Yashāyāh 60

aqvām yarūshalam ke nūr ke pās āeṅgī

1“uṭh, khaṛī ho kar chamak uṭh! kyūṅki terā nūr ā gayā hai, aur rabb kā jalāl tujh par tulū huā hai. 2kyūṅki go zamīn par tārīkī chhāī huī hai aur aqvām ghane aṅdhere meṅ rahatī haiṅ, lekin tujh par rabb kā nūr tulū ho rahā hai, aur us kā jalāl tujh par zāhir ho rahā hai. 3aqvām tere nūr ke pās aur bādshāh us chamaktī damaktī raushnī ke pās āeṅge jo tujh par tulū hogī.

4apnī nazar uṭhā kar chāroṅ taraf dekh! sab ke sab jamā ho kar tere pās ā rahe haiṅ. tere beṭe dūr dūr se pahuṅch rahe haiṅ, aur terī beṭiyoṅ ko god meṅ uṭhā kar qarīb lāyā jā rahā hai. 5us vaqt tū yah dekh kar chamak uṭhegī. terā dil ḵẖushī ke māre tezī se dhaṛakne lagegā aur kushādā ho jāegā. kyūṅki samundar ke ḵẖazāne tere pās lāe jāeṅge, aqvām kī daulat tere pās pahuṅchegī. 6ūṅṭoṅ kā ġol balki midiyān aur aifā ke javān ūṅṭ tere mulk ko ḍhāṁp deṅge. vah sone aur baḵẖūr se lade hue aur rabb kī hamd-o-sanā karte hue mulk-e-sabā se āeṅge. 7qīdār kī tamām bheṛ-bakriyāṅ tere havāle kī jāeṅgī, aur nabāyot ke meṅḍhe terī ḵẖidmat ke liye hāzir hoṅge. unheṅ merī qurbāngāh par chaṛhāyā jāegā aur maiṅ unheṅ pasand karūṅgā. yūṅ maiṅ apne jalāl ke ghar ko shān-o-shaukat se ārāstā karūṅgā.

8yah kaun haiṅ jo bādloṅ kī tarah aur kābuk ke pās vāpas āne vāle kabūtaroṅ kī mānind uṛ kar ā rahe haiṅ? 9yah tarsīs ke zabardast baharī jahāz haiṅ jo tere pās pahuṅch rahe haiṅ. kyūṅki jazīre mujh se ummīd rakhte haiṅ. yah jahāz tere beṭoṅ ko un kī sone-chāṅdī samet dūrdarāz ilāqoṅ se le kar ā rahe haiṅ. yūṅ rabb tere ḵẖudā ke nām aur isrāīl ke quddūs kī tāzīm hogī jis ne tujhe shān-o-shaukat se navāzā hai.

10pardesī terī dīvāreṅ az sar-e-nau tāmīr kareṅge, aur un ke bādshāh terī ḵẖidmat kareṅge. kyūṅki go maiṅ ne apne ġazab meṅ tujhe sazā dī, lekin ab maiṅ apne fazl se tujh par raham karūṅgā. 11terī fasīl ke darvāze hameshā khule raheṅge. unheṅ na din ko band kiyā jāegā, na rāt ko tāki aqvām kā māl-o-daulat aur un ke giriftār kie gae bādshāhoṅ ko shahar ke andar lāyā jā sake. 12kyūṅki jo qaum yā saltanat terī ḵẖidmat karne se inkār kare vah barbād ho jāegī, use pūre taur par tabāh kiyā jāegā.

13lubnān kī shān-o-shaukat tere sāmne hāzir hogī. jūnīpar, sanobar aur sarv ke daraḵẖt mil kar tere pās āeṅge tāki mere maqdis ko ārāstā kareṅ. yūṅ maiṅ apne pāoṅ kī chaukī ko jalāl dūṅgā. 14tujh par zulm karne vāloṅ ke beṭe jhuk jhuk kar tere huzūr āeṅge, terī tahqīr karne vāle tere pāoṅ ke sāmne auṅdhe muṅh ho jāeṅge. vah tujhe ‘rabb kā shahar’ aur ‘isrāīl ke quddūs kā siyyūn’ qarār deṅge. 15pahale tujhe tark kiyā gayā thā, log tujh se nafrat rakhte the, aur tujh meṅ se koī nahīṅ guzartā thā. lekin ab maiṅ tujhe abdī faḵẖar kā bāis banā dūṅgā, aur tamām nasleṅ tujhe dekh kar ḵẖush hoṅgī.

16tū aqvām kā dūdh piegī, aur bādshāh tujhe dūdh pilāeṅge. tab tū jān legī ki maiṅ rabb terā najātadihandā hūṅ, ki maiṅ jo yāqūb kā zabardast sūrmā hūṅ terā chhuṛāne vālā hūṅ.

17maiṅ tere pītal ko sone meṅ, tere lohe ko chāṅdī meṅ, terī lakṛī ko pītal meṅ aur tere patthar ko lohe meṅ badlūṅgā. maiṅ salāmatī ko terī muhāfiz aur rāstī ko terī nigrān banāūṅgā. 18ab se tere mulk meṅ na tashaddud kā zikr hogā, na barbādī-o-tabāhī kā. ab se terī chārdīvārī ‘najāt’ aur tere darvāze ‘hamd-o-sanā’ kahalāeṅge.

19āindā tujhe na din ke vaqt sūraj, na rāt ke vaqt chāṅd kī zarūrat hogī, kyūṅki rabb hī terī abdī raushnī hogā, terā ḵẖudā hī terī āb-o-tāb hogā. 20āindā terā sūraj kabhī ġurūb nahīṅ hogā, terā chāṅd kabhī nahīṅ ghaṭegā. kyūṅki rabb terā abdī nūr hogā, aur mātam ke tere din ḵẖatm ho jāeṅge.

21tab terī qaum ke tamām afrād rāstbāz hoṅge, aur mulk hameshā tak un kī milkiyat rahegā. kyūṅki vah mere hāth se lagāī huī panīrī hoṅge, mere hāth kā kām jis se maiṅ apnā jalāl zāhir karūṅgā. 22tab sab se chhoṭe ḵẖāndān kī tādād baṛh kar hazār afrād par mushtamil hogī, sab se kamzor kumbā tāqatvar qaum banegā. muqarrarā vaqt par maiṅ, rabb yah sab kuchh tezī se anjām dūṅgā.”