūṅgā. 9un kī nasal aqvām meṅ aur un kī aulād dīgar ummatoṅ meṅ mashhūr hogī. jo bhī unheṅ dekhe vah jān legā ki rabb ne unheṅ barkat dī hai.”

10maiṅ rabb se nihāyat hī shādmān hūṅ, merī jān apne ḵẖudā kī tārīf meṅ ḵẖushī ke gīt gātī hai. kyūṅki jis tarah dūlhā apnā sar imām kī sī pagṛī se sajātā aur dulhan apne āp ko apne zevrāt se ārāstā kartī hai usī tarah allāh ne mujhe najāt kā libās pahanā kar rāstī kī chādar meṅ lapeṭā hai. 11kyūṅki jis tarah zamīn apnī hariyālī ko nikalne detī aur bāġ apne bījoṅ ko phūṭne detā hai usī tarah rabb qādir-e-mutlaq aqvām ke sāmne apnī rāstī aur sitāish phūṭne degā.