Yashāyāh 6

yasāyāh kī bulāhaṭ

1jis sāl uzziyāh bādshāh ne vafāt pāī us sāl maiṅ ne rabb ko ālā aur jalālī taḵẖt par baiṭhe dekhā. us ke libās ke dāman se rabb kā ghar bhar gayā. 2sarāfīm farishte us ke ūpar khaṛe the. har ek ke chhah par the. do se vah apne muṅh ko aur do se apne pāoṅ ko ḍhāṁp lete the jabki do se vah uṛte the. 3buland āvāz se vah ek dūsre ko pukār rahe the, “quddūs, quddūs, quddūs hai rabb-ul-afwāj. tamām duniyā us ke jalāl se māmūr hai.”

4un kī āvāzoṅ se dahalīzeṅ [a] lafzī matlab : dahalīzoṅ meṅ ghūmne vālī darvāzoṅ kī chūleṅ. hil gaīṅ aur rabb kā ghar dhueṅ se bhar gayā. 5maiṅ chillā uṭhā, “mujh par afsos, maiṅ barbād ho gayā hūṅ! kyūṅki go mere hoṅṭ nāpāk haiṅ, aur jis qaum ke darmiyān rahatā hūṅ us ke hoṅṭ bhī najis haiṅ to bhī maiṅ ne apnī āṅkhoṅ se bādshāh rabb-ul-afwāj ko dekhā hai.”

6tab sarāfīm farishtoṅ meṅ se ek uṛtā huā mere pās āyā. us ke hāth meṅ damaktā koilā thā jo us ne chimṭe se qurbāngāh se liyā thā. 7is se us ne mere muṅh ko chhū kar farmāyā, “dekh, koile ne tere hoṅṭoṅ ko chhū diyā hai. ab terā qusūr dūr ho gayā, tere gunāh kā kaffārā diyā gayā hai.”

8phir maiṅ ne rabb kī āvāz sunī. us ne pūchhā, “maiṅ kis ko bhejūṅ? kaun hamārī taraf se jāe?” maiṅ bolā, “maiṅ hāzir hūṅ. mujhe hī bhej de.” 9tab rabb ne farmāyā, “jā, is qaum ko batā, ‘apne kānoṅ se suno magar kuchh na samajhnā. apnī āṅkhoṅ se dekho, magar kuchh na jānnā!’ 10is qaum ke dil ko behiss kar de, un ke kānoṅ aur āṅkhoṅ ko band kar. aisā na ho ki vah apnī āṅkhoṅ se dekheṅ, apne kānoṅ se suneṅ, merī taraf rujū kareṅ aur shifā pāeṅ.”

11maiṅ ne savāl kiyā, “ai rabb, kab tak?” us ne javāb diyā, “us vaqt tak ki mulk ke shahar vīrān-o-sunsān, us ke ghar ġair’ābād aur us ke khet baṅjar na hoṅ. 12pahale lāzim hai ki rabb logoṅ ko dūr dūr tak bhagā de, ki pūrā mulk tan-e-tanahā aur bekas rah jāe. 13agar qaum kā dasvāṅ hissā mulk meṅ bāqī bhī rahe lekin use bhī jalā diyā jāegā. vah kisī balūt yā dīgar lambe-chauṛe daraḵẖt kī tarah yūṅ kaṭ jāegā ki muḍh hī bāqī rahegā. tāham yah muḍh ek muqaddas bīj hogā jis se nae sire se zindagī phūṭ niklegī.”

[a] lafzī matlab : dahalīzoṅ meṅ ghūmne vālī darvāzoṅ kī chūleṅ.